taazah tareen ghazal - -- - : Abdullah Nazir.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
taazah tareen ghazal - -- - : Abdullah Nazir.
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Apni aek taazah tareen ghazal pesh karne kii saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apne giraaNqadr tabSire se navaazkar shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
Baat zindaaN ki hei zikr-e-rasan o dar bhi hei
Koii ManSoor kahiN barsar-e-paikaar bhi hei?
yooN tou lazzat-kash-e-sheereeniy-e-guftaar bhi hei
dil magar aapki zulfaoN meiN giriftaar bhi hei
haye is maikada-e-Aalam-e-faani kaa nasha
jo bhi hei rind-e-balaanoush ziyaaNkar bhi hei
apni nazraoN ko nah rakh qaSr-e-Tarab tak maHdood
dast bastah tiraa saayil pas-e-deewar bhi hei
baAd-e-ghaflat nigah-e-luTf bhi hei Tarz-e-karam
dushman-e-jaaN bakhudaa moonis o dildaar bhi hei
talkhiy-e-raah-e-muHabbat se shikastah dil hooN
jaaN se pyaaraa mujhe maHboob ka darbaar bhi hei
sar jhukaaletaa hei aafaat-e-falak se Dar kar
yehi insaan jo mast-e-ma'y-e-pindaar bhi hei
shoAla-e-shamA-e-gham-e-dil se bachaati hei mujhe
jitni zaalim hei hawaa utni milansaar bhi hei
aa'o Nazir ke taghazzul kaa tamaashah dekheN
raqS-e-deewaanah bhi, zanjeer ki jhankaar bhi hei.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Attachments
-
- a_na_darbhihei_2.jpg (167.51 KiB) Viewed 65 times