Saaqii_naama...Ali Zaheer Usmani [mere vaalid marHoom]

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Saaqii_naama...Ali Zaheer Usmani [mere vaalid marHoom]

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

maiN abhii Haal meN hii apne daura-e-Hindustan se vaapis aayaa huuN. shadeed garmii kaa saath rahaa magar aam kii lazzat ne dil Khush kar diyaa...aam kii Khusoosiyat ba_qaul-e-Ghaalib yehi hai k meeThe hoN aur bahot hoN...meeThe to the magar bahot hote huye bhii kam the kiuNki maiN sugar kaa mareez huuN liHaaza taskeen-e-lazzat na ho sakii. :(

mere vaalid marHoom kaa majmooa-e-kalaam "motiyaaN" zer-e-taba'at hai. maiN waqta_fa_waqtan unke kalaam kaa namoona pesh kartaa rahuuNgaa.

insha Allah jab yeh deevaan manzar e 'aam par aayegaa to ham aap sabko ek ek copy ba_taur toHfaa pesh kareNge.

mere vaalid marHoom ne apne deenii rujHaan ke baa'is gosha_nasheenii ko shohrat par moqaddam jaanaa. urdu ke a'zeem sufi shaa'ir matHoom janaab e AsGhar Husain "AsGhar" GonDvii ke vo shaagird aur dost the. unkaa saath unke zamaane ke mashhoor sho'araa~ kaa rahaa jin meN sar-e-fehrist Jigar Muradabadi, Firaq Gorakhpuri, Shamim Jaipuri aur 'allaamah Iqbaal the.

'allaamah Iqbaal ke Saaqii_naame se mutaassir ho kar marHoom ne Khud bhii tab'a aazmaaii kii hai. maiN use aaj aapke saamne pesh kar rahaa huN. is saaqi_naame meN kuchh KhamiiyaaN hoNgii kiuNki vaalid saaHib kii shikast rasm-ul_Khat meN qalam_band taHreer ko paRhnaa mere liye qadre kaar-e-dushwaar rahaa.


Saaqi Naama


pilaa, Saaqiyaa! jaam-e-mai jaaN_navaaz...zaraa, Saaqiyaa! jaam ik jaaN_navaaz
KhizaaN is gulistaaN kii bunyaad meN...yahaaN aashiyaaN reh-e-saiyaad meN
yeh dunyaa-e-murdaar naa_paak hai...sag o zaaGh o kargas kii Khoraak hai
pyaala nahiiN balki ik laala_zaad...k yak_baargii raaz hii raaz baad
Khirad hai giraftaar-e-farda_o_dosh...parishaaN_nigar saKht be_hooda_kosh
nazar door door aur dil sard hai...yeh gard auj-e-gardooN pe bhii gard hai
k iskii nazar meN charKh-e-kabood...kabhii saqf neelii, kabhii bai'Hr dood
fazaa meN sho'aaoN kaa manzar kabhii...Hudood-e-nigaahii kaa manzar kabhii
alag sab se taHqeeq-e-rind-e-Kharaab...falak chashma-e-mai, sitaar-e-Hobaab
na Khursheed-e-gardaaN, na maah-e-ravaaN...yeh sab sheesha o jaam-e-daryaa kashaaN

uThaa, Saaqiyaa! jaam-e-Hairat_fazaa
Khirad_soz, tan_soz, daanish_rubaa

k dekhaa hai arbaab-e-daanish kaa Haal...gireh meN nahiiN ba_juz qeel o qaal
kahiiN juz kaa jhagRaa, kahiiN kul kii bai'Hs...taKhaiyul kii dunyaa, taKhaiyul kii bai'Hs
koii mai'Hv hai jama' o tafreeq meN...koii gum hai burhaan-e-ta'tbeeq meN
khulii haiN taraqqii kii raaheN tamaam...chamaktii huii dars_gaaheN tamaam
magar, yeh taraqqii ma'koos hai...kahaaN jaayegaa jo mai'Hboos hai
use kia milegii jahaaN kii Khabar...jise nahiiN Khud apnii jaaN kii Khabar
ise phai'Nk de le ke girdaab meN...k bai'h jaaye Hikmat yeh sailaab meN

daraaz uske shoGhl aur madfan hai yeh
yeh rah_bar nahiiN balki rah_zan hai yeh

fasurda huuN maiN, saaGhar-e-mai pilaa...pilaa aur, Saaqii! pyaala-e-mai pilaa
talaa'tum uThaa kar Duboo de mujhe...isii jaam o meena meN kho de mujhe
k paanaa kahaaN hai jo khonaa na ho...yehii zindagii hai k honaa na ho
mujhe ek jaam-e-baqaa chaahiye...Khudii kii jagah par Khudaa chaahiye
jahaaN tak nazar jaa rahii hai mirii...tamaam ek tauheen, Saaqii! tirii
Khudii kii numaaish, Khudii kaa zahoor...yeh sab zohd o taqwaa fisq o fujoor
nahiiN dekhtaa apnaa mai'Hram ise...to, Hairat se taktaa hai 'aalam ise
k is meer-e-mas'uud ko kia huaa...farishtoN ke masjood ko kia huaa
k sajde meN bhi taab baaqii nahiiN...gohar hai magar aab baaqii nahiiN
sanam_Khaane se baRh kar hai masjid kaa but...Brai'hman se moHkam hai zaahid kaa but
but-e-Brai'hman gurz se choor choor...but-e-Shai'Kh dast-e-mujaahid se door

uThaa, Saaqiyaa! jaam-e-mai jaaN_navaaz!
k khul jaaye sab mujh pe hastii kaa raaz

yeh merii nahiiN, Saaqiyaa! terii aaNkh...Khataa karne waalii nahiiN merii aaNkh
yeh saalaar-e-Ghaznii, vo sailaab-e-fan...vo but_Khaana barham_zan o but_shikan
yahaaN maa'il-e-harzah_kaarii hai vo...Khud is but_kade kaa pujaarii hai vo
Khudii hai numaayaaN bhii, baareek bhii...Khudii hai munavvar bhii, taareek bhii
yahiiN ek hai paak o dai'reena aur...magar us Khudii kaa hai aaiina aur
vo us waqt thii jab yeh aadam na thaa...yeh aadam nahiiN balki 'aalam na thaa
vo ab bhii hai lekin jahaaN tu nahiiN...yeh Saaqii se poochh ab kahaan tu nahiiN
tavahhum meN tu hai, ta'aqqul meN tu...tasavvur meN tu hai, taKhaiyul meN tu
tire saath hii but_parastii bhii hai...k ik but_kada terii hastii bhii hai

Khirad ke pujaarii haiN hangaama_Khez!
bas ab, Saaqiyaa! jaam-e-but_Khaana_rez!

yeh iijaad-e-saamaan-e-Ghaarat_garii...yeh saudaa-e-KhooN_rezii o bartarii
yeh sab hech, iskaa kuchh Haasil nahiiN!...agar tu zamaane se Ghaafil nahiiN!
zamaana hai KhuuN_Khowaar, taaqat-shikan...khulii iskii fitrat, khulaa iskaa fan
bahot is ne dekhe haiN kaafir_adaa...bahot sai'l_raftaar, mai'Hshar_adaa
zaraa is shikaarii kaa fitraak dekh!...zaraa phaaR kar parda-e-Khaak dekh!
kahiiN ustoKhowaan-e-tan-e-naazniiN...kahiiN Khaak hai aur kuchh bhii nahiiN
kahaaN hai? zaraa dekh! baa chashm-e-hosh...sar-e-be-kulah ho sar-e-taaj_posh
yeh miTTi hai Ghaarat_gar-e-imtiyaaz...yahaaN ek hai rang-e-naaz o niyaaz

zamiiN ko zaraa dekh chalte huye
saraapaa-e-aadam nigalte huye

shikam_sai'r hai is qadar, fitna_gar!...k Thokar se akSar ukhaRte haiN sar
javaaN dekhtii hai yeh, zaalim! na peer...ise luqma-e-ustoKhowaaN shai'hd o sheer
jise apnii chhaatii pe yeh paa gaii...use dekhte, dekhte khaa gaii
shikam pur magar ishtihaa hai hanoz...balaa_nosh kaa muNh khulaa hai hanoz
yahiiN haiN tayoor aashiyaane ke ba'd...yahiiN daam o dar ik zamaane ke ba'd
isii meN haiN insaan waale sifaat...isii emN hai gum ashraf-e-kaai'naat
vo barq-e-aatishiiN gurz e Khaara shikan...laraz jaate haiN jisse dasht o chaman
zamiiN ke liye vo bhii sar_shaar-e-jaam...koii ho! ise peT bharne se kaam

uThaa jaam-e-Saaqii, dil afsurda hai
pilaa mai k dil zinda, tan murda hai

dil-e-zinda kaa maut Haasil nahiiN...jo miT jaaye vo jism hai, dil nahiiN!
tu ik jur'aa Tapkaa de jis Khaak par...pahoNch jaaye vo Khaak aflaak par
farishtoN ke Hairat kaa saamaaN hai Khaak...namood-e-kamaalaat-e-yazdaaN hai Khaak
isii se bulandii kaa baazaar sard...yeh Khaak hai chashm-e-shaitaaN meN gard
mujhe kaam kia kufr o islaam se...giraa, Saaqiyaa! barq ik jaam se
k ho jaaye afsoon o afsaana soKht...dil o jaaN hoN maanind-e-parvaana soKht
vo mai bhar k saaGhar uchhalne lage...har ik mauj se noor ubalne lage
fazaa yeh yahaaN tak pur_anvaar ho...k jo saaNs luuN, noor kii dhaar ho
milaa Hauz-e-mai_Khaana Kausar ke saath...piyuuN aur le jaauuN bhar bhar ke saath
k auroN ke bhii hosh uRaane laguuN...milaa duuN nazar to pilaane laguuN
moHabbat se rangiiniyaaN dard-e-sar...moHabbat se gul_haa-e-zebaa-e-sharar
yeh dunyaa to kia jo Thai'hr jaaye 'ishq...k firdaus se bhii guzar jaaye 'ishq
kahuuN kia bahot 'ishq ke baab haiN...k dunyaa hai soyii huii Khowaab meN

dar-e-mai_Kada band kar, Saaqiyaa!
k hone ko hai ab saHar, Saaqiyaa!
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Hashmat Usmaani SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapke walid-e-marHoom kaa saaqi-naamah paRhkar bahut khushi houi keh zabaan per unki isqadar chust dastaras thee. Kayi baar paRhtaa rahaa aur luTf andouz houtaa rahaa.

Aapke wallid kaa ism-e-giraami meri nazar se guzraa houaa hei. Allah unko maghfirat se navaaze aur jannat-ul-firdaous meiN aAlaa muqaam ATaa farmaaye. aameen.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Post Reply