Mili qalam ko zameen-e Faraz ai Jawaid..............

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Mili qalam ko zameen-e Faraz ai Jawaid..............

Post by jawaid badauni »

Salaam ba huzoor Imam Husain Ibn-e Ali (AW)
(ChuneeNda ashAAr)


Chalo karishme shahe bahr.o.bar ke dekhte haiN
Dar-e Husain pe faryaad karke dekhte haiN

Shah-e Umam ne gadaaoN ko taaj baKhsh diye
To hum bhi lutf zara unn ke dar ke dekhte haiN

Suna hai unn ki mowaddat hai rahmatoN ka shajar
To uss ke saye meN hum bhi Thahar ke dekhte haiN

Suna hai Jadaa-e haq hai Husain ka jada
To unn ki raah se hum bhi guzar ke dekhte haiN

Khooda hi jane woh pahooNcheNge kaise rauze tak
Safar se qabl jo Kham rahguzar ke dekhte haiN

Mili qalam ko zameen-e "Faraz" ai "Jawaid"
Sana-e "Hazrat-e Shabbir" kar ke dekhte haiN
---------------------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat - Oman


Khaliq-e Akbar se meri doa hai keh agar mujhe iss adna mad.he Imam ka koii sila milne wala hai to usmeN mere Buzurg Shayar Ahmed Faraz sahab ko bhi shamil kar le, maiN ne yeh salam unn kee Ghazal kee zameen meN hi kaha hai.
Last edited by jawaid badauni on Mon Feb 14, 2005 10:18 am, edited 1 time in total.
naheedv
-
-
Posts: 163
Joined: Sat Dec 18, 2004 3:53 am
Contact:

Re: Mili qalam ko zameen-e Faraz ai Jawaid..............

Post by naheedv »

jawaid badauni wrote:Salaam ba huzoor Imam Husain Ibn-e Ali (AW)
(ChuneeNda ashAAr)


Chalo karishme shahe bahr.o.bar ke dekhte haiN
Dar-e Husain pe faryaad karke dekhte haiN

Shah-e Umam ne gadaaoN ko taaj baKhsh diye
To hum bhi tulf zara unn ke dar ke dekhte haiN

Suna hai unn ki mowaddat hai rahmatoN ka shajar
To uss ke saye meN hum bhi Thahar ke dekhte haiN

Suna hai Jadaa-e haq hai Husain ka jada
To unn ki raah se hum bhi guzar ke dekhte haiN

Khooda hi jane woh pahooNcheNge kaise rauze tak
Safar se qabl jo Kham rahguzar ke dekhte haiN

Mili qalam ko zameen-e "Faraz" ai "Jawaid"
Sana-e "Hazrat-e Shabbir" kar ke dekhte haiN
---------------------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat - Oman


Khaliq-e Akbar se meri doa hai keh agar mujhe iss adna mad.he Imam ka koii sila milne wala hai to usmeN mere Buzurg Shayar Ahmed Faraz sahab ko bhi shamil kar le, maiN ne yeh salam unn kee Ghazal kee zameen meN hi kaha hai.
Mohtaram Jawaid saahab,

aap kee ye madah.saraa'ee paRhii aur pasaNd aa'ee.
aap ne buhat hassaas mozoo' ko qalam kiyaa hai. meree jaanib se daad qubool kijiye!

mukhlis
Naheed
P.S. Agar her duar ke jawaaN shaa'ir Faraz saahab ko ye pata chal jaa'e ke aap ne unheN "buzurg" kahaa hai tau iss gham se baRaa gham un ke liye ko'ee na ho gaa :)
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Mili qalam ko zameen-e Faraz ai Jawaid..............

Post by jawaid badauni »

naheedv wrote:
jawaid badauni wrote:Salaam ba huzoor Imam Husain Ibn-e Ali (AW)
(ChuneeNda ashAAr)


Chalo karishme shahe bahr.o.bar ke dekhte haiN
Dar-e Husain pe faryaad karke dekhte haiN

Shah-e Umam ne gadaaoN ko taaj baKhsh diye
To hum bhi tulf zara unn ke dar ke dekhte haiN

Suna hai unn ki mowaddat hai rahmatoN ka shajar
To uss ke saye meN hum bhi Thahar ke dekhte haiN

Suna hai Jadaa-e haq hai Husain ka jada
To unn ki raah se hum bhi guzar ke dekhte haiN

Khooda hi jane woh pahooNcheNge kaise rauze tak
Safar se qabl jo Kham rahguzar ke dekhte haiN

Mili qalam ko zameen-e "Faraz" ai "Jawaid"
Sana-e "Hazrat-e Shabbir" kar ke dekhte haiN
---------------------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat - Oman


Khaliq-e Akbar se meri doa hai keh agar mujhe iss adna mad.he Imam ka koii sila milne wala hai to usmeN mere Buzurg Shayar Ahmed Faraz sahab ko bhi shamil kar le, maiN ne yeh salam unn kee Ghazal kee zameen meN hi kaha hai.
Mohtaram Jawaid saahab,

aap kee ye madah.saraa'ee paRhii aur pasaNd aa'ee.
aap ne buhat hassaas mozoo' ko qalam kiyaa hai. meree jaanib se daad qubool kijiye!

mukhlis
Naheed
P.S. Agar her duar ke jawaaN shaa'ir Faraz saahab ko ye pata chal jaa'e ke aap ne unheN "buzurg" kahaa hai tau iss gham se baRaa gham un ke liye ko'ee na ho gaa :)

Daad.O.Tahseen ke liye shukriya Naheed.

Agar aap ke paas Faraz Sahab ka e-mail hai to please mujhe bhej deejiyega.

Jawaid
Post Reply