Aek taazah Ghazal nayi Zameen meiN - -- - Abdullah Nazir.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Aek taazah Ghazal nayi Zameen meiN - -- - Abdullah Nazir.
MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-MeHfil,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Aek taazah ghazal houee hei jiski Zameen is se qabl mere dekhne meiN nahiN aayi. Agar kisi ke ilm meiN hou to meri maAloomaat meiN iZaafah farmaayeN.
Hameshah ki TaraH, ummeed hei ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustafeed houne kaa mauqaA inaayat farmaayenge.
GHAZAL roman meiN:
tapte nah gar Azaab-e-muHabbat kee dhoop meiN
kyaa Sabr karte teri rifaaqat kee dhoop meiN
WaHshat kade meiN dahr ke bargashtah-bakht ham
Zindah heiN naamuraadiy-e-ghurbat kee dhoop meiN
Ummeedwaar-e-waAda-e-deedaar-e-yaar heiN
Hougi nah bhool koii qiyaamat kee dhoop meiN
khooN-gashtah aarzooaoN kee fehrist hei Taveel
maare gaye qasam hei muravvat kee dhoop meiN
is meiN bhee kaid-e-baad-e-mukhaalif kaa haath hei
tum se koii gilah nahiN qismat kee dhoop meiN
shaayaan-e-dast o baazooy-e-qaatil sahee yeh jurm
lekin jale ghareeb siaasat kee dhoop meiN
kyaa zikr-e-jaaNsitaaniy-e-ahl-e-karam karooN
loo ne jhulas diyaa hei sharaafat kee dhoop meiN
yeh bhee koii hansee hei ke jiskaa nahiN sabab
aatish barasti hei kahiN qudarat kee dhoop meiN
Nazir ko utnaa aab-e-ravaaN bhee nah mil sakaa
Jitnaa paseenah beh gayaa meHnat kee dhoop meiN.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Attachments
-
- a_na_dhoop_f3.JPG (112.83 KiB) Viewed 283 times
Last edited by Abdullah Nazir on Wed Aug 16, 2006 5:05 am, edited 2 times in total.
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
aadaab!
moHtaram Abdullah Nazir SaHeb aadaab!
meree khush bakhtee hai keh aap kee tazah Ghazal dekhne ka sharf mil raha hai.
kalam meN bila shubah bala kee bar´jas´tagee aor qayamat kee see shas´tagee ne aap ke fit^ree taGhazzul-e-t^aba' ko aap ke mukhliSanah, a'ashiqanah,aor rindanah jazbat se rangeen kar ke nook-e-qalam tak la kar pekar-e-she'er-o-sukhan meN Dhaal diya hai.
aap ke rash´Haat-e-qalam bae'c-e-lut^f-e-same'-o-baSr haiN.
Ghazal dekhne se ma'loo m ho jata hai keh aap na Sirf zaban-o-bayan kee barikiyooN se kama Haqqah ho waqiff haiN. balkeh ilfaz^ ke mocar istema'aal ka gehra shao'oor bhee rakhte haiN.
aap kee Ghazal na Sirf z^ahiree haiyat ke aatabar se a'z^eem kalaseekee taGhazzul ka HaseN aHsaas hai. balkeh maZ^ameen ke tanawa',wosa't, aor gehraee ke leHaz^ se bhee bharpoor jazbiyat kee Hamil hai.
is meN Halawat, mosikiyat, dilbastagee, khuddaree, aor sarsharee,rachee basee maHsoos hotee hai.
tarakeeb aor bandishooN ka barwaqt iste'maal Ghazal ko shua'lah figan bana raha hai. kiya kehne!
she'er be sakhtah aae haiN: beHreeN mutrannum aor pur kashish haiN.
radeefeeN aor qafiye SadiyooN kee dasht nawardee aor gehre mushahede kee nishandahee kar rahe haiN.
she'erooN meN tawazun, aa'tadaal, Husn-e-zebaee, bata rahee hai. keh shae'eree meHeZ^ lafz^ooN ka khel naheeN. kalam meN sooz-e-darooN
a'ajab dard bhar raha hai. keh paRhne wala kalejah thaam leta hai.
meree bisaat^ naheeN keh maiN is be baha khirman-e-fikr-o-kheyaal ke kisee bhee khushe ko chun kar us kee rang -o-bo par kuch keh sakooN.
pas maiN pure aa'tamaad se yeh da'wa karne ko taiyar hooN keh aap kee yeh Ghazal saza waar-e-satae'sh qaraar dee janee chahiye.
wassalam
muz^affar aHmad muz^affar

Bahut bahut shukriyah
MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Apni ghazal per aapkaa muHabbat aamez tabSirah parhkar dil khush hougayaa. MaiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
MoHteram Nazir Shaheb
salaam-e-khuloos
Mauzaffar Saheb ne jsi terah aap ki es ghazal ki pazeeraa'ee fermaa'ee woh ba zaat-e-khud ghazal lag rehi hai mujhay.
ab kuch kehnaa maire liye naa mumkin saa lagta ahai kioNkeh mujh meN itnaa saleeqa nahiN hai. Apne be bisaatee aur kam maaigi-e-alfaaz per sharmindah hoN .mager aap ka aik murassa ghazal inaayat karne per dilee shukeriyah adaa kerti hoN.
esi teraH se apnee shaairee se nawaazte rhiye.
wasslama

live and let live
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
MuHtaramah
Tahira Masood SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapke giraaNqadr TabSireh ke liye beHad shukrguzaar hooN. Ghazal ki pazeerayi ke liye mamnoon hooN.
Ummeed ke aayindah bhee isi TaraH se meri HauSlah afzaayi farmaati rahengi.
Aapka MukhliS,
Nazir.