apnay dil say dushmanii achchii nahin....by farhan

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

apnay dil say dushmanii achchii nahin....by farhan

Post by farhan »

Ustaad-e-MoHtaram Janab Abdullah Nazir Saheb
wa deegar Azizaan-e-meHfil,

AS SALAMU AALAIKUM WA RAHMATULLAHI WA BARAKATUHU

maah-e-july kay liye diye gaye misra-e-TaraH per main apni ghazal kay saath Hazir hooN...apni aara say zaroor nawaziyeaga.

1)
dusmanouN say dostii achchi nahin,
mah ruKhooN say dil lagii achchii nahin.

2)baat yaroo tum girah main baandh lo,
Husn ki jadoo garii achchii nahin.

3)
maan mayri! rah-e-ulfat per na CHal,
apnay dil say dushmanii achchii nahin.

4)
jaan-o-dil luT jaatay hiaN baCH kay zara,
Husn walooN ki galii achchii nahin.

5)
luT gaya dil! baiTh apni jaaN ko ro,
na'y kaha tha! AaSHiQii achchii nahin.

6)
waqt Aadil hai, HaseenooN sun rakhoo,
ahl-e-dil say bay ruKHii achchii nahin.

7)
tooR ka bandiSH na ja, aye dil kaheeN,
dilbarooN ki dil barii achchii nahin.

8)
koo-e-jaanaaN main paRay bistar kiyea,
is Qadar deewaangii achchii nahin.

9)
sar na houyeeN raat bher zulfayeeN tirii,
is balaa ki sarkaSHii achchii nahin.

10)
chand bola deekh kar Sourat tirii,
daaG hai Sourat mirii achchii nahin.

11)
baandh kar ghuNgruu, Saba hai muntazir,
kuch kahoo youn KHamSHii achchii nahin.

12)
aarzoo-e-jalwa-e-jaanaaN na kar,
deekh!! piyaaray KHudkaSHii achchii nahin.

13)
dil kay hatooN luTtay ho farhaaN kyoun!
dost aisii bay KHudii achchii nahin.




Syed Abdul Azeez Farhan!!!!
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
FarHan SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 19 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal bahut achchi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
[u[MULAAHIZAAT:[/u]

1)
dusmanouN say dostii achchi nahin,
mah ruKhooN say dil lagii achchii nahin.

Achcha maTlaA hei, waah waah.

2)baat yaroo tum girah main baandh lo,
Husn ki jadoo garii achchii nahin.

Achcha sheAr hei, waah waah.

3)
maan mayri! rah-e-ulfat per na CHal,
apnay dil say dushmanii achchii nahin.

Achchi gireh lagaayi hei, waah waah.

4)
jaan-o-dil luT jaatay hiaN baCH kay zara,
Husn walooN ki galii achchii nahin.

Achcha sheAr hei waah waah.

5)
luT gaya dil! baiTh apni jaaN ko ro,
na'y kaha tha! AaSHiQii achchii nahin.

Lafz "nay" kaa isteAmaal is daur meiN shaaz o naadir hei aur wo bhee "neither…nor" ke maAnaoN meiN. Doosre miSreA ko badal deejiye. Aek Soorat yooN housakti hei:
maan le ab, Aashiqi achchi nahiN"

6)
waqt Aadil hai, HaseenooN sun rakhoo,
ahl-e-dil say bay ruKHii achchii nahin.

"sun rakhoo" kee bajaye meri nazar meiN "sun bhee lo" behtar hei. Achchaa sheAr hei, waah waah.
7)
tooR kar bandiSH na ja, aye dil kaheeN,
dilbarooN ki dil barii achchii nahin.

achchaa sheAr hei, waah waah.
8-
koo-e-jaanaaN main paRay bistar kiyea,
is Qadar deewaangii achchii nahin.

Pahle miSreA ko behtar banaane ki koushish keejiye.

9)
sar na houyeeN raat bher zulfayeeN tirii,
is balaa ki sarkaSHii achchii nahin.

Pahle miSreA ko yooN karleejiye:
sar houeeN kab raat bhar zulfeN tire

10)
chand bola deekh kar Sourat tirii,
daaG hai Sourat mirii achchii nahin.

achchaa sheAr hei, waah waah.

11)
baandh kar ghuNgruu, Saba hai muntazir,
kuch kahoo youn KHamSHii achchii nahin.

achchaa sheAr hei, waah waah.

12)
aarzoo-e-jalwa-e-jaanaaN na kar,
deekh!! piyaaray KHudkaSHii achchii nahin.

achchaa sheAr hei, waah waah.

13)
dil kay hatooN luTtay ho farhaaN kyoun!
dost aisii bay KHudii achchii nahin.

achchaa maqTaA hei, waah waah.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »


MuHtarami
FarHan SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Guzarish 19 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal bahut achchi hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ustaad-e-MoHtaram Janab Abdullah Nazir Saheb

AS SALAMU AALAIKUM WA RAHMATULLAHI WA BARAKATUHU

Ghazal ki pasandeedgii ka bahut bahut shukriya..dili daad aur mubaarakbaad kay liye bhi main teh dil say aap ka shukriya aada karta hooN...JAZAKALLAHU KHAIR..



MULAAHIZAAT:

5)
luT gaya dil! baiTh apni jaaN ko ro,
na'y kaha tha! AaSHiQii achchii nahin.
Lafz "nay" kaa isteAmaal is daur meiN shaaz o naadir hei aur wo bhee "neither…nor" ke maAnaoN meiN. Doosre miSreA ko badal deejiye. Aek Soorat yooN housakti hei:
maan le ab, Aashiqi achchi nahiN"



lafz "nay" kay isteAmaal kay talluq say aap ki faraham kardah maloomat say mayray ilm may izafa hua...JAZAKALLAHU KHAIR....doosray miSreA kay talluq say main nay aap ki baat maan li aur bahut bahut shukriya....



8
koo-e-jaanaaN main paRay bistar kiyea,
is Qadar deewaangii achchii nahin.

Pahle miSreA ko behtar banaane ki koushish keejiye.

Ji main miSreA ula ko behtar bananay ki koushish karoonga.Jazakallahu khair



9)
sar na houyeeN raat bher zulfayeeN tirii,
is balaa ki sarkaSHii achchii nahin.

Pahle miSreA ko yooN karleejiye:
sar houeeN kab raat bhar zulfeN tire


taSHeeH karda misra bahut pasand aayaa...bahut bahut shukriya...JAZAKALLAHU KHAIR
Aapka MukhliS,
Nazir.



talib-e-dua

farhan
Post Reply