Dosto! Salam
Aaj ek purani Nazm yaad aa gaii hai. JinhoN ne naheeN paRhee hai
unke liye tou naii hi hoowee. Ummid hai pasaNd farmayeNge aur apnee graNqadr aara se nawazeNge.
Apka MuKhliS
Jawaid Badauni
-----------------------------------------------------------------------------------
“Israel”se dou dou bateN
(meri ek purni Nazm)
iss zamaney meN koii tujh sa jafaakaar nahiN
haiN gunahgaar bohat tujh sa gunahgaar nahiN
sau KhataaeN haiN tiree phir bhi Khataakaar nahiN
saHib.e aql hai tou SaHib.e kirdaar nahiN
such bataa kya kisee qanoon ka Dar hai tujhko?
kya zamana tujhe kahta hai Khabar hai tujhko ?
tou jise chaahe jahaN chaahe miTa sakta hai
ghair ke mulk meN aa sakta hai jaa sakta hai
ghar to kya cheez hai tou shahr jalaa sakta hai
apna daaman bhi Cafaaii se bachaa sakta hai
iss jahaN ka koii qanoon tujhe yaad nahiN
tou ne kis kis ka kiya Khoon tujhe yaad nahiN
ek tou hai keh agar zulm bhi Dhaaye to durust
apni talwaar nihattoN pe uThaaye tou durust
roz barbaadi ke hathiyaar banaye tou durust
apni Taaqat se paRosee ko Daraye tou durust
kuch baRe log haiN kum jinko nazar aata hai
tera har zulm, karam jinko nazar aata hai
zulm Tanzeem.e Filasteen peh Dhaaya tou ne
besaharoN ka lahoo Khoob bahaaya tou ne
bequSooroN ka kiya Khoob Cafaya tou ne
paya.e arsh kaii baar hilaaya tou ne
mahir.e zulm.o sitam jaur.o jafaa ke paiker!
tujhko bundoN ka koii Khauf nah Allah ka Dar
tujhko Ghiart hai to inCaaf ki tauheen nah kar
dou qadam dekh kabhi jada.e haq peh chalkar
apne maskan ki hifazat ka tujhe haq hai magar
kyuuN baSad shauq jalata hai kisee aur ka ghar
nafrat.o buGhz ki iss aag meN ab aur nah jal
jaadaa.e amn peh chal jaadaa.e inSaaf peh chal
-------------------------------------------------------
"israel" se dou dou baateN (Meri ek purani Nazm)
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Nazm tafSeeli tabSire kee mustaHiq hei
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,
Aapki yeh nazm bahut achchi hei jis per tafSeeli tabSireh kee Zaroorat hei. In dinaoN apni be intihaa maSroofiyat ke sabab tashaffi-bakhswh javaab dene se qaaSir hooN.
andaaz-e-fikr aur izhaar-e-khayaal kaa mashriqi andaaz usi TaraH kaa hei jaise koii kahe ke sooraj mashriq se nikaltaa hei aur maghrib meiN ghuroob houtaa hei. Lekin maghrib kaa taSavvur is baat ke mumaacil hei keh sooraj maghrib se TulooA houne waalaa hei.
Dekhiye anjaam-e-kaar kyaa houtaa hei.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Fri Jul 21, 2006 1:16 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact: