salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib
maahe rawaa.n ke misre per hamaari adna kaavish qubool farmaaye.n
arz kiya hai.....
zindagi mei.n kaahilee acchee nahi.n
raat din nauha gari acchee nahi.n
mehnatee insaan hoga kaamraa.n
kaam se bezaargee acchee nahi.n
zindagi anmol tohfah hai janaab
zindagi se dillagi acchee nahi.n
yeh amaanat hai khudaaaye paak ki
is amaanat se thagee acchee nahi.n
'ilm se apne sajaalay do jahaa.n
'ilm se dooree kabhie acchee nahi.n
daagh dil per daal detay hai.n gunaah
"apne dil se dushmani acchee nahi.n
baat haamid yeh mohammed(s.a.w.a.w) keh gaye
dahr se waabestagee acchee nahi.n
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
guzarish # 19 by haamidbaaqri
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
guzarish # 19 by haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumsara_j wrote:hamid bhai,
adaab arz hei.
aapke apne makhsoos rang mein ye ghazal bohat pasand aayi.
daad qubool keejiye.
sara
azeez bahen sara
kaisee hai.n aap?
bahut shukriya aapki daad ka.
sada khush rahe.n
aapka bhai
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa