"Israel ka "Lebanon" per Humla'...meri ek naz

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

"Israel ka "Lebanon" per Humla'...meri ek naz

Post by jawaid badauni »


“Israel” ka “Lebanon” per Hamla



kis qadar dil soz haiN yeh hashiye yeh surKhiyaaN
zulm ki barish hai jaari aur chup saara jahaN !

aaj phir mal’oon jaabir barsare paikaar hai
garden.e mazloom hai aur zulm ki talwaar hai

uff yeh zalim ke jahazoN se barastee bijliyaaN
bazarar mazloom haiaraaN haiN ke woh jaayeN kahaN

yeh jo “Israel” ki “Libnaan” ko sauGhaat hai
yeh to ik dastoor hai ooska purani baat hai

shahriyoN per sub se baRhke ooska hota hai itaab
bazarar mAsoom logoN se woh karta hai Hisaab

aaj phir meri nazar m’aazi meN jakaer kho gaii
phir “Shateela-Sabirah” ki yaad taaza ho gaaii

beHayaa dil meN bhee khilte hain Hayaa ke kuch to phool
ai darandey! juNg meN bhi kuch to hotey haiN uSool

ek jaanib chuNd teer itnee kamaneN ik taraf
dou sipaheee ik taraf aur itnee janeN ik taraf?

Aa gaya “Lebanon” meN pahne hoowe jungee libaas
kya Philisteenee lahoo se bujh nah paii teri pyaas ?

uff yeh zulm.o.jabr aur duniya ki yeh KhaamoshiyaN
chaudhry jo amn ke bante thay aaKhir haiN kahaN

ai Muslamano! yeh mauqa hai sabaq HaSil karo
ho sake to ab karo toba Khuda se ab Daro

tum Khooda ko bhool baiThe yeh oose ki hai sazaa
aaj tum ho aur ik berahm jaabir ki jafaa

maut sir peh aa gaii ab to Khirad se kaam lo
aapsee jagRe bhoola do aur Khooda ka naam lo

banke dushman tum jo apne bhaaiyoN per tun gaye
thay samandar iss tarah bikhrey ke qatra ban gayee

ab bhi ek ho jaao tum warna bohat pachtaaoge
Khood hi ik din apni Haalat dekh kar sharmaaoge
---------------------------------------------------------
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Nazm bahut pasand aayi

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. TabSirah karne meiN ta'kheer ke liye muAafi kaa khwaastgaar hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Nazm bahut pasand aayi

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami o azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. TabSirah karne meiN ta'kheer ke liye muAafi kaa khwaastgaar hooN.


Aapka MukhliS,
Nazir.


mere azeez bhai jawaid saahib
salaamun alaikum

haalate haazera per aapki yeh nazm bahut acchee hai.

waaqayee saara jahaa.n chup hai

behis hogaya hai

nah jaane kyu.n?...............

har aik ko hisaab dena hai

kitni ghaflat mei.n hai yeh aadmi......

aye allah(sbhnwt)un mazloomo.n ki madad farma

zaalimo.n neesto naabood karde ya parwardigaar.aameen

aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply