"munaafiq' aik taaza nazm aapke hawaalay

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"munaafiq' aik taaza nazm aapke hawaalay

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

aik taza nazm hum aapke hawaalay kar rahay hai.n jiska unwaan hai"munaafiq"

umeed hai pasand farmaaye.nge

arz kiya hai...

munaafiq yeh kahe.nge hashr mei.n keh maajera kya hai
hame.n kisne jagaaya neend se aakhir hua kya hai

farishtay bole.nge uttho chalo maidaane mahshar mei.n
sawaal hoga wahaa.n, dunya mei.n tum sab ne kiya kya hai

yeh din woh hai jise har lamha tum jhutlaaya karte thay
tumhaare paas ab bas haath malnay ke siwa kya hai

jahannum ki dahakti aag mei.n jalna hai ab tumko
tumhe m'aaloom hoga aaj qudrat ki saza kya hai

bharausa hota hai jinko khuda per woh nahi.n kehtay
"yahaa.n badla wafa ka bewafaayee ke siwa kya hai"

nifaaq aur shirk se rehkar hamesha door tum haamid
bataado dunya waalo.n ko keh accha aur bura kya hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Haamidi Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm Aam Taur per bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamidi Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm Aam Taur per bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.


salaamun alaikum
mohtaram abdullah nazir saahib

aapki mukhlisaanah daad aur mubarabaad ke hum behad mamnoono mahskoor hai.n

jazakallah
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply