buhat khoob
Sara jee
ghazal ke liye daad qabool kijye
regards
zmufti
Guzarish # 19.......Ghazal
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
bahut khoob, waah waah
MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal aabil-e-daad o teHseen hei. Mujhe maAloom hei ke aap chuttiyaaN manaane ke liye Indiaa gayi houee heiN lekin aapki maSroofiyat Had se ziyaadh baRhgayi hei.
Is ke baavajood aap ne aek bahut hee achchi ghazal kahi hei jiske liye maiN aapko dili daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Guzarish # 19.......Ghazal
sara_j wrote:
Ghazal:
2.aajizi se loot ker dil le gaye
aur gilah hei, berukhi achchi nahiN
5.ker rahi hein aapki aankhein sitam
her ghaRee bejaa hansi achchi nahiN
6.karlo Saara khud ko tum ab sakht-dil
mushkilaoN meiN nazuki achchi nahiN
Azeezah Sarah Sis,
Aadaab,
aap kee yeh koshish bohat hee sada lekin dil-kash hai quoted ashaar ziyadah ache heN. so meree jaanib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
Khair andesh
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
waah waah
azeez behen sara saahebah
salaamun alaikum
masha allah
saada si ghazal
magar badi dilkash
hamaari daad qubool farmaaye.n
aur yu.n hi likhtee.n rahe.n
aapka bhai
haamidbaaqri
salaamun alaikum
masha allah
saada si ghazal
magar badi dilkash
hamaari daad qubool farmaaye.n
aur yu.n hi likhtee.n rahe.n
aapka bhai
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa