qaid_Khaane meN "Mo'tamid" kii fayraad...'allamah

Allamah Iqbaal kii shakhsiyat unki shayeri falsafe aur mazmoon aapke yaa kisi aur ke mazameen se iqtibaas

Post Reply
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

qaid_Khaane meN "Mo'tamid" kii fayraad...'allamah

Post by Hashmat Usmani »

salaam dosto,

"Mo'atamid" Ashbeela kaa baadshaah aur 'Arabii shaa'ir thaa. Hispaania ke ek HukmaraaN ne usko shikast de kar qaid meN daal diyaa thaa. "Mo'atamid kii nazmeN angrezii meN tarjumah ho kar "Wisdom if the East" meN shaa'ye ho chukii hai.

Hashmat


1.
ik foGhaan-e-be_sharar seene meN baaqii rah gaii
soz bhii ruKhsat huaa, jaatii rahii taaseer bhii

2.
mard-e-Hur zindaaN meN hai be neza_o_shamshiir aaj
maiN pashemaaN huuN, pashemaaN hai mirii tadbiibhii

3.
Khud ba Khud zanjeer kii jaanib jhukaa jaataa hai dil
thii usii faulaad se shaayad mirii shamshiir bhii

4.
jo mirii taiGh-e-do_dam thii ab mirii zanjeer hai
shoKh o be_parvaa hai kitnaa Khaaliq-e-taqdiir bhii
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Hashmat bhai, aadaab

nehaayat mamnoon hoN ! achche paishkash hai !

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply