Assalam Alaikum , Haazreen-e-Mehfil
I am Yasim Salman from Budaun (U.P), India .I m here to represent my late father Salman Sehba's eloquent poetry, which he wrote in his life time .This poetry is one of the great memoirs of my father's contribution to URDU literature .Below are few words from my father's pen.
Mauj-e-toofan-e gum se takraakar
Apni fitrat buland karta hoon
Na khuda se madad nahin leta
Doob jana pasand karta hoon
Introduction to Dhanak-e-Urdu
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Dosto! Salam
Azeezi Yasim ki post dekh kar meri aankh bhar aaii. Wajah yeh thee keh Salman Farshori SaHab (jinheN main Salman-bhaaii) kahta tha unki yaad taza hogaii. Yasim Salaman Sahba SaHab ke SaHabzadey haiN. Yeh Salman SaHba Badauni mere qareebee azeez they aur hamari bazm ke member Janab Ehsaan Badauni ke sage baRe bhaii they.
"Sahba" Sahab marHoom ki shaairee ke bare meN jo bhi kaha jaye kum hai. Qayamat ki sheriyyat, bala ki aamad, difareb tarannum aur sureeli awaaz jo ab hamesha ke liye Khamosh ho gaii hai. Mujhe is baat ki Khooshi hai keh Yasim miyaN apne walid.e maajid ka kalam yahaN bhejne wale haiN. MaiN bhi unka kuch kalam bhejta rahooNga. Mujhe ummid hai Urdubandhan ke membraan is kalam se behud mahzooz hoNge aur hamanre naujawan sathiyoN ko bohat kuch seekne ko milega.
Bataur namoona aaj sirf Salman Bhaii marHoom ka ek she'r hi bhej raha hooN jo shayad mere dil per kaheeN likh gaya hai:
kah diya hoga haNsee meN tum ne deewanah hameN
aur hum sachmooch hi deewaney nazar aane lage
Allah Salam SaHab marHoom ko apne jawar.e rahmat meN jagah de.
Khair andesh
Jawaid Badauni
Muscat-Oman