Zarurat kyaa hai------>Shahid Kabir!

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Zarurat kyaa hai------>Shahid Kabir!

Post by hassan_bashir »

Aadab


be-sabab baat baRhaane kii zaruurat kyaa hai
ham Khafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai


aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaayam
aap jab haiN to zamaane kii zaruurat kyaa hai


teraa kuuChaa, teraa dar, terii galii kaafii hai
beThikaano ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai


dil se milane kii tamannaa hii nahiiN jab dil meiN
haath se haath milaane kii zaruurat kyaa hai


raNg aaNkhoN ke liye buu hai damaaGhoN ke liye
phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa hai



~ Shahid Kabir ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

sara_j wrote:wah! Hasan sahib, bohat khoob kalaam share kiya hei.

bohat bohat shukriya qubool keejiye.
Sara jii,

khaaksaar kee pasaNd ko pasaNd farmaane ka bohat shukriyah! :-) :rose
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
Post Reply