salaamun alaikum
dosto
aaj shaam bangalore mei.n (mahfilay husne talab) ka maahaana tarhi mushaira honay jaaraha hai
micra hai "maikaday mei.n gham na kar thodi si peena seekhlay"
hum apni adna kaavish pahlay aapse share kar rahay hai.n
umeed hai pasand farmaaye.nge
arz kiya hai.....
bhaai mere mushkilo.n mei.n hanskay jeena seekhlay
chaahta hai phool tau kaanto.n peh chalna seekhlay
aag nafrat ki hai bhadki jal rahee hai.n bastiyaa.n
ghar base.nge pyaar say too pyaar karna seekhlay
tujh mei.n gar insaaniyyat hai tod mat insaa.n ka dil
doosro.n per aaj say tu rahm karna sekhlay
badhtay hai.n gham mayekashee say phir bhi kyu.n kehtay hai.n log
"maikaday mei.n gham nah kar thodi si peena seekhlay
aye mire haamid mire pyare mohammed kay ghulaam
mai buri hai is buraayee say tu ladna seekhlay
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
"pyaar karna seekhlay"taaza tarhi ghazal pesh hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"pyaar karna seekhlay"taaza tarhi ghazal pesh hai
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
[size-18]
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh TaraHi ghazal aapke makhSooS rang meiN baut khoobSoorat lagi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
[/size]
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh TaraHi ghazal aapke makhSooS rang meiN baut khoobSoorat lagi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
[/size]
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Bahut khoob, waah waah
mohtaram abdullah nazir saahibWEBMASTER wrote:[size-18]
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh TaraHi ghazal aapke makhSooS rang meiN baut khoobSoorat lagi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
[/size]
salaamun alaikum
aapki musalsal hausalah afzaayee hamaare liye bahut muaani rakhtee hai.
jazakallah
aapki mukhlisaanah daad aur mubaarakbaad ke hum behad shukrguzaar hai.n
salaamat rahe.n
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa