Khushamdeed Aslam Sai'haba saahib

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
Aslam Sai'hbaa
nau-waarid
Posts: 2
Joined: Mon Feb 14, 2005 1:18 am

Post by Aslam Sai'hbaa »

wa'laikum assalaam moHtaramah Saara saaHibah,

is qadar zabardast istqbaaliya dekh kar maiN to amgush-ba-dandaaN rah gayaa. shukria aapkaa bahot bahot Saara SaaHibah.

bas na poochhiiye ki yeh banda-e-naa-cheez kahaaN rahaa itne dinoN tak. bas, yuN samajhiye ki ek safar pe thaa.

ji haaN bil_zaroor, ham apna kalaam sunaa kar aapkii sam'a Kharaashii karne kii jasaarat karuuNga aur aapke aur digar aHbaab ke kalaam-e-shiriiN se lutf_andoz bhii huNga.

ek baar phir se maiN aapkaa shukria adaa karnaa chaahtaa huuN ki aapne mujhe apnii is Haseen meHfil meN qubool farmaayaa.

Aslam
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Image
Image
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Dr.sahib

Post by Mahtab Qadr »

Salaam e masnoon
Dr.sahib kahaN rah gaye the aap itne dinoN. wapisi mubarak aur KHUSHAAMDEED , behad khushi huvi aapki amad par , yaqeenan aap ne bhi mahsoos kia hoga. shukria
Mahtab Qadr
Post Reply