Nusrat Sahiba Ka Tauruf

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Band kee houi laRi / MuHtaram Sarwar SaHib ke liye

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab-o-tasleemaat!

yeh dekh` kar masarrat huyee keh is meHfil meN Hind-o-Pak ke shaa,i'roN kaa kalaam diyaa jaa rahaa hai. albattah yeh dekh` kar Hairat bh`ee huyee keh is kalaam ke intiKhaab meN behtaree kee kaafee gunjaa,ish hai!

internet kee har meHfil meN naYe likh`ne waale baRee ta'daad meN aate haiN jab.k un kee madad karne waale bohat kam haiN. aisee Soorat meN yeh nau-waarid dost yahaaN dee gayee shaa,i'ree se hee apnee bisaat^ bh`ar seekh`ne kee koshish kareN ge. agar bazm meN kalaam ma'yaaree naheeN ho gaa to us kaa nateejah z^aahir hai!

is Khat^ kee muHarrik Nusrat Zehra kee darj-e-zel Ghazal hai jis ko yahaaN imtiyaazee maqaam par chaspaaN kiyaa gayaa hai. agar barr-e-SaGheer-e-Hind-o-Pak meN aisee hee shaa,i'ree ho rahee hai to yeh ek maqaam-e-i'brat hai! waise mujh` ko yaqeenee t^aur par i'lm hai keh Nusrat Zohra kee yeh Ghazal hamaare wat^an meN aaj kee jaane waale shaa,i'ree kee numaa,indah hargiz naheeN hai!

meHfil ke arbaab-e-iqtidaar se darKhwaast hai keh woh in ma'rooZ^aat par Ghaur farmaaYeN. jis meHfil kee baag-dor janaab Abdullah Nazir SaaHeb jaise SaaHib-e-i'lm-o-naz^ar ke haath`oN meN ho wahaaN ham ooNche ma'yaar kee ummeed karne meN Haq-bajaanib haiN! ab aa,iYe ek naz^ar is Ghazal par bh`ee Daal leejiYe!
--------------------------------
shab-e-firaaq bh`ee teree shabeeh banaatee rahee
kasak meN koyee Khushboo mujh`e sujh`aatee rahee

is Ghazal kaa wazn yooN hai:

mu-faa-i'-lun, fa-i'-laa-tun, mu-faa-i'-lun, fa'-lun (yaa, fa-i'-lun)

mat^le' ke donoN miSre' saaqit^-ul-wazn haiN! :shabeeh: ko :shabee: paRhiYe to pehlaa miSra' mauzooN hotaa hai! shaa,i'rah ne Hindi kaa lafz^ :ch`abee: hee likh` diyaa hotaa! kam se kam wazn to durust ho jaataa! doosraa miSra' nah Sirf wazn se Khaarij hai bal.k be-ma'nee bh`ee hai! mazeed yeh keh donoN miSro'N meN baahimee rabt^ bh`ee naa-paid hai! goyaa mat^la' muhmal hai! koyee batlaa,o keh ham batlaaYeN kyaa?
------------------------
miree galee meN koyee aas th`ee nah dh`okaa th`aa
tire gumaan, miree reh-guZar sajaatee rahee

yeh she'r bh`ee be-ma'nee aur muhmal hai! doosraa miSra' to is qadar be-faiZ^ hai keh kyaa kahiYe! "tire gumaan, miree reh-guzar sajaatee rahee"- ya'nee kyaa? mumkin hai keh Nusrat Zehra she'r kaa mat^lab samjh`aa sakeN! is waqt to :mat^lab-e-she'r dar bat^n-e-shaa,i'r: waalee baat hee
Saadiq aa rahee hai!
-------------------------
woh Khwaab meN bh`ee mujh`e dam-baKhood kiYe rehnaa
tiree naz^ar miree aaNkh`oN ke geet gaatee rahee

:tiree naz^ar: meree :aaNkh`oN ke geet: kaise gaa saktee hai, aur woh bh`ee Khwaab meN? she'r kyaa hai :ik mu,a'mmah hai samajh`ne kaa nah samjh`aane kaa!:. kyaa Sara Jabeen SaaHebah is silsileh meN meree madad kar saktee haiN? unhoN ne hee is Ghazal kaa intiKhaab kiyaa hai!
--------------------------------
bohat hee sard kisee Khunk zard mausam meN
tiree Sadaa mire dil ke qareeb aatee rahee

yeh :sard, Khunk: mausam kyaa hotaa hai? waise yeh bh`ee a'rZ^ hai keh SaHeeH lafz^ hai :Khunuk: nah keh :Khunk:! aur is ke ma'nee haiN :sard:! aaj ma'loom huwaa keh :sard: mausam :Khunk: (Khunuk) ya'nee :sard: bh`ee ho saktaa hai! maashaa Allah!
--------------------
koyee payaam galee se bh`ee teree aayaa th`aa
Sabaa sitaare miree raah meN bich`aatee rahee

she'r Ghaneemat hotaa agar baat kaam kee kahee gayee hotee. is se qabl ham ne Sabaa ko ph`ool aur kaliyaaN to bich`aate sunaa th`aa lekin :sitaare bich`aate: naheeN sunaa th`aa. so yeh inkishaaf bh`ee aaj ho gayaa! Khudaa jaane yeh kaun see Sabaa hai jo aasmaan se sitaare toR laayee hai!

Nusrat Zehra Saahebah ne apnee shaa,i'ree ke aaGhaaz ke Hawaaleh se kahaa hai keh :yeh paidaa,ish se hee Allah rabb-ul-i'zzat kee t^araf se KhaaS a't^aa hai!:. agar un kaa mat^lab yeh hai keh un kee shaa,i'ree (yaa kam se kam yeh Ghazal) :bachkaanah: hai to mujh` ko un se pooraa ittifaaq hai!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Nusrat Zehra wrote:
Sarwar Raz Sahab
Aadab
Yeh jan kar intehai khushi howi kay app nay mujh jaisi tiflay maktab ki islah ki aur is bhi ziyada khushi yeh jan kar howi kay urdu shiari kay hawalay se kuch aisay log abhi maujood hain jo yeh chahtay hain kay ghazal ki huramtoon ko bachaya jay, main mehfiloon main apna kalam ya afsanay is liye nahee bhaijti kay mera bol bala ho balkay mera maqsad sirf yeh hai kay asatiza ki nazar se guzarain aur woh hamain batain kay hum main kiya khamian hain tanqeed agar bara-e-islah ho to buhut faida punchati hai aur main aap ki shukar guzar hoon kay aap nay mujhay is na pukhta fan kay sath kitab chapwanay ki ghalti se bachaya mandarja bala ghazal main nay us waqt likhi thi jab main fisrt year ki taliba thi laikin mujhay tasleem hai kay hum mutalay ki kami ka shikar hain magar kuch arsay se main nay urooz par dastayab mawad ko baghaur parhna aur samajhna shuru kiya hai kiyooon kay meri nacheez rai main shairi ki asal ghazal hai jis par uboor hasil kiye baghair hum adhoray hain aap ki is tawaju ka aik par phir shukriya.
aap ki mukhlis
nusrat zehra.
muHtarimah Zehra SaaHebah: aadaab!

maiN aap kaa mamnoon hooN keh aap ne mere Khat^ ko us ke SaHeeH tanaaz^ur meN paRhaa aur samjh`aa. sab se pehle to maiN aap ko yaqeen dilaataa hooN keh meraa maqSad aap kee tanqeeS hargiz naheeN th`aa aur taZ^Heek kaa to koyee sawaal hee paidaa naheeN hotaa. meree teHreer kaa maqSad ek aisee Soorat-e-Haal kee jaanib sab kee tawajjuh mabZool karnaa th`aa jis kee durustee Z^arooree samajh`taa hooN. aap kee faraaKh-dilee ke liYe sipaas-guZaar hooN.

agar mere Khat^ se aap kaa Khayaal apne kalaam kee behtaree kee jaanib gayaa hai to maiN is ko ta'meeree hee kahooN gaa. Karachi meN be-shumaar aSHaab-e-fan maujood hoN ge. agar kisee se aap istifaadah kar sakeN to achh`aa ho gaa. shaa,i'ree bh`ee ek fan hai aur is ko bh`ee seekh`aa jaanaa chaahiye.

yeh jaan kar Khushee huyee keh aap ne i'lm-e-a'rooZ^ kaa mut^aali,a'h shuroo' kar diyaa hai. is se yaqeena" aap ko bohat faa,idah ho gaa. aaj kal a'rooZ^ se beshtar she'r-go naa-waaqif haiN. kuch` mujh` jaise haiN jin ko is kee shud-bud hai. aur aise log jo is i'lm ke maahir haiN aaTe meN namak ke baraabar haiN. koshish kartee rahiYe. inshaa-Allah aap jald hee apnee manzil ko poNhach jaaYeN gee.

du,a'a-go

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Re: Sarwar SaaHib kee khidmat meiN
WEBMASTER wrote:

MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne NuSrat Zehra SaaHibah kee ghazal ke baare meiN mukhtaSar Taur per jo bhee tabSirah farmaayaa hei, maiN us se 100% muttafiq hooN.

Aap ne likhkhaa hei:
meHfil ke arbaab-e-iqtidaar se darKhwaast hai keh woh in ma'rooZ^aat par Ghaur farmaaYeN. jis meHfil kee baag-dor janaab Abdullah Nazir SaaHeb jaise SaaHib-e-i'lm-o-naz^ar ke haath`oN meN ho wahaaN ham ooNche ma'yaar kee ummeed karne meN Haq-bajaanib haiN! ab aa,iYe ek naz^ar is Ghazal par bh`ee Daal leejiYe!

Apne baare meiN HauSlah afzaayi ke liye beHad shukrguzaar hooN lekin yeh aapka khulooS hei ke mujhe kisi qaabil samjhaa. Site per bahut kam aise shoAaraa aate heiN jo tabaadila-e-khayaal ke liye tayyar houte heiN. Isi liye maiN ne apne tabSiraoN meiN bahut iHtiyaaT se kaam lenaa shurooA kiyaa hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.
mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

Khat^ ke jawaab kaa shukriyah! albattah maiN yeh a'rZ^ karooN gaa keh is t^araH agar aap logoN kee taSHeeH aur intiqaad se haath` uThaa leN ge to naye likh`ne waaloN kaa kyaa ho gaa? is waqt kisee meHfil meN bh`ee siwaaYe mere ek bh`ee shaKhS aisaa naheeN hai jo logoN kee iSlaaH kaa kaam kar rahaa ho! aur yeh ek maqaam-e-i'brat hai. aap ko apne mauqif par naz^ar-e-caanee karne kee saKht Z^aroorat hai!

maiN ne ek t^areeqah apnaayaa hai. Z^arooree naheeN keh woh aap ke yaa kisee aur ke liYe bh`ee mu,accar ho. maiN KhulooS-e-niyyat se (aur jahaaN tak mumkin hotaa hai) asnaad ke saath` tabSirah kartaa hooN aur be-laag likh`taa hooN. agar shaa,i'r sanjeedagee se jawaab detaa hai (chaahe woh mujh` se muttafiq ho yaa nah ho) to us se tabaadilah-e-Khayaal kartaa hooN aur jab baat :beHc baraaYe beHc: tak aa jaatee hai to Khush-dilee se salaam kar ke Khaamosh ho jaataa hooN! Urdu Duniya meN meree aur Amjad SaaHeb kee Haaliyah guftgoo is kee micaal hai.

meraa Zaatee tajribah yeh hai keh agar beHc jaZbaatee nah ho aur adabee aur sanjeedah rahe to log sun lete haiN. us par a'mal bh`ale hee nah kareN lekin talKh`-kalaamee kee naubat naheeN aatee. yooN bh`ee maiN kisee baat meN Harf-e-aaKhir to hooN naheeN keh apnee baat manwaa kar hee ch`oRooN! beHc Khatm kartaa hooN to is kaa Khayaal rakh`taa hooN keh meraa hee Khat^ us kaa :aaKhiree patth`ar: nah ho!

aap se iltimaas hai keh yeh kaam ph`ir shuroo' kar deN. har ek kee ta'reef se kyaa HaaSil? mere Khayaal meN is se to meree saakh` gir jaaYe gee. yehee Haal Khaamoshee kaa hai. agar Nusrat Zehra SaaHebah kee Ghazal par maiN Khaamosh rahooN to goyaa us par muhr-e-taSdeeq-o-qubooliyat lagaataa hooN jo keh Ghalat^ hai. yeh kaam bohat aham hai aur mujh` akele se yeh :bh`aaR naheeN ph`ooT saktaa hai!: ummeed hai keh aap is jaanib tawajjuh deN ge. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

Mohtaramii Sarwar SaHeb
aadaab
is madaaKhilat-e-bejaa ke liye mu'af farmaaiye. lekin yeh arz karna zaroori samajhta huN ke aap ka kehna durust hai. aap ke mauqaf se maiN sad fisad muttafiq huN aur Mohtaram Nazir SaHeb se yeh darKhwaast karna chaahta huN ke woh hamesha ki taraH naye likhne waaloN ki rehnumaayi apne tabsiroN ke zar'iye farmaate raheN, warna is bazm ka maqsad Khatm ho jayega jaise ke aap ne bajaa taur par farmaaya. aap ke alaawa Khuloos-e-niyyat se tabsirah, aGhlaat ki nishandehi ya islaaH sirf Nazir Saheb karte haiN, jaise ke aap ne farmaaya. masla" Haal hi meiN aap ke tabsirah ke ba'ad meri Ghazal ke ek misr'a ki bandish meiN maujood faash Ghalti mujhe nazar aayi '(hamaare saaGhar-e-dil meiN milaake jaam-e-nazar') warna digar bazmoN meiN rasmi 'waah waah' sun kar mutmayin rahe! doosre ash'ar par bhi nazar-e-caani karne se behtar soorateiN nikliiN. aur is ke liye ek baar phir izhaar-e-tashakkur karta huN. Mohtaram Nazir SaHeb ne bhi kai baar rehnumaayi farmaayi jis ke liye maiN un ka shukr_guzaar huN.
aaKhir meiN, MoHtarma Sara SaHeba se bhi guzaarish hai ke woh kushaadah_dili se kaam leN, dil bura na kareN aur bazm ke maqaasid ko nazar meiN rakheN. adabi aur sanjeedah guftagu ka yahi taqaaza hai.
umeed hai ke Khaaksaar ki koi baat kisi ko nagawaar nahiN guzri hogi.

muKhlis
Daanish
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
User avatar
Atiq-ur-Rehman Saffy
-
-
Posts: 66
Joined: Sat Jan 01, 2005 1:58 pm
Location: Gujrat, Pakistan
Contact:

Post by Atiq-ur-Rehman Saffy »

Mohtram sarwar sahib, Mohtram Abdullah nazir sb aur mohtarma Sara jabeen Sahiba, Asslam u Alikum,
Allah rabul izzat kee rehmatain aur barakatain aap sab per nazil hoti rahain, Ameen.
sab say pehlay to mein apnay qabl-e-sud-ehtram bazurg shuara
janab Sarwar Alam Raaz sb aur Janab Abdullah nazir sb, ka teh-e-dil say shukar guzaar hoon k aap donon internet per barray khaloos aur mohabat say tamam naye likhnay waloon kee beloos tareeqay say rahnumai farma rahay hain. meri aap say yehi istada hai k ye faiz ka sarchshma jari-o-saari rakhain. ta k iss qaht urrjal kay door mein ilmo adab ka pyaasoon kee tishnagi door karnay ka saaman hota rahay.
mein bohot adab say aap kee khidmat mein chand guzaarshaat pesh karna chata hoon, agar kaheen khuda na khasta koi aisi baat likh doon jo tabeeyat per graan guzrain to mujhay muaaf kar dejay ga, kyoon k mera maqsad sirf apna mud,daa byaan karna hai.
sab say pehli baat to ye k jo loog naye likhnay walay hotay hain wo ghlteeyan zaroor kartay hain, un kee islaah kee zimadaari kiss kee hai zahir hai aap jaisi qabl-e-qadr ilmo danish wali hasteeyoon kee hai. mujhay ye baat barray afsoos say saath kehna parh rahi hai k nusrat zehra kee "na pukhta" ghazal mein ghlteeyooin kee nishaan dahi kar kay aap nay apni ilmeeyit ka raub to jama diya hai lekin islaah kaheen naheen farmai........ sirf ghalteeyoon kee nishan dahi kar dena koi bohot bada kaam naheen hai.mein issay hosla shikni smajhta hoon.
dosri baat ye k kisi bhi likhnay walay kee tehreer ko parh kar tanzeeya lehjay mein itnay karway kaseelay alfaaz ada karnay kee bajai ussay barri shafqat aur mohabat say bhi bataya aur samjhaya ja sakta hai k kahan per ghalti hai aur kaisay darust ho sakti hai.
haan aik aur bohot aham baat....Sara jabeen sahiba poray haloos aur mohabat say iss khoobsorat website per ilmi aur adbi fraiz sar anjaam day rahi hain mein un kee iss beloos khidmat ko haraj-e-tehseen pesh karta hoon aur mein sara sahiba kee iss baat say bilkul mutafiq hoon k agar aam bool chaal mein koi english ka lafz istamaal ho jata hai to uss per iss qadar karri tanqeed nahee kee jani chai,ay. kyoon k ab tak urdu mein english kay kai aisay ailfaaz hain jo rooz marra ka darja haasil kar chukay hain.jaisay english kay lafz "bore"say "boryet" ka lafz urdu mein rooz marra kay toor per istamal ho raa hai. iss liye tanqeed barai tanqeed say mukamal perheez kee jaini chai,ay. waisay bhi zaban zareey-e-izhaar hai issay aam molveeyoon ka tarha gunah o sawab ka hisa mat banain , ap kee mehrbani hoo gee.
aakhir mein, main Mohtarma Nusrat zehra sahiba aur mohtarma Saara jabeen sahiba kee aala zarfi kee zaroor tareef karna chahoon ga k aap donon nay apnay seniors kee tamam batoon ko mukamal tor per musbat andaaz mein liya aur bohot aala adbi rayaat ke misaal pesh kee.
Neehayat adab kay saath,sakht say sakht jawab ka muntazir.

Duaa Goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Atiq-ur-Rehman Saffy wrote:
Mohtram sarwar sahib, Mohtram Abdullah nazir sb aur mohtarma Sara jabeen Sahiba, Asslam u Alikum,
Allah rabul izzat kee rehmatain aur barakatain aap sab per nazil hoti rahain, Ameen.
sab say pehlay to mein apnay qabl-e-sud-ehtram bazurg shuara janab Sarwar Alam Raaz sb aur Janab Abdullah nazir sb, ka teh-e-dil say shukar guzaar hoon k aap donon internet per barray khaloos aur mohabat say tamam naye likhnay waloon kee beloos tareeqay say rahnumai farma rahay hain. meri aap say yehi istada hai k ye faiz ka sarchshma jari-o-saari rakhain. ta k iss qaht urrjal kay door mein ilmo adab ka pyaasoon kee tishnagi door karnay ka saaman hota rahay.
mein bohot adab say aap kee khidmat mein chand guzaarshaat pesh karna chata hoon, agar kaheen khuda na khasta koi aisi baat likh doon jo tabeeyat per graan guzrain to mujhay muaaf kar dejay ga, kyoon k mera maqsad sirf apna mud,daa byaan karna hai.
mukarramee Saffy SaaHeb: aadaab!

yaad-aawaree kaa shukriyah!

Zikr meraa mujh` se behtar hai keh us meHfil meN hai!

aap kee muHabbat hai jo aise alfaaz^ se yaad kiyaa hai! albattah ba'd meN jaZbaat kee rau kuch` tez ho gayee hai! so is meN koyee harj naheeN hai. kisee baat kaa buraa maan,ne kaa sawaal hee naheeN hai. har sahKhS ko apne Khayaalaat ke aazaadaanah iz^haar kaa iKhtiyaar hai aur honaa bh`ee chaahiYe. ab :aamadam bar sar-e-mat^lab:!
Quote:
sab say pehli baat to ye k jo loog naye likhnay walay hotay hain wo ghlteeyan zaroor kartay hain, un kee islaah kee zimadaari kiss kee hai zahir hai aap jaisi qabl-e-qadr ilmo danish wali hasteeyoon kee hai. mujhay ye baat barray afsoos say saath kehna parh rahi hai k nusrat zehra kee "na pukhta" ghazal mein ghlteeyooin kee nishaan dahi kar kay aap nay apni ilmeeyit ka raub to jama diya hai lekin islaah kaheen naheen farmai........ sirf ghalteeyoon kee nishan dahi kar dena koi bohot bada kaam naheen hai.mein issay hosla shikni smajhta hoon.
maiN aap kee baat se muttafiq hooN. ab aap yeh dekh`eN keh Nusrat Zehra SaaHebah kaa ta,a'aruf ek :nau-aamoz: shaa,i'rah kee Haiciyyat se naheeN karaayaa gayaa th`aa jo :naa-puKht: kehtee haiN. bal.k un kaa Zikr-e-Khair ek bohat qaabil aur achh`ee shaa,i'rah kee Haiciyyat se th`aa. kisee sitam-z^areef ne ab yeh ta,a'aruf apnee maSliHat kee Khaat^ir badal diyaa hai! lihaaZah un kee shaa,i'ree ko :naa-puKht: samajh` kar naheeN bal.k :puKhtah: (aur jald hee SaaHeb-e-kitaab hone waalee) shaa,i'rah kee t^araH dekh`aa jaaYe gaa. so yehee kiyaa gayaa. iSlaaH kaa sawaal hee naheeN uThtaa hai! haaN agar mauSoofah ek nau-aamoz kee t^araH kalaam i'naayat karteeN to iSlaaH bh`ee ho jaatee. lekin un ko to yeh da'wah th`aa keh Allah kee KhaaS i'naayat shaa,i'ree kee Soorat meN :paidaa,ish: se a't^aa huyee hai! aap Ghaur kareN ge to aap kee yeh daleeleN jaZbaat par mabnee haiN, Haqeeqat par naheeN!
Quote:
dosri baat ye k kisi bhi likhnay walay kee tehreer ko parh kar tanzeeya lehjay mein itnay karway kaseelay alfaaz ada karnay kee bajai ussay barri shafqat aur mohabat say bhi bataya aur samjhaya ja sakta hai k kahan per ghalti hai aur kaisay darust ho sakti hai.
aap kee baat sar-aaNkh`oN par! Hairat hai keh Nusrat SaaHebah ne aisee faash Ghalat^iyaaN keeN aur unheN shaa,ye' bh`ee kar diyaa. mujh` ko e'tiraaf hai keh meree tanqeed saKht th`ee. ma'Zirat! lekin is kaa pas-manz^ar bh`ee naz^ar meN rakh`iYe keh kyoN aisaa karanaa paRaa!
Quote:
haan aik aur bohot aham baat....Sara jabeen sahiba poray haloos aur mohabat say iss khoobsorat website per ilmi aur adbi fraiz sar anjaam day rahi hain mein un kee iss beloos khidmat ko haraj-e-tehseen pesh karta hoon aur mein sara sahiba kee iss baat say bilkul mutafiq hoon k agar aam bool chaal mein koi english ka lafz istamaal ho jata hai to uss per iss qadar karri tanqeed nahee kee jani chai,ay. kyoon k ab tak urdu mein english kay kai aisay ailfaaz hain jo rooz marra ka darja haasil kar chukay hain.jaisay english kay lafz "bore"say "boryet" ka lafz urdu mein rooz marra kay toor per istamal ho raa hai. iss liye tanqeed barai tanqeed say mukamal perheez kee jaini chai,ay. waisay bhi zaban zareey-e-izhaar hai issay aam molveeyoon ka tarha gunah o sawab ka hisa mat banain , ap kee mehrbani hoo gee.
Hairat hai keh aap ma'moolee see baat ko nah samajh` sake! is ko kehte haiN keh :maarooN gh`uTnaa, ph`ooTe aaNkh`:! maiN ne yeh kab kahaa keh English ke un alfaaz^ se parhez kiyaa jaaYe jo ab Urdu kaa HiSSah ho chuke haiN? kyaa Sara ne yehee kiyaa th`aa? Zaraa un kaa Khat^ ek baar ph`ir dekh`eN! meraa mat^lab :Urdish: se hai ya'nee Urdu meN Khwaah ma-Khwaah English ke fiqre aur jumle ThooNsnaa aur aise alfaaz^ ista'maal karnaa jin ke a'am-fehm Urdu mutabaadil alfaaz^ mayassar haiN. jo baat aap Urdu meN keh sakte haiN us ko English meN kehnaa kyaa ma'nee rakh`taa hai? har SaaHeb-e-a'ql ke nazdeek aisee Harakat maZ^Hakah-Khez aur naa-qaabil-e-q;ubool ho gee.

Sara SaaHebah ke KhulooS meN shak naheeN hai. albattah un kee :jaZbaatiyat: Zaraa Khat^arnaak hai! adabee beHc meN jaZbaat kee gunjaa,ish kam hee hotee hai. aap bh`ee is se parhez kareN to behtar ho gaa!
Quote:
aakhir mein, main Mohtarma Nusrat zehra sahiba aur mohtarma Saara jabeen sahiba kee aala zarfi kee zaroor tareef karna chahoon ga k aap donon nay apnay seniors kee tamam batoon ko mukamal tor per musbat andaaz mein liya aur bohot aala adbi rayaat ke misaal pesh kee.
maiN aap kee baat par ;Swaad: kartaa hooN. aur aap se yeh pooch`naa chaahataa hooN keh kyaa aap kee naz^ar se Nusrat Zehra SaaHebah kaa Naheed ke naam woh Khat^ naheeN guZraa jis meN unhoN ne Naheed par nihaayat saKht aur naa-zebaa alfaaz^ meN tanqeed kee th`ee, un kee kitaab kaa Zikr kiyaa th`aa jab.k yeh is kaa maqaam naheeN hai aur un par sarqeh (doosroN ke ash,a'ar ke choree) kaa ilzaam lagaayaa th`aa? mauSoofah ne al-qamar kaa :link: bh`ee faraaham kiyaa th`aa taa.k log wahaaN jaa kar Naheed par tanqeed kaa tamaashah dekh` leN. kyaa aap ab bh`ee Nusrat SaaHebah ke mo'taqid-o-maddaH haiN? un kaa woh Khat^ miTaa diyaa gayaa hai lekin paRhne waale us ko dekh` chuke haiN! us waqt aap kahaaN th`e?
Quote:
Neehayat adab kay saath,sakht say sakht jawab ka muntazir.

Duaa Goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy
jawaab kee :saKhtee: kee sanad to maiN naheeN de saktaa hooN albattah is kaa yaqeen dilaataa hooN keh aap ko be-laag jawaab hee mile gaa. agar aap ko Saaf-goyee pasand naheeN hai to mujh` ko is kaa afsos hai. meraa to yeh Haal hai keh:

apne bh`ee Khafaa mujh` se haiN, begaane bh`ee naa-Khush
maiN zehr-e-halaahal ko kabh`ee keh nah sakaa qand!

aaKhir meN iltimaas hai keh is teHreer kaa jawaab deN to Khayaal rahe keh sanjeedah aur Haqeeqat par mabnee ho. beHc-baraaYe-beHc kaa maiN qaa,il naheeN hooN. shukriyah!


Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Atiq-ur-Rehman Saffy
-
-
Posts: 66
Joined: Sat Jan 01, 2005 1:58 pm
Location: Gujrat, Pakistan
Contact:

Post by Atiq-ur-Rehman Saffy »

qabl-e-sud ehktram Sarwar sb, aadab,

iss tamam moamlay mein Nusrat Zehra jis kee sab say zayada khichai ho rahi hai itni jazbati naheen hoin jitna aap ho rahay hain, aakhir kyoon?
aap ka to muqaam in tamam batoon say bohot buland hai, phir aap in moamlaat ko itna tool kyoon day rahay hain.
mohtram Sarwar sb ham aap say aala adbi aur tehleeqi kaam kee umeed rakhaty hain na k in choti choti batoon kee.
ham sab chotay hain, aur aap bohot barray,aap say meri yehi guzarish hai k apnay barray pan ka saboot detay howay iss tamam silsilay ko yahen dafn kar dain, kyoon k ye koi adbi guftgu naheen ho rahi balkay nafratoon kay aik naye silsilay kee bunyaad par rahi hai aur hamara kaam nafratain naheen mohabatain phelana hai.

yehi hai maqasad saffy hamara
diloon say nafrat niukaal rakhna

umeed hai k aap meri iss guzarish per thanday dil o damagh say ghoor farmain gay.
naik taman,naaon kay saath,
Duaa Goo aur aap kee duaaoon ka talib,

Atiq-ur-Rehman Saffy
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Atiq-ur-Rehman Saffy wrote:
qabl-e-sud ehktram Sarwar sb, aadab,

iss tamam moamlay mein Nusrat Zehra jis kee sab say zayada khichai ho rahi hai itni jazbati naheen hoin jitna aap ho rahay hain, aakhir kyoon?
aap ka to muqaam in tamam batoon say bohot buland hai, phir aap in moamlaat ko itna tool kyoon day rahay hain.
mohtram Sarwar sb ham aap say aala adbi aur tehleeqi kaam kee umeed rakhaty hain na k in choti choti batoon kee.
ham sab chotay hain, aur aap bohot barray,aap say meri yehi guzarish hai k apnay barray pan ka saboot detay howay iss tamam silsilay ko yahen dafn kar dain, kyoon k ye koi adbi guftgu naheen ho rahi balkay nafratoon kay aik naye silsilay kee bunyaad par rahi hai aur hamara kaam nafratain naheen mohabatain phelana hai.

yehi hai maqasad saffy hamara
diloon say nafrat niukaal rakhna

umeed hai k aap meri iss guzarish per thanday dil o damagh say ghoor farmain gay.
naik taman,naaon kay saath,
Duaa Goo aur aap kee duaaoon ka talib,

Atiq-ur-Rehman Saffy
muHibbee: aadaab!

t^ai kar chukaa hooN raah-e-muHabbat ke marHale
is se ziyaadah Haajat-e-sharH-o-bayaaN naheeN! (Raz Chandpuri)

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply