Assalam-o-a'laikum,
MoHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab !!
Apni ik nayee kaavish laykar Hazir-e-khidmat howa hoN, umeed hai k apni besh-qeemat aaraa aur tanqeed se nawaazeNge :D .
To lejeye ghazal Hazir hai:
Urdu Version:
Roman Version:
1. AaNkh paimaana-e-sharaab koi
Zulf teri hai yaa saHaab koi
2. Lab pe tere hai guftugo, jaisey
GulsitaaN maiN khile gulaab koi
3. YouN jhapakti hai, yeh palak jaisey
Taar-e-gul se, bune niqaab koi
4. Hai hazaaroN Hijaab maiN, laken
Nazar aataa hai be-Hijaab koi
5. Kyaa hi pur-lutf hai, sawaal tiraa
IsmaiN posheeda hai, jawaab koi
6. Pochte kyaa ho daastaan-e-Hayaat
behte paani maiN hai, Hubaab koi
7. MaiN hoN ik Harf-e-kaai'naat agar
Zindagi hai miree kitaab koi 8)
8. Manzil-e-dil, kahaaN :Zia: SaaHhib
Raah-e-ulfat ka hai saraab koi
MokhliS : Zia Baloch
:: AaNkh paimaana-e-sharaab koi ::
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
Re: :: AaNkh paimaana-e-sharaab koi ::
moHtaramii janaab-e-Zia saaHib,Star Mind wrote:Roman Version:
1. AaNkh paimaana-e-sharaab koi
Zulf teri hai yaa saHaab koi
2. Lab pe tere hai guftugo, jaisey
GulsitaaN maiN khile gulaab koi
3. YouN jhapakti hai, yeh palak jaisey
Taar-e-gul se, bune niqaab koi
4. Hai hazaaroN Hijaab maiN, laken
Nazar aataa hai be-Hijaab koi
5. Kyaa hi pur-lutf hai, sawaal tiraa
IsmaiN posheeda hai, jawaab koi
6. Pochte kyaa ho daastaan-e-Hayaat
behte paani maiN hai, Hubaab koi
7. MaiN hoN ik Harf-e-kaai'naat agar
Zindagi hai miree kitaab koi 8)
8. Manzil-e-dil, kahaaN :Zia: SaaHhib
Raah-e-ulfat ka hai saraab koi
assalaam_o_'alaikum,
aapkaa yeh kalaam paRha aur sach baat to yeh hai ki mujhe bahot bhaayaa. aapne apnii is Ghazal meN kamaal dikhaayaa hai. ek ek she'r dil meN utar gaya. yuN to har she'r hii ek dusre par sabqat haasil kiye huye hai is liye beja hogaa agar kisii ek she'r ko muntaKhib kiyaa jaaye magar phir bhi maiN yeh gustaaKhii kar hii DaaluNgaa aaj. mujhe matl'a aur ash'aar nambar 3, 5 aur maqt'a bahot pasand aayaa. ek umda aur kaamiyaab Gahzal par merii jaanib se bahot bahot mubaarakbaad...gar qubool uftaad!
Allah kare zor e qalam/eaqam aur zoiyaada!
-
- -
- Posts: 134
- Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
- Location: khanewal
- Contact:
assalam o alaikum zia sahib
meri itni haseyaat to nahi keh ghazal per tanqeed ker sakoon lekin itna zuroor kehoon ga keh tanqeed kay mawaqay buhut kam hain kionkeh ghazal her lehaz say ik mukammal aur khubsoorat takhleeq dekhayee deti hay ...her sheer buhut pukhta aur apnay manii o mafhoom per pora utrta nazar ata hay ..is qadar dil kash kalam per aap ko bharpoor daad dena chahoon gaa....khus rehain
waqar masood

hello
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
bahut khoob
Bradaram Zia sahib
choti bahar mai bahut sada si zaban mai
aik achi koshsih irsaal farmaane ka shukria..
choti bahar mai bahut sada si zaban mai
aik achi koshsih irsaal farmaane ka shukria..
W/salam,sbashwar wrote:Zia Sahib
Asslam Alaikom.
Aapki koshish pasand ayee. mubarak baad khubool kijiye.
shukria
Salem Bashwar
MoHtarami Salem Bashawar SaaHib, aap ne waqt nikaala aur miree is adnaa kavish ko saraaha aur pasand farmaaya. jis keleye maiN aap ka beHad mamnoon hoN. umeed hai k yeh silsila jaaree rahyega. shukriya
MokhliS : Zia Baloch
Re: :: AaNkh paimaana-e-sharaab koi ::
w/salaamHashmat Usmani wrote:
moHtaramii janaab-e-Zia saaHib,
assalaam_o_'alaikum,
aapkaa yeh kalaam paRha aur sach baat to yeh hai ki mujhe bahot bhaayaa. aapne apnii is Ghazal meN kamaal dikhaayaa hai. ek ek she'r dil meN utar gaya. yuN to har she'r hii ek dusre par sabqat haasil kiye huye hai is liye beja hogaa agar kisii ek she'r ko muntaKhib kiyaa jaaye magar phir bhi maiN yeh gustaaKhii kar hii DaaluNgaa aaj. mujhe matl'a aur ash'aar nambar 3, 5 aur maqt'a bahot pasand aayaa. ek umda aur kaamiyaab Gahzal par merii jaanib se bahot bahot mubaarakbaad...gar qubool uftaad!
Allah kare zor e qalam/eaqam aur zoiyaada!
moHtarami Hashmat SaaHib, maiN aap jesa andaaz-e-bayaaN laaoN to kahaaN se. aap ne to itni fayyazi dekhai hai , k maiN jo kuch bhi kahoN , mere lafz aap k khlooS k muqaabil hargiz khaRe nahiN hosakte .
in iHsaasaat ko paRh kar jo jazbaat mere dil maiN ubhre , unheN lafzoN k roop maiN dhaalna mere bas ki baat nahiN.
MaiN Sirf , itna keh saktaa hoN k . shukriya , mehrabani , karam .
MokhliS : Zia Baloch
W/Salaam,waqar_masood wrote:assalam o alaikum zia sahib
meri itni haseyaat to nahi keh ghazal per tanqeed ker sakoon lekin itna zuroor kehoon ga keh tanqeed kay mawaqay buhut kam hain kionkeh ghazal her lehaz say ik mukammal aur khubsoorat takhleeq dekhayee deti hay ...her sheer buhut pukhta aur apnay manii o mafhoom per pora utrta nazar ata hay ..is qadar dil kash kalam per aap ko bharpoor daad dena chahoon gaa....khus rehain
waqar masood
MoHtarami Waqaar SaaHib, aap to raai ko pahaaR banaakar paish kar'rahe haiN. bhala meeri yeh adnaa si kavish , is qaabil kahaaN k usee aap is qadr qeemati balke anmol alfaaz maiN saraaheN . ise maiN aap k Husn-e-nazar ka hi karishma hi keh saktaa hoN .
ba-har-haal aap ka bahut bahut shukriya. umeed karta hoN , k aaindah bhi izzat-afzaai farmaate raheyNge :D . shukriya.
MokhliS : Zia Baloch