Ghazal Pesh-e-Khidmat Hai !!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Ghazal Pesh-e-Khidmat Hai !!

Post by munir-armaan-nasimi »

Pyare Dosto,

Salaam-o-Rehmat! Ek ghazal ke saath app ki khidmat main haazir ho raha hoon. Lambi ghair-haazri se kahin aap logon ne bhula na diya ho... yahi dekhna hai....

Especial request to Abdullah Nazir Bhai and Jawaid Badauni Saheb alongwith Sara J., Kanwal, Tabassum, Sunita, Praise jee to 'comment' on this Ghazal for its beautification.

Taalib-e-Dua,

Munir Armaan Nasimi
Attachments
Ghazal-Raat-Dhalne-Lagi.gif
Ghazal-Raat-Dhalne-Lagi.gif (15.07 KiB) Viewed 153 times
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Munir arman Nasimi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil ghazal pasand aayi jo bahut seedhi saadah hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Raat Dhalne lagee hei ghar chaliye
Neend aati nahiN agar chaliye

Hamko chalna hei zindagaani meiN
Do qadam chaliye, umr bhar chaliye

Aaftaabi HararataoN se pare
Aayie chand ke nagar chaliye

Saamne mas'alah, hei paicheedah
kaunse shehr meiN, kidhar chaliye

her galee shehr kee hameN ab tou
derahi hei buri khabar chaliye

sang-baari ke tang raste meiN
HauSlah hou tou be-khaTar chaliye

Sun rahaa hooN ke apne gaa'ooN meiN
Aarahi hei nayi saHar chaliye

Shaayeri hougi moAtabar apni
Seekh leN sheAr kaa hunar chaliye

Dard kee daastaaN sunenge Muneer
Is jahaaN meiN jidhar jidhar chaliye


Aam Taur per yeh aek kaamyaab takhleeq hei lekin housaktaa hei ke baAZ doust aHbaab iski radeef ko nazar meiN rakhte houe ashAar per apni giraaNqadr aaraa pesh kareN.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Qabil-e-Sad Ehtaram Nazir Bhai,

Intehaayi shukr guzaar hoon ke aap ko meri seedhi saadhi ghazal pasand aayi. Main 'Constructive" tanqeed ko bura nahin samajhta. Mujhse islaah ki jaroorat hai... kahin se bhi mile...!!

With warm regards,

aap ka

Munir Armaan Nasimi
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

saara jeee

Kya karein yaar.. aap ko shayeri pasand hai na........ ishliye humne socha ke apna saara jor....... saara jee...... ki pasand pe laga dete hain.

Honestly, main ne mehsoos kiya ke logon ke paas Inshaiyah wagerah padhne ke liye (wohh bhi net pe) time nahin hai...... log ghazal aur nazm shauq se padh lete hain........ so main ne inshaiyaah post karna band kar diya....... waise Alla'h ka karam hai ke mere inshaiyye khoob chhapp rahe hain....... akhbaar o risaayel main.

Aur sunayein India ka trip kaisa raha. Mujhe aap ki hansi ki aawaaz ab bhi sunaayi deti hai........ jab bhi mobile pe koi hansta hai.

Alla'h kare aap hamesha hansti-mushkoorati rahein. Aameen!!

aap ka

Munir Armaan
Post Reply