"Ahmed Nadim Qasmi duniya se chal base"...........

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

"Ahmed Nadim Qasmi duniya se chal base"...........

Post by jawaid badauni »

Dosto Salam!

Yeh marSia maiN ne mash'hoor shayar, adeeb aur SaHafee mohtarm Ahmed Nadim Qasmi SaHib marHoom ke inteqaal per kaha tha. Ummid hai pasaNd farmayeNge.

Allah marHoom ko apne jawar.e rahmat meN jagah de, aameen.

Jawaid Badauni






“Ahmed Nadim Qasmi” duniya se chal basey



Yeh Gam jahaan.e sher.o adab kis tarah sahe
:Ahmed Nadim Qasmee: duniya se chal base

Sher.o.sukhan ki duniya ko veeran kar gaye
Lo “Qasmi” bhi aaj jahaN se guzar gaye

“Urdu” bechaari yooN bhi GamoN ki satayee hai
rone ko woh :Nadim: ki mayyat per aai hai

maila nah hone paya abhi “Faiz” ka kafan
duniya se kooch kar gaya ik aur ahl.e fun

“Urdu” zubaaN yeh taza alam kis tarah sahe
HairaaN hai woh “Nadeem” ka Gam kis tarh sahe

Rote haiN geet dil hai rubaai ka bhee udaas
Hai Nazm mahv.e girya Gazal bhi hai mahv.e yaas

She.ro adab hi sirf nahiN maaiil.e alam
Unke liye hai aaj SaHafat bhi mahv.e Gam

Allah ne diye they unheN kis qadar hunar
Y’aani adeeb bhi tha SaHafee bhi woh bashar

Beshak jahaan.e fun meN woh thay maahir.e azeem
Ik kohna mashq ahl.e suKhan shaayar.e azeem

Parwardigaar Shafaa.e mahshar ka waastah
M’abood! tujhko pyaare Payamber ka wastah

Ya rub! tou unki saare KhataaoN ko baKhsh dey
MarHoom ke tamaam gunaahoN ko baKh dey

Sarkaar.e Anbiya’ ki shafaAt naseeb ho
Is shaayar.e buzurg ko jannat naSeeb ho

---------------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat - oman
Last edited by jawaid badauni on Thu Aug 24, 2006 8:38 pm, edited 3 times in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

ik saaniHah jo marciyah ahl-e-adab kaa hei

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Ahmed Nadeem Qasimi marHoom ko apni shaayeri ke ibtidaayi daur se paRhtaa aaya hooN aur us waqt se ab tak unkaa aek miSraA yaaddasht meiN meHfooz hei:

nange ghuTne leke kiyuN aayaa are o be-namaaz

Parveen Shakir kee rehnumaayi meiN unka bahut baRaa haath thaa jiskaa iqraar mauSoofah ne apni kitabaoN meiN kiyaa hei.

Aapki nazm se maiN beHad muta'accir houaa aur aankh se aanso chalak paRe. (chashm-e-nam ke siwaa kuch aur nahiN paas mire……Hadicah jab koii houtaa hei chalak jaati hei)


---(Ahmed Nadim Qasmi” duniya se chal basey)---


Yeh Gam jahaan.e sher.o adab kis tarah sahe
:Ahmed Nadim Qasmee: duniya se chal base

Sher.o.adab ki duniya ko veeran kar gaye
Lo “Qasmi” bhi aaj jahaN se guzar gaye

“Urdu” bechaari yooN bhi GamoN ki satayee hai
rone ko who “Nadim” ki mayyat pe aaii hai

Maila nah honey paya abhee “Faiz” ka kafan
Duniya se aaj uTh gaya ek aur ahle. fun

Ab yeh zubaan taza alam kis tarah sahe
“Ahmed Nadeem” daaG.e alam dey ke chal base

Rote haiN geet aaj roobaayee bhi hai udaas
NazmeN bhi mahv.e girya Gazal bhi hai mahv.e yaas

She.ro adab hi sirf nahiN maaiil.e alam
Hai unke Gam meN aaj SaHafat bhi mahv,e Gam

Allah ne diye they oosey kis qadar hunar
Y’aani adeeb bhi tha SaHafee bhi woh bashar

Beshak jahaan.e fun meN woh tha maahir.e azeem
Ik kohna mashq ahl.e suKhan shaayar.e azeem

Parwardigaar! Shafaa.e mahshar ka waastah
Khaiq! hamare pyaare Payember ka wastah

Ya Rub! tou unki saare KhataaoN ko baKhsh dey
M’aabood! “Qasmi” ke gunaahoN ko baKh dey

Sarkar.e Anbia’ ki shafaAt naSeeb ho
Is shaayar.e azeem ko jannat naSeeb ho

---------------------------------------------------

Jawaid Badauni
Muscat – oman

Aapki is ta'accur se bharpoor nazm per khaaksaar kee daad o teHseen qubool farmaayiye aur Allah se duAa hei keh aapko jazaay-e-khair Ataa farmaaye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Mohtaram Nazir SaHab,

Behud mamnoon hooN. Waise jab aap "reply" de rahe they maiN apni "post" ko edit kar raha tha. Ek sher ka izafa' hoowa hai aur kaii misRey badal gaye haiN. Zahmat nah ho to ek baar phir dekh lijiyega.

Kal yahaN Muscat meN Pakistan Cultural Club ki janib se Hotel Alfalaj meN ek taqreeb "Pay tribute to Ahmed Nadim Qasmi" ke naam se ho rahe hai jismeN apke Khadim se KhaC taur per yeh nazm paRhne ko kaha gaya hai. Yeh Nazm maiN ne oosee funtion ke liye kahee hai. Mumkin hoowa to taqreeb ki mukammal report Urdubandhan ko irsaal karooNga. Is qism ki cheezeN "Urdubandhan" ke kis forum meN irsaal karna chaahiye bataiyega zaroor.

MuKhliS
Jawaid
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: "Ahmed Nadim Qasmi duniya se chal base".......

Post by yasir shah »

muHtaram janaab
Jawaid Badauni SaaHib !

ummeed hay aap kheriyat se hoN ge? yeh marciya nazar.nawaaz hu.aa paRh kar karb meHsoos hu.aa,, aap kaa bahut shukriyah keh aap ne apne Gham kaa izhaar intihaai khoobSoorat pairaaye meN kiyaa ,,

Khudaa marhoom ki bakhshish farmaa.e aur unheN jannat-ul-firdos meN jagah a'taa farmaa.e

Sagheer Malal SaaHib kaa aik bahut khoobSoorat she'r jo keh is moqa' peh yaad aa gayaa,,aap bhi paRhye :

khalaa meN ho gaa sitaaraa jo door tak deKheN
phir us ke ba'd bahut door tak khalaa ho gaa



khush rahye
du'aago
yasir
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: "Ahmed Nadim Qasmi duniya se chal base".......

Post by jawaid badauni »

yasir shah wrote:muHtaram janaab
Jawaid Badauni SaaHib !

ummeed hay aap kheriyat se hoN ge? yeh marciya nazar.nawaaz hu.aa paRh kar karb meHsoos hu.aa,, aap kaa bahut shukriyah keh aap ne apne Gham kaa izhaar intihaai khoobSoorat pairaaye meN kiyaa ,,

Khudaa marhoom ki bakhshish farmaa.e aur unheN jannat-ul-firdos meN jagah a'taa farmaa.e

Sagheer Malal SaaHib kaa aik bahut khoobSoorat she'r jo keh is moqa' peh yaad aa gayaa,,aap bhi paRhye :

khalaa meN ho gaa sitaaraa jo door tak deKheN
phir us ke ba'd bahut door tak khalaa ho gaa



khush rahye
du'aago
yasir

Mohtaram Yasir SaHib
Aadaab

MarSiye ki pazeeraaii ke liye aap ka behud mamnoon hooN.

MuKhliS
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezah Sara SaHibah

Der aayad durust aayad.

Aap ne marSiya dekha aur pasaNd kiya mujhe bohat Khooshi hoowee. Yek ek adna.o.nacheez shayar ka ek azeem kohnamashq shayr ko Khiraj.e aqeedat hai.

Shukriya.

Jawaid
Post Reply