chiraagh.e maaH bhee sharmaa raHaa hai

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

chiraagh.e maaH bhee sharmaa raHaa hai

Post by PK Swami »

Yaraan.e mehfil
aadaab arz hai.

aap kee khidmat meiN Nihaal Siyoharvee kee aik ghazal pesh hai. kaisee lagee bataaiegaa, meharbane hogee !

junooN taaleem kuchh farmaa rahaa hai
khirad kaa saaTh chhuTaa jaa rahaa hai

baRhee jaatee hai shamme.bazm kee lau
koi parwanaa shaayad aa rahaa hai

fanaa kaa peshroo iss ko samajhiye
jo lamHa zindgee kaa jaa rahaa hai

ilaaHee sharm rakhnaa raaz.e dil kee
kisi kaa naam lab par aa rahaa hai

teri roshan jabeeN kaa hai vo aalam
chiraagh.e maaH bhee sharmaa rahaa hai !

nigah meiN shakl tak dekhi naheeN hai
pase pardaa koi taRpaa rahaa hai

Nihaal aaNkheN uThaa bahre nazaraa
koi soo.e gulistaaN aa rahaa hai !!




P K Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khooob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
PK Swami SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapkee pesh kee houee ghazal bahut achchi hei aur kisi kuhnah mashq shaayer kee lagti hei. Nihaal SaaHib kaa naam doosre kayi mash'hoor shoAaraa ke naamaoN kee TaraH mere daayira-e-maAloomaat meiN nahiN aasakaa.

Sirf maTleA meiN jo yooN hei:
junooN taaleem kuchh farmaa rahaa hai
khirad kaa saaTh chhuTaa jaa rahaa hai


taAleem farmaanaa koii muHaavirah nahiN hei. TaAleem denaa, lenaa, HaaSil karnaa to Theek heiN.

BaharHaal aek achchi ghazal pesh kane per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye aur aayindah bhee hameN mustafeed houne kaa mauqaA diyaa keejiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

Nazir Saheb
aadaab.


aap ne jo baat likhee hai, vo theek hee jaan paRtee hai. ghazal jis haal meiN mere nazdeek thee, pesh kee hai.

ghazal aapne pasand kee aur meri koshish qaamyaab huee. aapkaa behad shukriyaa.


PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
Post Reply