TARAHI MISRA' - -- - (GUZ.21) by: ABDULLAH NAZIR.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
TARAHI MISRA' - -- - (GUZ.21) by: ABDULLAH NAZIR.
Muhtaramaat o Muhtarameen
Arbaab-e-meHfil o Ahbaab-e-Sukhan,
Purkhuloos Tasleemaat, :rose
TaraHi misraA dene meiN taakheer hougaii hei jiske liye maAzirat khwaah hooN.
GUZARISH #21. Taareekh Sept. 5, 2006
TaraHi misraA :
"Jou ahl-e-zarf houte heiN vohi bardaasht karte heiN"
Radeef = bardasht karte heiN (paRhne meiN aur taqTeeA meiN "tey" kee aawaaz nahiN aayegi.)
Qaafiye: (vohi, sabhi, kabhi, dillagi, zindagi, bebasi, nami, tehi, begaanagi, dushmani, ajnabi, ghaRi, dousti) waghairah.
Jinke liye yeh radeef baar guzre wo "heiN" radeef ke Taur per baandh sakte heiN aur qawaafi:
(karte, bhrte, sanwarte, marte, Darte, ubharte, nikhare, utarte, katarte, bipharte, guzate, )waghairah:
Yeh beHr-e-hazaj mucamman Salim hei. Iska vazn hei:
"mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun…mufaa'ee'lun"
=//0/0/0…..//0/0/0…..//0/0/0…..//0/0/0.
=1222…….1222…….1222…….1222.
Ummeed ke aap sab TabA' aazmayi karenge aur khaaksaar ko mamnon farmaayenge.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Note: Pahle main ne apni yaaddasht ke bharouse per is miSreA ke baare meiN yeh likhkhaa thaa ke MuSHafi kaa hei Lekin apni thaki maandi Haalat meiN talaash karne per nah mil sakaa.
Doosri baat yeh ke Mahtaab Qadr SaaHib ne radeef aur qaafiyaoN ke baare meiN poochaa ke aayaa aSl ghazal meiN vohi qaafiye aur radeef heiN jo maiN ne diye heiN tou mujhe 2 ikhtiyaaraat dene paRe heiN.
Last edited by Abdullah Nazir on Sat Sep 30, 2006 4:43 pm, edited 4 times in total.
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Tarmeem karchukaa hooN
MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,
Aapke inaayat naameh ke liye shukrguzaar hooN. MiSraA dete waqt se ab tak meri Haalat aek thake haare musaafir kee TaraH hei. Apin yaaddasht kee bunyaad per likhkhaa thaa ke miSraA MuSHafi kaa hei lekin is Haalat meiN talaash karne se nah mil sakaa.
Tarmeem karke maiN ne 2 ikhtiyaaraat lihdiye heiN jin meiN se aap koii aek ikhtiyaar karsakte heiN. Shukriyah.
Aapka MukhliS,
Nazir.