shab-e-ummeed kee saHar nah huyee ...(Guzarish # 14)

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

shab-e-ummeed kee saHar nah huyee ...(Guzarish # 14)

Post by Raji »

SuKhanwaraan-e-bazm:
Aadaab-o-tasleemaat,

aaj jab apne Pc kee safaYii karne bhaiTee tu apnii ek bohat hee puraanii koshish par naZar paRee.
ghaur karne par yaad aaYaa keh yeh tu voh taraHee Ghazal hai jiskee Guzarish urdubandhan peh bohat mah pahle kee gayii thee.

Ghuzarish 14 kee yeh Ghazal pesh karne meN go keh bohat taKheer hoovii hai lekin choNkeh ise isee mushaire ke liye likhaa gayaa thaa isliye ise sab se pahle yaheN post kar rahii hooN.
apnii aaraa aur rehnumayii se zaroor navaaziye gaa.


mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:


*************************


Final Version:
~~~~~~~~~~
Ghazal:

1. koyee tadbeer baarwar nah huyee
shab-e-ummeed kee saHar nah huyee

2. rooT kar kyaa gayii Khushii ham se
phir mulaqaat, umr bhar nah hoovii

3. zindagi ho gayii tamaam magar!
do ghaRee chain se basar nah hoovii (Yagaanah changezi :yaas:)


4. jaane kab tak sazaaeN paanii heN?
us Khataa kee jo jaan kar nah hoovii

5. tum Ghalat ho ke bhi Ghalat nah hoove
ik sanad meri mou'tabar nah hoovii


6. kaun detaa mujhe pataa meraa?
aap apnii mujh`e Khabar nah hoovii

7. Gham kaa t^oofaaN hai aur maiN :Raji:
dekh~ lo phir bhi aankh~ tar nah hoovii

(Zahida Raees :Raji: )




Last edited by Raji on Fri Sep 15, 2006 10:19 am, edited 1 time in total.
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

sara_j wrote:Dear Raji,

PC ki safaai hui aur humein aapki aek khoobsurat tehreer parhne mili :grin:

is hassaas ghazal per dili mubarakbaad aur daad qubool keejiye.

sara
Azeezah Sara Jee:

Aadaab-o-tasleemaat,

aap ka Khat dekh kar Khushii hoovii. meree is be-tukee koshish par tavajjah dene aur isko sarahaane ke liye bohat mamnoon hooN. :-)
daad aur mubarakbaad ka bhi bohat shurkiyah.
umeed kartee hooN keh aaindah bhi youNhi HoSlah-afazii kartee raheNgee.

mamnoon-o-taalib-e-dua'a

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Post Reply