kahb`ee tujh` peh meree nigaah hai!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

kahb`ee tujh` peh meree nigaah hai!

Post by Sarwar A. Raz »

rr
Attachments
gg-kabheetujh_cr.gif
gg-kabheetujh_cr.gif (16.55 KiB) Viewed 474 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Fri Sep 29, 2006 1:16 pm, edited 2 times in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz Sarwar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

"fikr-e-sham-e-firaaq" kiyuN hei yeh ghaur karrahaa thaa ke meri DSL line munqaTiA hougayi aur tabSire ko doosre din per multawi karnaa paRaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
Atiq-ur-Rehman Saffy
-
-
Posts: 66
Joined: Sat Jan 01, 2005 1:58 pm
Location: Gujrat, Pakistan
Contact:

Post by Atiq-ur-Rehman Saffy »


Qabl-e-sad Ekkhtram Sarwar Alam Raz Sb, Aadab,
Kya khoobsorat aur shaandaar ghazal kahee hai aap nay, kafi din baad itna shaandar klaam parhnay ko mila hai...wah wah bohot khoob, meri tarf say daad qabool kejay.
naik taman,naoon kay saath,
Duaa goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by Sarwar A. Raz »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Sarwar A. Raz Sarwar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

"fikr-e-sham-e-firaaq" kiyuN hei yeh ghaur karrahaa thaa ke meri DSL line munqaTiA hougayi aur tabSire ko doosre din per multawi karnaa paRaa.


Aapka MukhliS,
Nazir.

mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!

Zarrah-nawaazee ke liYe mamnoon hooN! ummeed hai keh ab :fikr-e-shaam-e-firaaq: se najaat mil gayee ho gee! aap ke mufaSSil tabSireh kaa intiz^aar hee rahaa!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Atiq-ur-Rehman Saffy wrote: Qabl-e-sad Ekkhtram Sarwar Alam Raz Sb, Aadab,
Kya khoobsorat aur shaandaar ghazal kahee hai aap nay, kafi din baad itna shaandar klaam parhnay ko mila hai...wah wah bohot khoob, meri tarf say daad qabool kejay.
naik taman,naoon kay saath,
Duaa goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy
janaab Saffy SaaHeb: aadaab!

aap kee muHabbat hai jo itne achh`e alfaaz^ se naacheez ko yaad kiyaa hai. saraapaa sipaas hooN! ummeed hai keh aa,indah bh`ee mulaaqaat hotee rahe gee. ek guZaarish hai keh Khat^ likh`ne ke ba'd agar us kaa imlaa Ghaur se dekh` liyaa kareN to ham logoN ko aasaanee ho jaaYe gee. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shaam-e-firaaq

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz. Sarwar SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :lol:

Aapke javaab ke liye beHad shukrguzaar hooN. Aap ne likhkhaa hei:

Zarrah-nawaazee ke liYe mamnoon hooN! ummeed hai keh ab :fikr-e-shaam-e-firaaq: se najaat mil gayee ho gee! aap ke mufaSSil tabSireh kaa intiz^aar hee rahaa!

Agar fikr-e-shaam-e-firaaq se najaat mil jaati tou mujhe fikr-e-shaam-e-viSaal shurooA houjaati. Agar viSaal-e-majaazi yaa viSaal-e-Haqeeqi houjaataa tou aapko kaanoN kaan khabar houjaati. Khudaa kare ke aapko fikr-e-shaam-e-firaaq se najaat nah mile. :P


Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Sun Sep 10, 2006 10:53 pm, edited 1 time in total.
Image
User avatar
Atiq-ur-Rehman Saffy
-
-
Posts: 66
Joined: Sat Jan 01, 2005 1:58 pm
Location: Gujrat, Pakistan
Contact:

Post by Atiq-ur-Rehman Saffy »

Mohtram Sarwar Alam Raz Sb , Asslam u alikum,
mujhay roman urdu mein likhna bilkul bhi acha naheen lagta lekin majboran likhna parta hai..iss liye mein jaisay bhi likhta hoon, sirf yehi koshish karta hoon k parhnay walay ko smajh aa jai aur mera khayal hai k likhi hoi baat kee samajh aa bhi jati hai..iss liye mein iss per hee mutmain hoon,
aap apnay khoobsorat klaam say aainda bhi nawaztay rehyay ga,
aap kay purhaloos jawab ka bohot bohot shukriya,
Dua Goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Atiq-ur-Rehman Saffy wrote:Mohtram Sarwar Alam Raz Sb , Asslam u alikum,
mujhay roman urdu mein likhna bilkul bhi acha naheen lagta lekin majboran likhna parta hai..iss liye mein jaisay bhi likhta hoon, sirf yehi koshish karta hoon k parhnay walay ko smajh aa jai aur mera khayal hai k likhi hoi baat kee samajh aa bhi jati hai..iss liye mein iss per hee mutmain hoon,
aap apnay khoobsorat klaam say aainda bhi nawaztay rehyay ga,
aap kay purhaloos jawab ka bohot bohot shukriya,
Dua Goo,
Atiq-ur-Rehman Saffy
janaab Saffy SaaHeb: aadaab!

maiN aap se muttafiq hooN keh in meHfiloN meN saaraa kaam Urdu meN honaa chaahiYe. mushkil yeh hai keh ek to har ek ke paas Urdu software naheeN hai (mere paas hai!), doosre agar hai to us ko gif meN lagaanaa hotaa hai jo Zaraa zeHmat kaa maqaam hai aur teesre yeh keh kuch` Urdu-dost Urdu rasm-ul-Khat^ se naa-aashnaa haiN aur is wajh se Urdu aur Roman donoN meN hee taKhleeq pesh karnee behtar hai aur yeh bh`ee t^awaalat kaa baa,ic hai! meraa Khayaal hai keh ab aisaa Urdu software aa gayaa hai jis se gif ke baGhair hee Urdu meN ba-raah-e-raast kitaabat ho saktee hai. maiN apne ek dost se ma'loom kar rahaa hooN. jo patah chale gaa aap ko bh`ee aagaah karooN gaa.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Mashallah bohat a'alaa

mohteram mukarram Sarwar Saheb

dilee daad ki mustahiq hai aap ke eyeh ghazal

so qabul fermaaiye

wassalam
live and let live

Image
User avatar
Atiq-ur-Rehman Saffy
-
-
Posts: 66
Joined: Sat Jan 01, 2005 1:58 pm
Location: Gujrat, Pakistan
Contact:

Post by Atiq-ur-Rehman Saffy »

Mohtram Sarawa Raz sb, Asslam u Alikum,
aap kay jawab ka bohot bohot shukriya, mujhay bhi uss urdu soft ware ka intizar rahay ga,
Saffy
Post Reply