rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab!

aaj hee ek Ghazal mukammal huyee hai. pesh kar rahaa hooN. is par aap sab be-laag likh`iYe. koyee shaKhS bh`ee tanqeed-o-tabSireh se baalaa-tar naheeN hai. har ek Ghalat^ee kar saktaa hai aur naYe shaa,i'r puraane shaa,i'roN se behtar keh sakte haiN! yeh Haqeeqat hai afsaanah naheeN hai.

agar aap kaa tabSirah bohat a'alimaanah naheeN bh`ee hai to bh`ee mujh` ko yaqeen hai keh is ko likh`ne meN jis fikr se aap guZreN ge us meN ham sab ke liYe seekh`ne kaa bohat saamaan ho gaa. maiN muntaz^ir rahooN gaa. ummeed hai keh maayoos naheeN kareN ge. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

=========================
GHAZAL:

rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
hameN har raah teree reh-guZar ma'loom hotee hai!

hameN yeh zindagee ik dard-e-sar ma'loom hotee hai!
nah honaa chaahiYe aisaa, magar ma'loom hotee hai!

muSeebat meN ik aisaa waqt bh`ee aataa hai insaaN par
Zaraa see ch`aa,oN bh`ee apnaa hee gh`ar ma'loom hotee hai!

nah ham badle, nah dil badlaa, nah raNg-e-a'ashiqee badlaa
magar badlee huyee teree naz^ar ma'loom hotee hai!

kabh`ee tum bh`ee kisee se dil lagaa kar dekh`te SaaHeb!
Zaraa see choaT bh`ee ik u'mr bh`ar ma'loom hotee hai!

har aahaT par miree saaNsoN kee lau ph`ir jaag uThtee hai
shab-e-ummeed yaadoN kaa safar ma'loom hotee hai!

hameN duniyaa bh`alaa kyaa raah par apnee lagaaYe gee?
woh apne aap se hee be-Khabar ma'loom hotee hai!

tire she'roN peh itnee daad "Sarwar"? saKht Hairat hai!
hameN yeh saazish-e-ahl-e-hunar ma'loom hotee hai!
------------------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Attachments
gg-raheulfat.gif
gg-raheulfat.gif (19.78 KiB) Viewed 502 times
Last edited by Sarwar A. Raz on Fri Sep 29, 2006 1:15 pm, edited 1 time in total.
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Salaam-o-Aadaab Mohataram Sarwar Sahab!! :-)

Kaise hain aap??Ek taweel waqfe ke baad aap se humkalaam hote hue behad khushi mehsoos ho rahi hai.India se wapsi abhi 2-4 roz pehle hi hui hai..aate hi aap ki is ghazal pe nazar paRi...hamesha ki tarah bahut hi umda hai....har sher lajawaab hai...waqaii dil se daad de rahi hoon..ye koi saazish nahi hai :grin:

rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
hameN har raah teree reh-guZar ma'loom hotee hai!

wah ye mazmoon zara haT ke laga kyonki amoman logon ko koi bhi safar taweel lagta hai magar yahan aapne nihaayat mukhtasar likh ke ise unique bana diya hai...bahut khoob...

muSeebat meN ik aisaa waqt bh`ee aataa hai insaaN par
Zaraa see ch`aa,oN bh`ee apnaa hee gh`ar ma'loom hotee hai!

nah ham badle, nah dil badlaa, nah raNg-e-a'ashiqee badlaa
magar badlee huyee teree naz^ar ma'loom hotee hai!

kabh`ee tum bh`ee kisee se dil lagaa kar dekh`te SaaHeb!
Zaraa see choaT bh`ee ik u'mr bh`ar ma'loom hotee hai!

har aahaT par miree saaNsoN kee lau ph`ir jaag uThtee hai
shab-e-ummeed yaadoN kaa safar ma'loom hotee hai!

WAHHHHHHHHHHHHHHHHHH!!!!!Bahut hi khoob..!!!Dili Daad pesh hai :rose :rose

Hum wahi SHumaila :-)
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah.

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami,
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne nihaayat hee dilkash ghazal pesh kee hei jiske liye khaaksaar kee dili daad qubool farmaayiye. Saare ashAar per nazar Daalne se iskaa kuch tou Haq adaa housakegaa.

rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
hameN har raah teree reh-guZar ma'loom hotee hai!

Waah waah kyaa kehne. SheAr khud apni sharH bayaan karrahaa hei.

hameN yeh zindagee ik dard-e-sar ma'loom hotee hai!
nah honaa chaahiYe aisaa, magar ma'loom hotee hai!

Zamaane ke badalte houe Haalaat ne bachchaoN ko booRhaa kardiyaa hei tou zindagi kaa aek lambaa safar Tai karne waale ko yeh zindagi dard-e-sar kiyuN nah maAloom hou! Aek bahut hee sachchaa ehsaas hei, waah waah.

muSeebat meN ik aisaa waqt bh`ee aataa hai insaaN par
Zaraa see ch`aa,oN bh`ee apnaa hee gh`ar ma'loom hotee hai!

Pahle miSreA meiN Seemab Akbaraabaadi ke is miSreA se 90% tavaarud hougayaa hei:
"MuHabbat meiN ik aisaa waqt bhee aataa hei insaaN per."
SheAr kaa javaab nahiN, waah waah.

nah ham badle, nah dil badlaa, nah raNg-e-a'ashiqee badlaa
magar badlee huyee teree naz^ar ma'loom hotee hai!

Waah waah, kyaa Haseen taghazzul hei.

kabh`ee tum bh`ee kisee se dil lagaa kar dekh`te SaaHeb!
Zaraa see choaT bh`ee ik u'mr bh`ar ma'loom hotee hai!

Bahut khoob, waah waah, lekin yeh sheAr aapki nazar-e-ghaayir kaa muHtaaj hei.

har aahaT par miree saaNsoN kee lau ph`ir jaag uThtee hai
shab-e-ummeed yaadoN kaa safar ma'loom hotee hai!

Kyaa hee achchaa sheAr hei Sarwar SaaHib. Yeh houee naa baat ke sheAr saans letaa houaa maAloom hourahaa hei.

hameN duniyaa bh`alaa kyaa raah par apnee lagaaYe gee?
woh apne aap se hee be-Khabar ma'loom hotee hai!

Bahut khoob. Yeh aek Haqeeqat hei ke dunyaa khud se bekhabar hei.

tire she'roN peh itnee daad "Sarwar"? saKht Hairat hai!
hameN yeh saazish-e-ahl-e-hunar ma'loom hotee hai!

Bahut khoob, waah kyaa maqTaA hei. Go keh is meiN inkisaari se ziyaadah daad dene waalaoN per jin meiN maiiN bhee shaamil hooN aek ilzaam hei.
Khush rehiye aur aisi hee dilkash ghazlaoN se hameN mustafeed houne kaa mauqaA dete rehiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Shummu wrote:Salaam-o-Aadaab Mohataram Sarwar Sahab!! :-)

Kaise hain aap??Ek taweel waqfe ke baad aap se humkalaam hote hue behad khushi mehsoos ho rahi hai.India se wapsi abhi 2-4 roz pehle hi hui hai..aate hi aap ki is ghazal pe nazar paRi...hamesha ki tarah bahut hi umda hai....har sher lajawaab hai...waqaii dil se daad de rahi hoon..ye koi saazish nahi hai :grin:

rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
hameN har raah teree reh-guZar ma'loom hotee hai!

wah ye mazmoon zara haT ke laga kyonki amoman logon ko koi bhi safar taweel lagta hai magar yahan aapne nihaayat mukhtasar likh ke ise unique bana diya hai...bahut khoob...

muSeebat meN ik aisaa waqt bh`ee aataa hai insaaN par
Zaraa see ch`aa,oN bh`ee apnaa hee gh`ar ma'loom hotee hai!

nah ham badle, nah dil badlaa, nah raNg-e-a'ashiqee badlaa
magar badlee huyee teree naz^ar ma'loom hotee hai!

kabh`ee tum bh`ee kisee se dil lagaa kar dekh`te SaaHeb!
Zaraa see choaT bh`ee ik u'mr bh`ar ma'loom hotee hai!

har aahaT par miree saaNsoN kee lau ph`ir jaag uThtee hai
shab-e-ummeed yaadoN kaa safar ma'loom hotee hai!

WAHHHHHHHHHHHHHHHHHH!!!!!Bahut hi khoob..!!!Dili Daad pesh hai :rose :rose

Hum wahi SHumaila :-)
a'zeezah Shumaila: aadaab!

kahaaN raheeN itne din? aap to naz^ar hee naheeN aatee haiN! ab aayee haiN to aatee rahiYe. shukriyah!

Ghazal kee paZeeraayee aur daad ke liYe dil se sipaas-guZaar hooN. is Ghazal ko kayee meHfiloN meN lagaayaa th`aa aur kaafee dostoN ne is par raaYe likh`ee hai. yehee yahaaN aane kaa maqSad bh`ee hai. aap jaise dostoN se mulaaqaat bh`ee ho jaatee hai aur zabaan-o-adab kee ta'leem bh`ee! isee ko to kehte haiN :ek panth`, do kaaj!:

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah.

Post by Sarwar A. Raz »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami,
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne nihaayat hee dilkash ghazal pesh kee hei jiske liye khaaksaar kee dili daad qubool farmaayiye. Saare ashAar per nazar Daalne se iskaa kuch tou Haq adaa housakegaa.

rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
hameN har raah teree reh-guZar ma'loom hotee hai!

Waah waah kyaa kehne. SheAr khud apni sharH bayaan karrahaa hei.

hameN yeh zindagee ik dard-e-sar ma'loom hotee hai!
nah honaa chaahiYe aisaa, magar ma'loom hotee hai!

Zamaane ke badalte houe Haalaat ne bachchaoN ko booRhaa kardiyaa hei tou zindagi kaa aek lambaa safar Tai karne waale ko yeh zindagi dard-e-sar kiyuN nah maAloom hou! Aek bahut hee sachchaa ehsaas hei, waah waah.

muSeebat meN ik aisaa waqt bh`ee aataa hai insaaN par
Zaraa see ch`aa,oN bh`ee apnaa hee gh`ar ma'loom hotee hai!

Pahle miSreA meiN Seemab Akbaraabaadi ke is miSreA se 90% tavaarud hougayaa hei:
"MuHabbat meiN ik aisaa waqt bhee aataa hei insaaN per."
SheAr kaa javaab nahiN, waah waah.

nah ham badle, nah dil badlaa, nah raNg-e-a'ashiqee badlaa
magar badlee huyee teree naz^ar ma'loom hotee hai!

Waah waah, kyaa Haseen taghazzul hei.

kabh`ee tum bh`ee kisee se dil lagaa kar dekh`te SaaHeb!
Zaraa see choaT bh`ee ik u'mr bh`ar ma'loom hotee hai!

Bahut khoob, waah waah, lekin yeh sheAr aapki nazar-e-ghaayir kaa muHtaaj hei.

har aahaT par miree saaNsoN kee lau ph`ir jaag uThtee hai
shab-e-ummeed yaadoN kaa safar ma'loom hotee hai!

Kyaa hee achchaa sheAr hei Sarwar SaaHib. Yeh houee naa baat ke sheAr saans letaa houaa maAloom hourahaa hei.

hameN duniyaa bh`alaa kyaa raah par apnee lagaaYe gee?
woh apne aap se hee be-Khabar ma'loom hotee hai!

Bahut khoob. Yeh aek Haqeeqat hei ke dunyaa khud se bekhabar hei.

tire she'roN peh itnee daad "Sarwar"? saKht Hairat hai!
hameN yeh saazish-e-ahl-e-hunar ma'loom hotee hai!

Bahut khoob, waah kyaa maqTaA hei. Go keh is meiN inkisaari se ziyaadah daad dene waalaoN per jin meiN maiiN bhee shaamil hooN aek ilzaam hei.
Khush rehiye aur aisi hee dilkash ghazlaoN se hameN mustafeed houne kaa mauqaA dete rehiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

muHtarimee Nazir SaaHeb: aadaab!

Khat^ aur daad ke liYe mamnoon hooN. aap ne ek ek she'r par iz^haar-e-Khayaal kiyaa hai aur tabSireh kaa Haq adaa kiyaa hai. shukriyah!

aap ne she'r #3 par Seemab Akbarabadi ke miSre' se tawaarud kaa Zikr kiyaa hai. jee haaN yeh tawaarud iraadee hai! maiN un ke she'r se waaqif hooN. yeh Ghazal bh`ee Seemab ke hee ek miSre' par t^araHee kahee gayee hai!

aap ne aaKhir meN likh`aa hai keh maqt^e' meN ahl-e-hunar ko :ilzaam: diyaa gayaa hai! so aisaa naheeN hai qiblah! maiN ne jo baat likh`ee hai woh t^anza" kahee hai! waise bh`ee maiN kaun saa aisaa baRaa shaa,i'r hooN keh koyee mere Khilaaf saazish kare gaa? ;-)

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai!

Post by tahira Masood »

Sarwar Raz wrote:yaaraan-e-bazm: aadaab!

aaj hee ek Ghazal mukammal huyee hai. pesh kar rahaa hooN. is par aap sab be-laag likh`iYe. koyee shaKhS bh`ee tanqeed-o-tabSireh se baalaa-tar naheeN hai. har ek Ghalat^ee kar saktaa hai aur naYe shaa,i'r puraane shaa,i'roN se behtar keh sakte haiN! yeh Haqeeqat hai afsaanah naheeN hai.

agar aap kaa tabSirah bohat a'alimaanah naheeN bh`ee hai to bh`ee mujh` ko yaqeen hai keh is ko likh`ne meN jis fikr se aap guZreN ge us meN ham sab ke liYe seekh`ne kaa bohat saamaan ho gaa. maiN muntaz^ir rahooN gaa. ummeed hai keh maayoos naheeN kareN ge. shukriyah!

Sarwar A. Raz "Sarwar"

=========================
GHAZAL:

rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai
hameN har raah teree reh-guZar ma'loom hotee hai!

mashallah bohat hi khoob matlaa hai

hameN yeh zindagee ik dard-e-sar ma'loom hotee hai!
nah honaa chaahiYe aisaa, magar ma'loom hotee hai!

kayaa baat hai bohat khoob waah

muSeebat meN ik aisaa waqt bh`ee aataa hai insaaN par
Zaraa see ch`aa,oN bh`ee apnaa hee gh`ar ma'loom hotee hai!

Bajaa irshaad fermaay moHteram Haqeeqat hai yeh. Khudaa bachaaey aise waqt se

nah ham badle, nah dil badlaa, nah raNg-e-a'ashiqee badlaa
magar badlee huyee teree naz^ar ma'loom hotee hai!

kabh`ee tum bh`ee kisee se dil lagaa kar dekh`te SaaHeb!
Zaraa see choaT bh`ee ik u'mr bh`ar ma'loom hotee hai!

har aahaT par miree saaNsoN kee lau ph`ir jaag uThtee hai
shab-e-ummeed yaadoN kaa safar ma'loom hotee hai!

hameN duniyaa bh`alaa kyaa raah par apnee lagaaYe gee?
woh apne aap se hee be-Khabar ma'loom hotee hai!

bohat khoob waaaaaaaaah =D> =D> =D> subhaanallah

tire she'roN peh itnee daad "Sarwar"? saKht Hairat hai!
hameN yeh saazish-e-ahl-e-hunar ma'loom hotee hai!

:grin: :grin: :grin:

achaa zaq-e-mazaaH hai aur yeh aap ki kaCar-e-nafsee hai jo aisaa keh rehay haiN achee cheez ki her jagah pazeeraaii hotee hai

khush rehiye
------------------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
[/color]
live and let live

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: rah-e-ulfat nihaayat muKhtaSar ma'loom hotee hai!

Post by Sarwar A. Raz »

tahira Masood wrote:

muHtarimah Tahira SaaHebah: aadaab!

jawaab meN taaKheer ke liYe ma'Zirat-Khwaah hooN. kuch` aisaa chand beHcoN meN uljh`aa keh waqt ke par lag gaYe!

aap ne Ghazal dekh`ee aur dil-sozee se daad bh`ee dee. maiN aap kaa intihaayee mamnoon-o-shukrguZaar hooN. aap ne farda" farda" ash,a'ar kee daad dee hai. yeh aap kee muHabbat aur nawaazish kee nishaanee hai. Khush rahiYe!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Ehsan Raza
-
-
Posts: 46
Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
Location: Makkah, Saudi-Arabia
Contact:

JAZAK ALLAH KHAI

Post by Ehsan Raza »

MOHATRAM SARWAR RAAZ SB
ZARA SEE CHAON BHI APNA HI GHAR MALOOM HOTEE HAI''
SHAIREE AAP HI KA HISSA HAI BAHOOT KHOOBSOORAT GHAZAL SE NAWAZA HAI ZINDAGI KE HER SHOBE KO GHAZAL KE NAAM SE PUKARNE KA FUN AAPKI SIFAAT KA HISSA HAI
MAINE DAFATAN AAPKO ''RAZA'' NAHI LIKHA HOGA TYPE MEN GHALTEE HO GAYEE HOGI MAI APNE NAAM SE KISI KO PUKARNE MEN GUREZ KARTA HOON WAISE NAAM ITNA BURA BHI NAHIN HAI
SHUKRIYA
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: JAZAK ALLAH KHAI

Post by Sarwar A. Raz »

Ehsan Raza wrote:MOHATRAM SARWAR RAAZ SB
ZARA SEE CHAON BHI APNA HI GHAR MALOOM HOTEE HAI''
SHAIREE AAP HI KA HISSA HAI BAHOOT KHOOBSOORAT GHAZAL SE NAWAZA HAI ZINDAGI KE HER SHOBE KO GHAZAL KE NAAM SE PUKARNE KA FUN AAPKI SIFAAT KA HISSA HAI
MAINE DAFATAN AAPKO ''RAZA'' NAHI LIKHA HOGA TYPE MEN GHALTEE HO GAYEE HOGI MAI APNE NAAM SE KISI KO PUKARNE MEN GUREZ KARTA HOON WAISE NAAM ITNA BURA BHI NAHIN HAI
SHUKRIYA
mukarramee Raza SaaHeb: aadaab!

nawaazish ke liYe saraapaa sipaas hooN. Ghazal aap ko pasand aayee aur yeh amr meree i'zzat-afzaayee kaa baa,ic huwaa. aap jaise karam-farmaa,oN kee i'naayat samajh`iYe keh kuch` keh letaa hooN. warnah man aanam keh man daanam!