:: bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardaasht karte haiN :

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardaasht karte haiN :

Post by Star Mind »

Yaaraan-e-meHfil, aadaab

is hafte ka mausim kaafee baad-o-baaraani rahaa ! ab dekhiye na dosree Ghazal ko 3 din bhi nahiN guzre k ik aur Ghazal sarzad hogayee magar is maiN hamaara kyaa quSoor ! zameen hee aisee dilchasp thee k tabee'at phaRak uThee ! :D

to lijiye Ghaza Haazir hai

1.

bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardasht karte haiN
moHabbat maiN ham aisaa z^ulm bhee bardaasht karte haiN !

2.

tiree aaNkhoN k paimaane maiN ham ne kyaa nahiN dekhaa
ta'ajjub hai k phir bhee tishnagee bardaasht karte haiN !

3.

zaraa see zindagee kaa bojh uThaa paate na ham kaisee ?
diwaane baar-e-kooh-e-a'aashiqee bardaasht karte haiN !

4.

junooN waaloN se poochho i'shq maiN kaisee jiyaa jaaye
yehee to haiN jo har Gham baa Khushee bardaasht karte haiN !

5.

umeed-e-waSl tak baaqee nahiN dil maiN, jahaaN waalo
hamaaraa z^arf dekho kyaa kamee bardaasht karte haiN !

6.

sitam har Haal maiN sihte haiN ham teree moHabbat maiN
kabhee bardaasht hotaa hai, kabhi bardaasht karte haiN !

7.

Zia ham ne rah-e-ulfat maiN kyaa kyaa dukh na jheele haiN
"jo ahl-e-z^arf hote haiN wohi bardaasht karte haiN!"

.............................................................................................

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 21 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardasht karte haiN
moHabbat maiN ham aisaa z^ulm bhee bardaasht karte haiN !

MaTlaA bahut khoob hei, waah waah.

tiree aaNkhoN k paimaane maiN ham ne kyaa nahiN dekhaa
ta'ajjub hai k phir bhee tishnagee bardaasht karte haiN !

Waah waah, kyaa kahne, bahut khoob.

zaraa see zindagee kaa bojh uThaa paate na ham kaisee ?
diwaane baar-e-kooh-e-a'aashiqee bardaasht karte haiN !

Achcha sheAr hei. Is meiN aap zindagi ko zarra si kehrahe heiN jo durust hei. Agar boujh ko zaraa saa kahnaa houtaa tou aap yuN kehte:
Zara saa, zindagi kaa boujh uThaa paate nah ham kaise

junooN waaloN se poochho i'shq maiN kaisee jiyaa jaaye
yehee to haiN jo har Gham baa Khushee bardaasht karte haiN !

sheAr bahut achchaa hei, waah waah. Baa khushi mufrad lafz nahiN hei "baa" ke maAni heiN saath aur (baa khushi)
ke maAn nikal rahe heiN "khushi ke saath"

umeed-e-vaSl tak baaqee nahiN dil maiN, jahaaN waalo
hamaaraa z^arf dekho kyaa kamee bardaasht karte haiN !

Agar doosre miSreA meiN lafz "kyaa" sawaaliah hei tou sheAr meiN taAqeed baaqi nahiN rehti.
Achcha sheAr hei, waah waah.

sitam har Haal maiN sihte haiN ham teree moHabbat maiN
kabhee bardaasht hotaa hai, kabhi bardaasht karte haiN !

Achchaa sheAr hei, waah waah.

Zia ham ne rah-e-ulfat maiN kyaa kyaa dukh na jheele haiN
"jo ahl-e-z^arf hote haiN wohi bardaasht karte haiN!"

Gireh ke saath yeh maqTaA bahut khoobSoorat hei, waah waah.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

mubarak bad

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Z^ia SaHeb!
aadaab
aap kee Ghazal bohot khubSurat qawafee aor haseeN maz^ameen ka
muraqqah hai.

sabhee asha'ar qabil-e-dad aor yad rakhe jane ke qabil haiN keh bawaqt-e-Z^arurat gungunaya ja sake.
meree janib se dad aor mubarak bad qubool kijiye.

Wassalam
muz^affar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

1.

bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardasht karte haiN
moHabbat maiN ham aisaa z^ulm bhee bardaasht karte haiN !

5.

umeed-e-waSl tak baaqee nahiN dil maiN, jahaaN waalo
hamaaraa z^arf dekho kyaa kamee bardaasht karte haiN !

6.

sitam har Haal maiN sihte haiN ham teree moHabbat maiN
kabhee bardaasht hotaa hai, kabhi bardaasht karte haiN !

wah wah kya khoob bardaast karte ho....daad pesh hai is bardaast karne pe :-) bahut umda ghazal hai hamesha k tarah....daad qubool karo!

shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

Post by zaamin »

zaraa see zindagee kaa bojh uThaa paate na ham kaisee ?
diwaane baar-e-kooh-e-a'aashiqee bardaasht karte haiN !

4.

junooN waaloN se poochho i'shq maiN kaisee jiyaa jaaye
yehee to haiN jo har Gham baa Khushee bardaasht karte haiN !

5.

umeed-e-waSl tak baaqee nahiN dil maiN, jahaaN waalo
hamaaraa z^arf dekho kyaa kamee bardaasht karte haiN !

bahut khoob ghazal kahii hai,aap ne ,mohtaram zia saahib;sabhii sher khoob hai;ooper waale khussosan achche lage
daad qabool farmaayein
zaamin

p.s anmol saahiba ke site per aap ki khoobsoorat aawaaz mein gayii huwii ghazlein sunne ka ittefaaq huwaa;bahut suriilii aawaaz paayi hai aap ne.
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by Star Mind »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 21 ke TaraHi miSreA per aapki ghazal beHad pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ustaad-e-moHtaram janaab-e-nazir SaaHib, aadaab

ye meri khush qismatee hai k aap ko mere Ghazal pasand aayee aur woh bhi beHad :-) tah-e-dil se mamnoon hoN !

MULAAHIZAAT:

bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardasht karte haiN
moHabbat maiN ham aisaa z^ulm bhee bardaasht karte haiN !

MaTlaA bahut khoob hei, waah waah.

nehaayat mamnoon hoN ! :-)

tiree aaNkhoN k paimaane maiN ham ne kyaa nahiN dekhaa
ta'ajjub hai k phir bhee tishnagee bardaasht karte haiN !

Waah waah, kyaa kahne, bahut khoob.

janaab ! tah-e-dil se mamnoon hoN ! :-)

zaraa see zindagee kaa bojh uThaa paate na ham kaisee ?
diwaane baar-e-kooh-e-a'aashiqee bardaasht karte haiN !

Achcha sheAr hei. Is meiN aap zindagi ko zarra si kehrahe heiN jo durust hei. Agar boujh ko zaraa saa kahnaa houtaa tou aap yuN kehte:
Zara saa, zindagi kaa boujh uThaa paate nah ham kaise

aap ne bajaa farmaayaa ! mujhe lagaa k maiN bojH ki bajaaye zindagee ko hee zaraa see keh loN to ziyaada achcha hai ! ?? nehaayat mamnoon hoN ! :-)

junooN waaloN se poochho i'shq maiN kaisee jiyaa jaaye
yehee to haiN jo har Gham baa Khushee bardaasht karte haiN !

sheAr bahut achchaa hei, waah waah. Baa khushi mufrad lafz nahiN hei "baa" ke maAni heiN saath aur (baa khushi)
ke maAn nikal rahe heiN "khushi ke saath"

jee jee , maiN bhi yehi kehnaa chaah rahaa hoN k "junoN waale har Gham Khushee k saath bardasht karte haiN" kyaa aisa kehnaa Theek nahiN hai ? :?

umeed-e-vaSl tak baaqee nahiN dil maiN, jahaaN waalo
hamaaraa z^arf dekho kyaa kamee bardaasht karte haiN !

Agar doosre miSreA meiN lafz "kyaa" sawaaliah hei tou sheAr meiN taAqeed baaqi nahiN rehti.
Achcha sheAr hei, waah waah.

achcha howaa aap ne mujhe jawaaz faraaham kardiyaa ! :grin: warna maiN ne to sawaaliya samajh kar nahiN likhaa thaa ! :wink:

sitam har Haal maiN sihte haiN ham teree moHabbat maiN
kabhee bardaasht hotaa hai, kabhi bardaasht karte haiN !

Achchaa sheAr hei, waah waah.

nehaayat mamnoon hoN !

Zia ham ne rah-e-ulfat maiN kyaa kyaa dukh na jheele haiN
"jo ahl-e-z^arf hote haiN wohi bardaasht karte haiN!"

Gireh ke saath yeh maqTaA bahut khoobSoorat hei, waah waah.

bohut bohut shukriya ! aap apnee maSroofiyyat aur buzurgee k baawujood bhi itnaa mufaSSal tabSira karte haiN ! sach kahooN to alfaaz nahiN mil rahe kaise shukriya adaa karoN ??

Zia Baloch

Aapka MukhliS,
Nazir.

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

Janab Zia SaHib...

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,,,

MASHALLAH ....kiya khoob ghazal kahi aap nay...bhai yeh baad-o-baranii ka silsila jaari rakhiyea....aur aap ka taza ba taza kalaam

say hameeN mustafaiz farmatay raheaga...
ik bahut hi khoob surat ghazal per mayri janib say daad qubool farmayeaga...

farhan
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Zia bhai
aap ki yeh ghazal bhee buhat pasand aayii
sabhi asha'ar achche haiN
daad qabool kijye
regards
zmufti
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
mohtaram zia baloch saahib

behtareen ghazal hai yeh aapki

khaasker hame.n sher na 6 bahut pasand aaya.

hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaye.n

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: :: bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardaasht karte ha

Post by Star Mind »

sara_j wrote:
Star Mind wrote:Yaaraan-e-meHfil, aadaab

is hafte ka mausim kaafee baad-o-baaraani rahaa ! ab dekhiye na dosree Ghazal ko 3 din bhi nahiN guzre k ik aur Ghazal sarzad hogayee magar is maiN hamaara kyaa quSoor ! zameen hee aisee dilchasp thee k tabee'at phaRak uThee ! :D

to lijiye Ghaza Haazir hai

1.

bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardasht karte haiN
moHabbat maiN ham aisaa z^ulm bhee bardaasht karte haiN !

baRe bhole hain aap!

2.

tiree aaNkhoN k paimaane maiN ham ne kyaa nahiN dekhaa
ta'ajjub hai k phir bhee tishnagee bardaasht karte haiN !

hmmmm.........ta'ajjub hai waqai!

3.

zaraa see zindagee kaa bojh uThaa paate na ham kaisee ?
diwaane baar-e-kooh-e-a'aashiqee bardaasht karte haiN !

:grin: waah! kya baat hai aapki.

4.

junooN waaloN se poochho i'shq maiN kaisee jiyaa jaaye
yehee to haiN jo har Gham baa Khushee bardaasht karte haiN !

sachii!

5.

umeed-e-waSl tak baaqee nahiN dil maiN, jahaaN waalo
hamaaraa z^arf dekho kyaa kamee bardaasht karte haiN !

very nice.

6.

sitam har Haal maiN sihte haiN ham teree moHabbat maiN
kabhee bardaasht hotaa hai, kabhi bardaasht karte haiN !

ahaan! bohat ache.

7.

Zia ham ne rah-e-ulfat maiN kyaa kyaa dukh na jheele haiN
"jo ahl-e-z^arf hote haiN wohi bardaasht karte haiN!"

baap re!! bohat ache bhai.

.............................................................................................

shukriya

Zia Baloch
Zia sahib,

bohat khoob ashaar nikaale hain aur girah bhi khoob
daad qubool keejiye.

sara
Saara SaaHiba,

aap ka Husn-e-naz^ar hai ! tah-e-dil se mamnoon hoN ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: mubarak bad

Post by Star Mind »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
moHtaram Z^ia SaHeb!
aadaab
aap kee Ghazal bohot khubSurat qawafee aor haseeN maz^ameen ka
muraqqah hai.

sabhee asha'ar qabil-e-dad aor yad rakhe jane ke qabil haiN keh bawaqt-e-Z^arurat gungunaya ja sake.
meree janib se dad aor mubarak bad qubool kijiye.

Wassalam
muz^affar
muzaffar SaaHib, w/salaam

aap jiasee mu'tabar hastee ka tashreef laana aur aisee KhoobSoorat daad se nawaaznaa yaqeena" is Khaaksaar ki Khush-baKhtee hai ! sab aap ka Husn-e-naz^ar hai ! mamnoon hoN ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Shummu wrote:1.

bharee meHfil maiN teree be-ruKhee bardasht karte haiN
moHabbat maiN ham aisaa z^ulm bhee bardaasht karte haiN !

5.

umeed-e-waSl tak baaqee nahiN dil maiN, jahaaN waalo
hamaaraa z^arf dekho kyaa kamee bardaasht karte haiN !

6.

sitam har Haal maiN sihte haiN ham teree moHabbat maiN
kabhee bardaasht hotaa hai, kabhi bardaasht karte haiN !

wah wah kya khoob bardaast karte ho....daad pesh hai is bardaast karne pe :-) bahut umda ghazal hai hamesha k tarah....daad qubool karo!

shumaila
shumaaila jee, aadaab-o-namaskaar !

aap ne to daad ka t^ofaan khaRaa kardiyaa ! :lol: kaise muqaabila karoN ? hamesha ki t^araH aap bhi mere dil se niklaa howaa shukriya qabool kijiye ! shukriya :grin: