BardaSHt kartay hain-----by farhan

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

BardaSHt kartay hain-----by farhan

Post by farhan »

Ustaad-e-MuHtaram....

Janab Abdullah Nazir SaHib...

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu...

apni TaraHii ghazal Hazir-e-Khidmat hai...

1) nigaahooN ki tiri jab bay ruKHii bardaSHt kartay hain.
tabassum maiN CHupa kar hum ghamii bardaSHt kartay hain.

2) raQeebooN ko tirii Qurbat muyassar deekh kar jaanaaN,
baRii muSHkil say aankhooN main namii bardaSHt kartay hain.

3) ada-e-naaz kay jalway, khuda rakhkhay k deewaanay,
khud apna thaam kar dil, jaaN kanii bardaSHt kartay hain.

4) baRay naazaaN hain voh apni, nigaah-e-seHr aageeN per,
sataane ko unheN, jaadoogari bardaasht karte heiN.

5) biCHaR kar tujh say zindaa hain, yeh bas jabr-e-tanaffus hei,
kahaN jeetay hain! hum jo zindagii bardaSHt kartay hain.

6) mire lehjay ki talKHii ik kasouTii hai parakhnay ki,
[color]"jo ahl-e-Zarf hotay hain vohii bardaSHt kartay hain."[/color]

7) kaheeN farHan jaisay loog houtay hain zamanay main?
jo apnay dostooN ki duSHmanii bardaSHt kartay hain.

aap ki aara ka muntazir

farHan
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
FarHan SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Guzarish 21 ke miSreA per aapki TaraHi ghazal bahut kaamyaab hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

Ustaad-e-MuHtaram

Janab Abdullah Nazir SaHib,

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,,,

ghazal ki pazeerayii o pasandeedgii ka shukriya...aap nay is adna kaavish per bhi daad say nawaz...bahut bahut shukriya...

talib-e-dua

farHan.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: BardaSHt kartay hain-----by farhan

Post by Shummu »

farhan wrote:
2) raQeebooN ko tirii Qurbat muyassar deekh kar jaanaaN,
baRii muSHkil say aankhooN main namii bardaSHt kartay hain.

5) biCHaR kar tujh say zindaa hain, yeh bas jabr-e-tanaffus hei,
kahaN jeetay hain! hum jo zindagii bardaSHt kartay hain.

6) mire lehjay ki talKHii ik kasouTii hai parakhnay ki,
[color]"jo ahl-e-Zarf hotay hain vohii bardaSHt kartay hain."[/color]

7) kaheeN farHan jaisay loog houtay hain zamanay main?
jo apnay dostooN ki duSHmanii bardaSHt kartay hain.



farHan
wah bahut khoob farhan..aap to bahut pukhta kalaam likhne lage hain mashaAllah se...alfaaz ka chunaoo bhi pasand aya..dili daad pesh hai ....girah bhi pasand aayi....mubarak ho! :-)

Shumaila
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

Post by zaamin »

biCHaR kar tujh say zindaa hain, yeh bas jabr-e-tanaffus hei,
kahaN jeetay hain! hum jo zindagii bardaSHt kartay hain.

6) mire lehjay ki talKHii ik kasouTii hai parakhnay ki,
[color]"jo ahl-e-Zarf hotay hain vohii bardaSHt kartay hain."[/c


eik achchii ghazal;ehsaas aur khayaal se arasta

daad qabool farmaayein,janaab farhan sahib

mukhlis

zaamin
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »


Janab Zaamin SaHib...

As salamu aalaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu,,,


ghazal ki pazeerayii ka shukriya...daad kay liye main mamnoon hooN.

JAZAKALLAHU KHAIRA...

farhan
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Janab-e-Farhaan SaaHeb:

Aadaab-o-tasleemaat,

in dushvaar zameen par itnee achii koshish pesh karne par meree jaanib se bhi daad qubool keejiye.

Khair andesh
Zahida Raees Raji
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »


Raji SaHiba...

Adaab o taslimaat...

aap ko mayri yeh kaavish achchii lagii aur aap nay daad say bhi nawaza...ba sed' aHtaraam main daad qabool karta hoon.. bahut bahut shukriya....

ummid karta hooN aap isi taraH HouSla afzayii farmati raheengii...

talib-e-dua

farhan
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

mera jawaab kahan hai .... :cry:
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: BardaSHt kartay hain-----by farhan

Post by farhan »

Shummu wrote:


wah bahut khoob farhan..aap to bahut pukhta kalaam likhne lage hain mashaAllah se...alfaaz ka chunaoo bhi pasand aya..dili daad pesh hai ....girah bhi pasand aayi....mubarak ho! :-)

Shumaila

Shummu Ji....

sub say pahlay to main aap say maa'zirat khawh hooN ki.....WALLAH aap ka jawab mayri nazar say nahin guzra.....khudara maa'f kijeaga ki main i wajah say barwaqt jawab nahin day paya.....

daraSl main jab bhi ghar say online hota hooN to sirf 4 ya 5 mins kay liye hota hooN....is ujlat main aap ka jawab mayri nazar say chook gaya...jis ka mujhay bhi hi malaal hai....EEMAAN say keh raha hooN....ik baar phir maa'fi ki darkhast hai;

ab ghazal ki pasandeedgii ka bahut bahut shukriya...alfaaz kay chunavo aur girah ko bhi pasand karnay kay liye main mamnoon hooN...bahut bahut shukriya....

isi tarah housla afzayii farmatay raheaga.....ik baar phir takheer kay liye maa'zirat.....

JAZAKALLAHU KHIRA..

FarHan
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
mohtaram farhaan saahib

aapki is behtareen ghazal per hamaari dilee daad haazir hai......qubool farmaaiye.

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Jnaab-e-FarHan SaaHib, aadaab

der se sahee magar jawaab dene Haazir howaa hoN !

Farhan SaaHib aap ki taraqqee qaabil-e-Sad taHseen hai ! maashaa Allah aap ke kalaam meiN roz baroz mazeed nikhaar aataa jaarhaa hai ! ye Ghazal bhi bohut pasand aayee ! daad Haazir hai shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

Star Mind wrote:Jnaab-e-FarHan SaaHib, aadaab

der se sahee magar jawaab dene Haazir howaa hoN !

Farhan SaaHib aap ki taraqqee qaabil-e-Sad taHseen hai ! maashaa Allah aap ke kalaam meiN roz baroz mazeed nikhaar aataa jaarhaa hai ! ye Ghazal bhi bohut pasand aayee ! daad Haazir hai shukriya

Zia Baloch

Janab Zia SaHib,,,

Adaab o Taslimaat

der aaye durust aaye :grin:

Zia Bhai aap nay jin alfaaz main HouSla afzayii farmayii hai voh mayray liye bahut aham hai....kalaam main agar aap ko nikhaal nazar aata hai to is ka sara Credit Urdubandhan aur ST ko jata hai...jahan mujhay bahut kuch seekhanay ka mouQa mila...

Gazal ki pazirayii ka bahut bahut shukriya.......daad kay liye aap ka mamnoon o mutaSHkkur hooN...Shurkiya

JAZAKALLAHU KHAIRA....

farhan
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Post by farhan »

haamidbaaqri wrote:salaamun alaikum
mohtaram farhaan saahib

aapki is behtareen ghazal per hamaari dilee daad haazir hai......qubool farmaaiye.

allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah

mukhlis
haamidbaaqri

Walaikum as salam Haamid SaHib

kaisay hain aap.....janab aap ki dili daad hum Qabool kartay hain...JAZAKALLAHU KHAIRA.....

dua kay liye shukriya....



Farhan
farhan
-
-
Posts: 120
Joined: Tue Sep 27, 2005 7:21 am
Location: India
Contact:

Re: BardaSHt kartay hain-----by farhan

Post by farhan »

sara_j wrote: Wah farhan sahib! aapki ye ghazal dekh ker ehsaas

houta hai ke aap bohat mehnat kiye hain aur bohat

hi ache ashaar likhe. aapki is kamyaab aur dilkash

ghazal per daad qubool keejiye.

sara

Sara Ji...

Aadaab o taslimaat

Ji...aap any durust farmaya hai is baar choonkay zameen kuch ziyadah hi mushkil thi is liye meHnat bhi khoob karni paRii...ALLAH ka shukar hai ki kuch ashaar hogaye jo aap tamaam KhawateeN o Hazaraat ko pasand bhi hai.....JAZAKUMULLAHU KHAIRA....

aap nay is ghazal per daad say nawaza...main mamnoon o mutashakkur hooN.......JAZAKALLAHU KHAIRA....

isi taraH housla afzayii farmatay raheaga....

farhan
Post Reply