aek maAmooli see ghazal:- -- - Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek maAmooli see ghazal:- -- - Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apne aek bahut hee maAmooli si taazah ghazal pesh karne kee jasaarat karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni aaraa se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

Ghazal roman meiN:

nah jaane khougaye ham apni lazzataoN meiN kahaaN
butaan-e-Hind se dunyaa kee moorataoN meiN kahaaN

wo chaiR chaaR kiye jaate heiN yeh keh keh kar
jou dushmani meiN mazah hei muHabbatoN meiN kahaaN

kaTi hei umr musaafir kee dasht-gardi meiN
bujhi hei pyaas bhalaa is ki, hijrataoN meiN kahaaN

khud apnaa boujh uThaanaa hei apne kaandhaoN per
diyaa hei saath kisi ne muSeebataoN meiN kahaaN

shikastah Haali kaa ab apni kyaa gilah keeje
khulooS o Tarz-e-wafaa be-muravvataoN meiN kahaaN

khudaa kaa shukr nah karnaa hameN nahiN aataa
guzarrahi hei magar haaye zillataoN meiN kahaaN

sunaayi deti hei aah o fughaaN bhee baahar se
taHammul aur tire qaSr kee chataoN meiN kahaaN

zaraa see der meiN houjaayegi saHar :Nazir:
chale hou raat kee be-mehr saaAataoN meiN kahaaN
=======


Aapka MukhliS,
Nazir.



Image
Last edited by Abdullah Nazir on Wed Sep 20, 2006 3:06 am, edited 1 time in total.
Image
User avatar
Ehsan Raza
-
-
Posts: 46
Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
Location: Makkah, Saudi-Arabia
Contact:

Bahut khoob Nazir sb

Post by Ehsan Raza »


MOHATRAM NAZIR SB AAPKI MAMOOLI GHAZAL BHI GHAI MAMOOLI HOTEE HAI SAMAEEN KO HER TARHA KI SHAIREE SE LUTFANDOZ HONA CHAHIYE ISKA AAPNE HAMESHA KHAYAL RAKHA HAI
SHUKRIYA
EHSAN BADAUNI
Post Reply