chahtieN haiN faqat fasanoN maiN

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

chahtieN haiN faqat fasanoN maiN

Post by zmufti »

Ahl-e-bazm
aadaab
aik sada si ghazal pesh kar rahi hoN
umeed hai aap apni aaraa se aagah farmaayieN ge
regards
zmufti

1. chahtieN reh gayyiiN fasanoN maiN
talkhiaN rach gayyiiN zabanoN maiN

2. jhoot hi thaa tirre biyanoN maiN
maiN bahlti rahi bahanoN maiN

3. baat dil ki kabhi to kar le sanam
ham bhee haiN teray raazdaanoN maiN

4. chor kar ab mujhe chale jo gaye
dhondna phir mujhe zamanoN maiN

5. dil ki targheeb per uthe na qadam
zehn uljha raha gumanoN maiN

6. 11. phir mirre dil pe kis ne dastak dii
ik sadaa aa rahi hai kaanoN meiN

7. kho gayyii hai khushi na jaane kahaN
dukh hi dukh hai sabhi taranoN maiN

8. khauf ke pehray haiN diloN per aur
sanp vehshat ke haiN gumanoN maiN

9. ho gayyii sard aag jazboN ki
be hissi barh gayyi jawanoN maiN

10. saadgi maiN adawatieN kab thiiN
sanjh dukh sukh ki thee gharanoN maiN

11. aish duniya ke sab muyassar haiN
bas sukooN hi nahiN makanoN maiN
Last edited by zmufti on Mon Sep 11, 2006 6:52 am, edited 1 time in total.
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

shukria Sara jee
Mayank
-
-
Posts: 47
Joined: Fri Aug 25, 2006 7:24 am
Contact:

Post by Mayank »

Mufti saahiba...

Behad pukhta likha hai aap ne.. Ghazal pasand aaii...

Mere janaib se daad ke saath mubaarak baad qubool kareN..

-Mayank
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

1. chahtieN haiN faqat fasanoN maiN
talkhiaN rach gayyiiN zabanoN maiN

2. jhoot hi thaa tirre biyanoN maiN
maiN bahlti rahi bahanoN maiN

4. chor kar ab mujhe chale jo gaye
dhondna phir mujhe zamanoN maiN

7. kho gayyii hai khushi na jaane kahaN
dukh hi dukh hai sabhi taranoN maiN

9. ho gayyii sard aag jazboN ki
be hissi barh gayyi jawanoN maiN

11. aish duniya ke sab muyassar haiN
par sukooN hi nahiN makanoN maiN


wah wah zarqa sis..hasb-e-maamool bahut umda kalaam..khaasakar mujhe 2nd sher bahut pasand aaya..aur uska second misra to bahut hi zyaada...'maiN bahlti rahi bahanoN maiN' wah wah. ye parhke apna ek sher yaad aa gaya...

'usne deke daGaa hum ko apna kaha
aur hum the ke baatoN meiN aate rahe!!'

aur 7th sher bhi zaati taur pe bahut accha laga!!

daad qubool farmaayein rose:


faqat,
shu...
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mayank wrote:Mufti saahiba...

Behad pukhta likha hai aap ne.. Ghazal pasand aaii...

Mere janaib se daad ke saath mubaarak baad qubool kareN..

-Mayank
Mayank saheb aap ka buhat shukria
regards
zmufti
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Shummu wrote:
wah wah zarqa sis..hasb-e-maamool bahut umda kalaam..khaasakar mujhe 2nd sher bahut pasand aaya..aur uska second misra to bahut hi zyaada...'maiN bahlti rahi bahanoN maiN' wah wah. ye parhke apna ek sher yaad aa gaya...

'usne deke daGaa hum ko apna kaha
aur hum the ke baatoN meiN aate rahe!!'

aur 7th sher bhi zaati taur pe bahut accha laga!!

daad qubool farmaayein rose:


faqat,
shu...
Shummu jee
aap ka buhat shukria
buhat piyara sher sunaya
lagta hai hamaare khyalaat kaafi milte julte haiN
khush rahiye
zmufti
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »



Zarqa sis

salaam

aapki yeh ghazal St per bhi dekhi hai bohat hi dilkash hai. dilee daad qabul fermeeiN

wassalam
live and let live

Image
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

shukria Tahira jee
khush rahiye
ehsaas
-
-
Posts: 32
Joined: Thu Aug 18, 2005 11:20 am
Location: unknown
Contact:

Post by ehsaas »

Zarqa ji

buhut umdah , rawaan sadgee ke husn e mamoor , acchi ghazal , daad qubool kjejay

ghazal ka lab o lehjaa matlaa say maqtaa tak accha hay sheer no 3 aur sher no 4 per ghaur kejay ga , yeh meri zatee raye hay kisi kisam ki islaahana koshish nahee , aik aam qaree ka taasur he

baqee pori ghazal aik khas kisam ke shikwa bharay tasur mein kahee gayee he aur zamanay yani lehjay ke zamanay ka aik tasalsal qayem he hay lekin sher no 3 aur 4 mein aisa mehsoos hota he keh mujavvazza alfaaz ghazal kay lehjay ko thora sa tabdeel ker rehay hein

gustaakhee muaaf lekin , meri baat ghalat bhi ho saktee hay ,mein wazn ki kisi ghalti ki baat nahi ker reha hoon sirf ashaar ke lehjay per apna taasur pesh kia hay , aur yeh aik aam qaree ki raye hay

3. baat dil ki kabhi to kar le sanam ...... (ager keha jaye ....kertaa sanam)
ham bhee haiN teray raazdaanoN maiN

4. chor kar ab mujhe chale jo gaye
dhondna phir mujhe zamanoN maiN
urdubandhan
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Ehsaas sahebb/saheba
ghazal per tabsare ke liye aap ki mamnoon hoN
aap ne jin do asha'ar ki janib tawajah dillayii hai un ki koi mutbadal surat sochti hoN mashware ka shukria
regards
zmufti
Post Reply