raqibooN par tiree darya dilee bardaasht karte haiN
kaleje par jo chaltee hai chhuree bardaasht karte haiN.
shikayat tak naheeN karte tumharee kaj´adaee kee
guzar jate ho ban kar ajnabee bardaasht karte haiN.
jala kar jis ne khakistar kiya hai aashiyaN mera
usee shu'lah figan kee shu'lagee bardaasht karte haiN.
saha karte naheeN kam HoSlah sooz-e-judaee ko
"jo ehl-e-z^arf hote haiN wahee bardaasht karte haiN"
chhupa rakhte hain zer-e-aasteeN khanjar mire moHsin
magar ham dost ban kar dushmanee bardaasht karte haiN.
jala kar ghar ko raoshan kar diya hai rastah ham ne
magar apne liye ham teergee bardaasht karte haiN.
wah wah bahut umda Muzaffar sahab...zabrdast ghazal kahi hai aapne..quoted ashaar bahut pasand aaye..ek lafz samajh nahi aaya..agar maayne bataa dein to sher samajhne mein aasaani hogi.. woh lafz hai 'pand-e-shakebaee' shukriya...aur han jaate jaate ek dafaa phir daad pesh hai
Ghazal ko pasand farmane ke liye aap ka be Had mamnooN hooN
aor ummeed karta hooN keh aae'ndah bhee zooN hee apnee qeematee
rae'e se nawaytee raheeN gee.
"pand" ke ma'nee haiN naSiHat, hadayat, bhalee bat waGhaerh. aor "shakeb" ke ma'nee haiN Sabr, HoSlah, to yooN pand-e-shakebaee ke ma'nee huwe Sabr karne ka hoSlah dena, Sabr karne kee naSihat karna. to she'er meN meN is se muraad yeh lee hai keh jinheeN koee aakar Sabr karne kee NaSiHat naheeN karta woh afraad akele hee sabhee
kefiyaat ya'nee khushee aor Gham ko akele hee bardaasht karte haiN.
jab koee bemaar hota hai ya Sadmah uThata hai to dost aHbaab ghar aakar use HoSlah dete Sabr karne kee naSiHat karte haiN. pas yehee pand-e-shakebaee hai.
Aapki aek aur TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houee. Saare ke saare ashAar bahut khoob heiN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Mere computer meiN kuch kharaabi houne kee vajh se ikhtiSaar se kaam lenaa paRrahaa hei. TafSeeli aaraa pesh karne se maAzoor hooN.