Mullah ne roza khola hai Sadhu ke haath se ( Meri Nazm)

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Mullah ne roza khola hai Sadhu ke haath se ( Meri Nazm)

Post by jawaid badauni »

Seers host 'Roza Iftar party'
Ayodhya, Nov. 14. 2005(PTI):

Seers of this temple town on Saturday hosted a 'Roza Iftar party' for their Muslim brethren at the famous Hanumangarhi Temple in a rare gesture of communal amity.
A large number of Muslims from the twin towns of Faizabad and Ayodhya attended the function, in which Mahant Gyan Das of the Hanumangarhi temple and other saints and sadhus were present.
Scarfs, with 'Ram-Rahim' inscribed on them, were distributed after the function as a gesture of Hindu-Muslim unity and brotherhood.

NAZM:

"Mulla" ne roza khola hai "Sadhu" ke haath se"



Yaro! Ayodhia me(n) na thi kal jo dastyaab
Lo aaj baT rahee hai wohee pyaar ki sharaab
Hoti hai gul.sitaa(n) me(n) mahik jin ki lajawaab
Mandir me(n) khil rahe hai(n) mohabbat ke woh gulab

Ghar per pujariyon ke hai ifatr-e ahl-e som
Hai mezbaa(n) azaa(n) ki sadaa ki, sadaa-e Om


Daavat yeh roze daaro(n) ki mandir ki yeh zameen
Hai(n) mezbaan "Sant" to mehman ahl.e deen
Mandir me(n) aaye ahl-e haram banke hazreen
Sakte me(n) aa gaye hai(n) zamaane ke nazereen

Hairat sabhi ko hoti hai Hairat ki baat se
"Mulla" ne roza khola hai "Sadhu" ke haath se


Duniya me(n) bus wafaa hi mohabbat ka hai badal
Taqdeer ne dikhaya hame(n) aaj yeh mahal
Tareekhh se kaho keh bhula de na iss ko kal
"Sadhu" pila raha hai "Namazi" ko "Ganagajal"

Iftariyo(n) ko dekh ke har shakhs dung hai
Phal aur mithaiyo(n) me(n) mohabbat ka rung hai


Kyoo(n) khoosh "Wafa" na ho keh masarrat ki hai yeh baat
Mandir me(n)jake dee hai "Siyasat" ko uss ne maat
LaRhte the kal jo aaj woh baithe(n) hai(n) sath saath
Ahle haram ke sar pe "Pujari" ne rakhkha haath ?

Kuchh ke khooshi me(n) aankh se aansu nikal gaye
Aise bhi kuchh the jinke kaleje hi jal gaye


Ab woh kareNge kaise ta.assub ka aHtmaam
Jab ek ho rahe hai(n) mohibbe Raheem.O.Ram
Aazaad ho rahe hai(n) jo nafrat ke the ghulaam
Kaise laRhaane walo(n) ka baaqi rahega naam

Mana keh aaj ahl-e wafa shaad ho gaye
"Jawaid" hosh ahl-e siyasat ke kho gaye


Jawaid Badauni
Muscat-Oman
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

bahut khob

Post by Mahtab Qadr »

Ittehad o itteefaaaq bahut achi baat hai magar uske izhaar ke lye roze ko istemaal karna munasib nahi , Izhaar e mohabbat ke aur bhi zaraye aur bhi tareeqe ho sakte the ,is tarah to roze ki azmat mutassir hoti hai. Nazm to aap ki hai , islye nazm ke nazm o zabt ki to daad doNga ke aap aik achay shayer haiN. magar deeni nuqta e nazar se ye siaasi iftaar partiaN siasi logoN ko to zaib deti haiNgi magar deeni aitebaar se lagta hai ibadatoN ka viqaar majrooh hota ho. ye aik andesha hai jiska izhaar kia hai mai ne ,meri hatmi raaye nahi. shukria
Mahtab
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Mahtab SaHab, Aadaab

Iftaar ka inAqaad tou main ne nahin kiya tha sirf Nazm meri hai. Asl meN aap ko pas.e manzar ka ilm nahiN. Poore Hindustan meN Hindu aur Musalman kaaii baar ek doosrey ka Khoon baha chuke haiN sirf un imaratoN ke liye jo Ayodhiya meN haiN. Mazey ki baat yeh hai ke Ayudhiya ke Hindu-Musalman kabhi in imaratoN ke liye nahiN laRte bal.k sage bhaiyoN ki tarah rahte haiN halaN.k subse ziyada taAlluq mutanazeh Masjid ya Mandir se unhee logoN ka hai.

AYODHIYA ke MANDIR meN hone wala iftar wahaN ke logoN ka mulk ke doosre HissoN ko yeh paiGam ahi : DEKHO HAMEY EK DOOSREY SE KOII SHIKAYAT NAHIN. YAHAN KI MASJID.O.MANDIR HAMARA MAS'ALA HAIN HUM ISEY HAL KAR LENGE. TUMHEM KHOON BAHANEY KI KOII ZAROORAT NAHIn. Aap ne Nazm ka aaKhre Hissah tawajjo se nahiN suna warna shayad mera isharah samajh lete. Yeh iftart un ahle siyasat ke monH per ek tamacha hai jo apne faiydeh ke liye Hindu-Muslman ko poore mulk meN laRatey rahte haiN.

Deenee nuktaa.e nazar per main ziyada baHc shayad nah kar sakon kyuuN.k is mazmoon per main JAHILE MUTLAQ hooN. Phir bhi jahaN tak maiN ne paRha hai chand khuSoosi Haalaat men PaiGambar.e Islaam SAWW ne YahoodiyoN ke yahaN Khana khaya hai aur unki SaHabzaadi (Shahzaadiye kaunain Faitima Zahra SA) ne kuffar ke yahan shadi meNshirkat kee hai. TareeKh in cheezon ke gawaah hai.Tou aisee Surat meN kisee Gairmuslim ke yahan iftaar karna mujhe tou namunasib nahiN lagta.

BaharHaal aap ka mamnoon hooN keh ap ne meri nacheez nazm ko paRha aur sub se pahle apne tabsarey se nawazah.

Khair andesh
Jawaid
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, wah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki mandarja-e-zeil nazm paRhak bahut ziyaadah meHzooz houaa. Yehi aek Haqeeqi insaani roop hei jo her mazhab kee aavaaz houni chaahiye. Siyaasi fareb-kaariyaoN se Aam aadamiyaoN ko gumraah nahiN kiyaa jaanaa chahiye. Bahut khoob, waah waah, meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

NAZM:

"Mulla" ne roza khola hai "Sadhu" ke haath se"


Yaro! Ayodhia me(n) na thi kal jo dastyaab
Lo aaj baT rahee hai wohee pyaar ki sharaab
Hoti hai gul.sitaa(n) me(n) mahik jin ki lajawaab
Mandir me(n) khil rahe hai(n) mohabbat ke woh gulab

Ghar per pujariyon ke hai ifatr-e ahl-e som
Hai mezbaa(n) azaa(n) ki sadaa ki, sadaa-e Om


Daavat yeh roze daaro(n) ki mandir ki yeh zameen
Hai(n) mezbaan "Sant" to mehman ahl.e deen
Mandir me(n) aaye ahl-e haram banke hazreen
Sakte me(n) aa gaye hai(n) zamaane ke nazereen

Hairat sabhi ko hoti hai Hairat ki baat se
"Mulla" ne roza khola hai "Sadhu" ke haath se


Duniya me(n) bus wafaa hi mohabbat ka hai badal
Taqdeer ne dikhaya hame(n) aaj yeh mahal
Tareekhh se kaho keh bhula de na iss ko kal
"Sadhu" pila raha hai "Namazi" ko "Ganagajal"

Iftariyo(n) ko dekh ke har shakhs dung hai
Phal aur mithaiyo(n) me(n) mohabbat ka rung hai


Kyoo(n) khoosh "Wafa" na ho keh masarrat ki hai yeh baat
Mandir me(n)jake dee hai "Siyasat" ko uss ne maat
LaRhte the kal jo aaj woh baithe(n) hai(n) sath saath
Ahle haram ke sar pe "Pujari" ne rakhkha haath ?

Kuchh ke khooshi me(n) aankh se aansu nikal gaye
Aise bhi kuchh the jinke kaleje hi jal gaye


Ab woh kareNge kaise ta.assub ka aHtmaam
Jab ek ho rahe hai(n) mohibbe Raheem.O.Ram
Aazaad ho rahe hai(n) jo nafrat ke the ghulaam
Kaise laRhaane walo(n) ka baaqi rahega naam

Mana keh aaj ahl-e wafa shaad ho gaye
"Jawaid" hosh ahl-e siyasat ke kho gaye



Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »


MoHtarmee Abdullah Nazir SaHab
Tasleemaat

Mujhe Khooshee hai aap ne meri nacheez nazm dekh lee aur pasaNd bhi farmaii. MaiN ne is qism ki beshumaar nazmeN aur QitAAt kahe haiN jo akcer bhejta rahta hooN. Yeh bhi ek puraani nazm hi thee magar in chaupaloN meN kabhi bheji nahiN thee.

Khair andesh,
Jawaid
Post Reply