aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Aek maAmooli see taazah ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
mile heiN dard o gham aawaaragi HiSSe meiN aayi hei
keh qismat se tumhaari berukhi HiSSe meiN aayi hei
moyassar hei jamal-e-yaar tou chundhyaagayi aankhen
muHabbat meiN yeh kaisi raushni HiSSe meiN aayi hei
tunkuSabri hei raah-e-shauq meiN be-luTf mausam se
Ajab maaHaoul hei, kyaa zindagi HiSSe meiN aayi hei
Dar-e-janaN peh bhee beganah-khoo heiN aashna nasreN
Kinaar-e-aab-e-daryaa tishnagi HiSSe meiN aayi hei
Khabar kya thee bhaTak jayeNge ham SeHra-navardi meiN
sukooN kee justjoo thee, bekali HiSSe meiN aayi hei
tire daulat kadeh se jou bhee mil jaaye ghaneemat hei
vohi thee naam kee mere, vohi HiSSe meiN aayi hei
kisi kaa raastah hee dekhtaa rehjaayegaa :Nazir:
milegaa chaand kaise, chaandni HiSSe meiN aayi hei.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram janab Abdullah Naz^ir SaHeb aadaab!
aap kee tazah Ghazal dekh~ kar dil aese jhoom ujh~a jese kisee faqeer ke kasah meN koee rahgeer sikke Daal deta hai. aor badlah meN faqeer sikke dalne wale ko dua'aiYah kalamaat se nawaaz deta hai meree kefiyat faqeer se mukhtalif naheeN. agar farq hai to dene wale meN wahaaN dene wala chand sikke Dal raha hai aor edh~ar aap Ghazal ke shakal meN ganjinah-e-lafz^-o-ma'nee luTa rahe haiN.
aap ke haaN Gham-o-aalam ke aHsaasaat kee woh gehraee hai jo "Meer" kee t^araH se faqat^ dil par chooT kh~a kar hee HaSil kee ja saktee hai. dardmandee, sooz-o-gudaaz aor bekasee kee aamezish ne kalaam ko teGh-e-be neyaam bana diya hai. keh paRh~ne wala aaheeN bh~arta reh jaYe. aor har miSra' kaleje ko cheerta jaYe.
magar is ke bawajood aap ke kalaam meN meHeZ^ takalluf aor kheYaal aafeenee naheeN balkeh zubaan-o-bayaan par qudrat hone ke baec har qisam ke maZ^moon ko Safaee aor chustee se she'er men pirote haiN mushkil qawafee aor naee naee beHrooN ke bawajood kalam meN uljh~ao naheeN hai. aor aek baat jo aham hai woh yeh keh aap ke kalaam men meHeZ^ lafaz^ee naheeN balkeh zoor dar faSaHat hai.jo kehna chahate haiN kahe jate haiN kalaam ko mushkil pasandee ke pechooN meN naheeN uljh~ate. Ghazal goYa aek guldastah kee manind hai keh aek do she'er taGhazzul ke aek do buland parwazee ke aek aadh~ meHrumee ka aek taSawwuf ka aor aek aadh~ shikaYat-e-zamanah ka. pas is baat meN koee shak-o- shubah kee gunjai'sh naheeN keh aap ko khobSurat tarakeeb kee taraash kharaash meN kamaal HaSil hai. aor is kee aek wajah aap kee a'arabee danee bh~ee ho saktee hai.
mujh~e is baat par fakhar hai keh maiN bilashubah apne zamanah ke nabGha-e-ruzgaar shae'er ko dad aor mubarak baad dene kee taofeeq pa raha hooN qubool kijiYe.
aap kee muHabbat aor murawwat kee jitnee bh~ee qadr kee jaYe kam hai khuda aap ko daraaz-e-u'mr se nawaze.
mile heiN dard o gham aawaaragi HiSSe meiN aayi hei
keh qismat se tumhaari berukhi HiSSe meiN aayi hei
kiYYYYYYYYYa kehneeeeeee!! waah waah!! bohot khoob!!
mat^la' aatish barsa raha hai!!
jee qiblah a'ashiq ka to kam hai bas apne muqaddar ke tareek goshooN men jh~ankte rehna. aor udaas rehna.
aor kabh~ee yoN sochna keh agar yoN hai to yoN hee sahee keh..........
meHboob kee be rukhee hee sahee kuch to HiSSah meN aaya qamaal ka maZ^moon hai keh a'ashiq ise bh~ee ya'anee meHboob kee be rukhee ko bh~ee Ghanimat jaan kar shukr ada kar raha hai. keh chalo qismat se tumharee be rukhee hee sahee khuch to HiSSe meN aaYa. waah waah!!
moyassar hei jamal-e-yaar tou chundhyaagayi aankhen
muHabbat meiN yeh kaisi raushni HiSSe meiN aayi hei
waah waah waah waah waah waah!!
muHabbat meN yeh bh~ee hota hai keh agar muyassar jamaal-e-yar aa bh~ee jaeYe to raas naheeN aata aor agar aa bh~ee jaYe to nigahooN ko taab naheeN rehtee.......aor becharee chundhYane lagtee haiN. aor aesa bh~ee hota hai keh t^alib-e-deed Ghash kh~a jata hai aor ba'aZ^ aoqaat to jaan se bh~ee jata hai.
tunkuSabri hei raah-e-shauq meiN be-luTf mausam se
Ajab maaHaoul hei, kyaa zindagi HiSSe meiN aayi hei
kiYYYYYa kehne dad HaZ^ir hai!!!
Dar-e-janaN peh bhee beganah-khoo heiN aashna nasreN
Kinaar-e-aab-e-daryaa tishnagi HiSSe meiN aayi hei
waah kiya khoob hai!!
jab aashnah nazreeN akkh~aR ho jaeeN aor apne a'aashiq hee ko nah pehchaneeN to zubaan-e-Haal par yahee miSa'-e-canee hota hai.
Khabar kya thee bhaTak jayeNge ham SeHra-navardi meiN
sukooN kee justjoo thee, bekali HiSSe meiN aayi hei
kiYYYYYYa kehne!! waa!!
yahee HaSil-e-u'mr-e-rawaaN bh~ee hai aor ikhtataam-e-sarguzasht-e-a'aashiq bh~ee bechara sukoon-e-qalb-o-jaaN ke waste SeHraooN kee khaak tak ch~aan leta hai lekin HiSSah meN bajuz be kalee khuch naheen aata.
tire daulat kadeh se jou bhee mil jaaye ghaneemat hei
vohi thee naam kee mere, vohi HiSSe meiN aayi hei
waaaaaaah!!
yeh usee mat^la' wale maZ^moon kee waSaHat kar raha hai. meHboob raqeeboN par to bara darYa dil hota hai lekin apne a'ashiq-e-sarbakaf par ik naz^ar-e-inayat tak naheeN karta aor a'ashi ke HiSSah meN wohee berukhee aor be basee hee aatee hai.
kisi kaa raastah hee dekhtaa rehjaayegaa :Nazir:
milegaa chaand kaise, chaandni HiSSe meiN aayi hei.
kiYYYYYYYa kehneeeeeee!!!! yahee aHsaas-e-meHromee aor yaqeen-e-ruswaee hee aap ka t^urrah-e-imteYaaz hai.
ijazut chahooN ga!
Wassalam
khadim
muz^affar
_________________
[/color][/size]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Fri Sep 29, 2006 5:27 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!
aap kee yeh Ghazal aap kee naz^ar meN saadah aur ma'moolee ho gee lekin ham se koyee pooch`e keh yeh kyaa hai to bataaYeN! ek nihaayat hee mushkil zameen meN aap ne t^aba'-aazmaayee kee hai aur Khoob kee hai. subHaan-Allah!
aaj kal mujh` ko bh`ee mushkil zameenoN meN fikr kaa sahuq ho rahaa hai. lekin aap kee zameeneN to bohat hee :banjar: hotee haiN ji meN aap apnee qaadir-ul-kalaamee se ph`ool kh`ilaa dete haiN. dilee daad HaaZ^ir hai. qubool keejiYe aur meree i'zzat baRhaa,iYe.
Sarwar A. Raz "Sarwar"

yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: aek saadah see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir.
salaamun alaikumWEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Aek maAmooli see taazah ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
mile heiN dard o gham aawaaragi HiSSe meiN aayi hei
keh qismat se tumhaari berukhi HiSSe meiN aayi hei
moyassar hei jamal-e-yaar tou chundhyaagayi aankhen
muHabbat meiN yeh kaisi raushni HiSSe meiN aayi hei
tunkuSabri hei raah-e-shauq meiN be-luTf mausam se
Ajab maaHaoul hei, kyaa zindagi HiSSe meiN aayi hei
Dar-e-janaN peh bhee beganah-khoo heiN aashna nasreN
Kinaar-e-aab-e-daryaa tishnagi HiSSe meiN aayi hei
Khabar kya thee bhaTak jayeNge ham SeHra-navardi meiN
sukooN kee justjoo thee, bekali HiSSe meiN aayi hei
tire daulat kadeh se jou bhee mil jaaye ghaneemat hei
vohi thee naam kee mere, vohi HiSSe meiN aayi hei
kisi kaa raastah hee dekhtaa rehjaayegaa :Nazir:
milegaa chaand kaise, chaandni HiSSe meiN aayi hei.
=======
Aapka MukhliS,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
arsay b'aad aik behtareen ghazal padhnay ko milee hai.
yeh aap hi ka hissah hai mohtaram jo itni khoobsoorti say apni baat kehjaatay hai.n.
bahut pasand aayee hame.n yeh ghazal.
hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaye.n
allah(sbhnwt)kare zore qalam aur ziyaadah
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,
Aapki zarrah-navaazi hei ke khaaksaar ko nah Sirf apni giraaNqadr aaraa se navaazte heiN balke daad o tehseen se navaazkar iqraar-e-ehsaan-mandi bhee likhwaalete heiN.
Shaayer kee apni mashq-e-sukhan meiN Sirf uski hee justjoo shaamil nahiN houti. Aap jaise qadrdaanaoN kee HauSlah afzaayi bhee uske jazbaat aur walwalaoN ko jura't-e-izhaar bhee bakhshti hei. Shukriyah adaa karne ke liye munaasib alfaaz pesh karne se meri zubaan qaaSir hei aur maiN apni kam maayagi-e-ilm per sharmindah hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Last edited by Abdullah Nazir on Mon Oct 02, 2006 3:34 pm, edited 1 time in total.
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: Bahut bahut shukriyah
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,
Aapki zarrah-navaazi hei ke khaaksaar ko nah Sirf apni giraaNqadr aaraa se navaazte heiN balke daad o tehseen se navaazkar iqraar-e-ehsaan-mandi bhee likhwaalete heiN.
Shaayer kee apni mashq-e-sukhan meiN Sirf uski hee justjoo shaamil nahiN houti. Aap jaise qadrdaanaoN kee HauSlah afzaayi bhee uske jazbaat aur walwalaoN ko jura't-e-izhaar bhee bakhshti hei. Shukriyah adaa karne ke liye munaasib alfaaz pesh karne se meri zubaan qaaSir hei aur maiN apni kam maayagi-e-ilm per sharmindah hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.
moHtaram Abdullah Nazir SaHeb aadaab a'rZ^ hai!
aap ne faqeer ke kiYe itne khubSurat aor dedah zeeb ilfaaz^ istema'aal kiYe haiN agarcheh Haqiqat to yeh hai keh in sab HaseeN tarakeeb aor taoSeef ke Haqdaar to aap haiN. aor jahaaN tak raee (tabSirah) ka ta'luq hai to woh to aap ka kalaam dekh~ kar qalam goYa khud bah khud mutaHarik ho jata hai dil-o-dimaaGh aek t^arH ke kaeef aor suroor meN sarmast ho jate haiN be ikhteYaar dil se aah aor waah kee Sada buland hona shuroo' ho jatee hai. aap ne woh kefiYat to dekh~ee hee naheeN jo daraan-e-mut^ale'ah bandah par t^aree hotee hai raee Ya tabSirah-o-taoZ^iH ka a'amal to ba'd ka hai jab kuch hoosh aata hai
Haqiqat to yeh hai keh faqeer aap ke garaaN gadr khat^ se nihaYat sharmindah huwa hai yaqeen kijiYe eHqar in kalamaat-e-tashakur ka hargiz musteHiq naheeN hai.
maiN ne moHtaram Sarwar SaHeb se bh~ee yahee guzarish kee hai keh aap likh~te raheeN aor apne rashHaat-e-qalat se duniYa-e-urdu adab par apne kaamaal-e-fan ka loha manwate raheeN. aor ham to khuddaam haiN aap SaHebaan-e-hunar ke agar qareeb hote to jutiYooN meN beTh~ kar taskeen-e-qalb pa lete faSile agarcheh raah kee diwaar to naheeN lekin door reh kar apnee i'lmee ista'daad kee a'adam maojoodgee ke bawajood do chaar ToTe bh~oTe ilfaaz^ likh~ bh~ejte haiN. in chand lafz^ooN se aap ka jae'j aor fit^ree Haq kahaaN ada hota hai.
aap apnee maSrufiYat ke ba'ic faqeer ke khut^oot^ ke jawaabat dena hargiz lazmee nah samjh~eeN.
akhir maiN aap ka dobarah shukriYa ada karte huwe ijazut bh~ee chahooN ga.
Wassalam
khadim
muz^affar
moHtaram janab-e-Abdulllah Nazir SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,
aap kee yeh Ghazal bohat taKheer se dekh rahii hoN jiske liye bohat ma'azrat Khwah hooN.
aap kee is dilkash Ghazal kee jahaN zameen bohat mushkil aur khoobSoorat hai waheN aap ne is meN ashaar bhi bohat KhoobSoorat baandhe heN.
meree janib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
mamnoon-o-taalib-e-dua'a
Zahida Raees :Raji:

Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
MuHtaramah
Raji SaaHibah,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki Adam furSatin ke baavajood is qadar mukhtaSar lekin dilkash tabSirah farmaayaa hei jiske liye aapkaa beHad shukrguzaar hooN. Ummeed kartaa hooN ke aayindah bhee isi TaraH se meri HauSlah afzaayi farmaati rahengi.
Aapka MukhliS,
Nazir.