Aap ka mamnoon hooN keh meri farmaaiish per inti ujlat se amal kiya. Aapki N'aat dekh kar bohat dil Khoosh huwwa. Meri doa hai keh Srawar-e Kaainat, FaKhr-e Maujoodaat, aapki ke is nazraney ko qubool farmayeN aur Allah SWT aapkeo ajr.e azeem se nawazeh, aamin.
Teesre sher ke miSraa.e oolah meN shayad 'typo" ki Galtee hai, miSra wazn meN nahiN hai zara nazr.e Caani kar lijiyega.
N'aat bohat achchi hai. Tamam ashAAr Nabe.e kareem ke liye aap ki muwaddat ke tarjumaan haiN. Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
jawaid badauni wrote:Azeezi Muzaffar SaHaab
Aadaab

KhulooSkaar
Jawaid
mohtaram Jawaid SaHeb aadaab!
nat-e-rasool-e-mabool(SWWS) ko pasand farmane par aap ka teh-e-dil se mamnoon hooN aor dua' gao bh~ee hoon keh khuda wand aap ko
ajar-e-khaer se nawaze!
aap ka mamnoon is liYe bh~ee zeYaadah hooN keh ab tak aap hee ne na't shareef pasand farmaee hai.
Teesre sher ke miSraa.e oolah meN shayad 'typo" ki Galtee hai, miSra wazn meN nahiN hai zara nazr.e Caani kar lijiyega.
Jawaid bh~aee maiN ne miSa' dekh~ liya hai aap bh~ee naz^r-e-canee farma deeN.
kese mizaaj haiN aap se Ghaleb" pehlee bar sharf-e-mulaqaat
naSeeb ho raha hai. aap ka khulooS hai keh aap ne khaksaar
ke kalam ko pasand farmate huwe dad se nawazah hai.
khuda aap ko salamat rakh~e!
meHfil meN aate raheeN aor raonaq-e-bazm-urdu bandh~an
baRh~ate raheeN.
is taraHee mushairah maiN miSrah-e-taraH dekh~ kar maiN qadre chonk gayii thee ke isee zameen aur behr meN meree ek puraanii Ghair taraHee Ghazal isee meHfil meN maujood hai.
jab kabhi DhoonDne nikle the Khushii ka chehraa
mujh se miltaa hee rahaa Gham ka shanasaaa chehraa
go keh moHtaram Jawaid SaaHeb kaa miSrah mere liye bhi zarKhaiz zaroor hai lekin shayed mujh meN itnee SalaHiyat naheeN hai keh is par itnee KhoobSooratii se HuZoor-e-akram (s.a.w.w) kee shaan meN na'at ka naZraana pesh kar sakooN.

mashaAllah girah bhi bohat Khoob lagaYaa hai aap ne.
meree jaanib se ek kaamyaab koshish par dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
Khair andesh
Zahida Raees :Raji:
moHtarmah Zahida Raees :Raji: SaHebah tasleem a'rZ^ karta hooN!
aap ka aese choonkna aek fit^ree bat th~ee agar aap kee jagah koee dusra fard bh~ee hota to woh bh~ee choonk jata. aor sach to Yeh hai keh jab aap ke khat^ meN aap ka miSra' dekh~a to aek lamhah ke liYe maiN bh~ee choonk geYa.
mujh~e aap ke hadiYah-e- na't ka be qararee se intz^aar hai. aor aap ka puranah miSra' dekh~ kar to aor zeYadah beqaraar ho geYa hooN.
wajah Yeh hai keh aap kee dilchaspee to is miSra' meN dohree hai.
keh aap maZ^ee meN is par t^aba' aazma chukeen haiN.
aor zameen kee dushwariYooN se bh~ee bakhubee aagah hooN geeN.
aap ne mere naz^ranah-e-na't (SWWS) ko sarah kar mujh~e mazeed likh~ne ka HoSilah diYa hai. khuda aap ko jaza-e-khaer se nawaze.