TARAHI MISRA' GUZARISH 22. ABDULLAH NAZIR.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

TARAHI MISRA' GUZARISH 22. ABDULLAH NAZIR.

Post by Abdullah Nazir »

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-Sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

TARAHI MISR'A GUZARISH NO.22 KE LIYE jisko MuHtarami Jawaid Badauni SaaHib ke mashware kee bunyaad per Hamd-e-tabaarak-taAaalaa yaa NaAt-e-Nabi kareem S.A.W.S ke liye makhSooS kiyaa gayaa hei.

Jawaid Badauni SaaHib ne aek miSraA pesh kiyaa hei jo yooN hei;
"dast-e-qudrat se nah phir bun saka aisa chehra "

MulaaHizah: Mujh se miSraA naql karne meiN ghalaTi hougai thee jisko maiN ne SaHeeH kardiyaa hei.

BeHr kee is shakl kaa naam hei:
BeHr-e-ramal makhboon MeHzoof / maqTooA.
=/0//0/0…///0/0…///0/0…/0/0
= faa'ilaa'tun…fa'ilaa'tun…fa'ilaa'tun …fe'lun
=2122……………..1122………….1122………………22
Is shakl ke pahle rukn ko "fa'ilaa'tun" isteAmaal karne kee ijaazut hei aur ghair-qaafiyah-band miSraAoN ke aakhiri rukn ko "fe'lun" kee bajaaye "fa'ilun" isteAmaal karne kee ijaazut hei.

Radeef= chehrah
Qawaafi = (aisaa, achcha, dunyaa, ujlaa, maseeHa, kaa, huvida, pyaara, ) waghairah.

Ummeed keh aap TabAaazmaayi farmaayenge aur mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Mon Oct 30, 2006 3:16 am, edited 3 times in total.
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

ustaad-e-moHtaram A.Nazir SaaHib, aadaab

miSra dekh kar mere zehn meiN ik savaal aayaa hai ! az raah-e-karam tashaffee farmaadeN !

kyaa ye miSra' bunyaadi islaami a'qeede ke muvaafiq hai ?

kyoN ke miSra' kuchh yooN hai

"dast-e-qudrat se na phir ban saka aisa chehra "

bilaa shubaa Nabi (SAW) ka chehra dunyaa ka Haseen-tareen chehra thaa ! aur Allah ta'aala ke baa'd unhi ka maqaam buland-tar hai !

laiken mazkoora miSra Khuaa ki qudrat ki nafee kartaa dikhaayee detaa hai !

kyoN ke is ka vaaziH matlab hee yehi hai k

dast-e-qudrat ya'nee Khudaa se phir aisa cherhra "BAN NA SAKAA" disre alfaaz meiN Khudaa ne banaana chaaha magar ban na sakaa ! ya'nee Khudaa ki qudrat maHdood huii ! kyaa ye a'qeeda durust hai ?

maiN ne nehaayat muKhtaSar alfaaz meiN savaal poochha hai . ummed hai k mera matlab aap samajh gaye hoNge ! meree tashaffe farmaa kar shukriya ka moqa' deN aur i'nda Allah ma'joor hooN ! shukriya

Zia Baloch

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapka sawaal apni jagah durust hei agar yeh kahaa jaaye ke naAt meiN her miSreA kaa pooraa mafhoom adaa hounaa chaahiye.

MiSraA yuN hei:
dast-e-qudrat se na phir ban saka aisa chehra "

USool ke Taur per her sheAr kaa mafhoom dekhaa jaataa hei.

Meri gireh aapki nazar se guzri hougi:

behr-e-kaunain banaayaa jo bani kaa chehrah
"dast-e-qudrat se nah phir ban sakaa aisaa chehrah"

Is sheAr kaa mafhoom aap yeh nahiN nikaalenge ke khudaa kee qudrat Aajiz aagayi balke yeh kahenge ke qudrat ne apne saabiqah faiSale kee ta'eed kee hei.

Zabaan ke iAtibaar se "nah saknaa" ke laazimi Taur per "Aajiz aane" ke maAni nahiN nikalte. Macalan agar koii kahe ke wo kal school na jaasakaa tou uskaa koii sabab bhee housaktaa hei. Jaise uske ghar ke saamne hee school thaa lekin us ke paas baahar ke mulk se bahut hee Azeez mehmaan aaye houe thay.

Agar is zaaviya-e-nazar se aap is miSreA per ghaur farmaayenge tou koii ghalaTfehmi nahiN paidaa hougi.

Waise Aam Taur per yeh kahaa jaataa "laa taqraboo alSalaata" kehkar mat ruk jaaou balkeh poori aayat paRhou.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

ustaad-e-moHtaram , aadaab

mu'aafee chaahtaa hooN k der hogaii !

aap ka nehaayat mamnoon hooN ! is javab keleye ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply