Yaaraan-e-meHfil, aadaab
aaj aap ki Khidmat meiN apnii aik taaza Ghazal ke saath Haazir hooN, ik maKhSooS kaifiyyat meiN yeh Ghazal hoii hai yuuN samajh lijeye jo dil ne kahaa maiN ne likhaa ! ummeed hai k apnii aaraa aur tanqeed se navaazeNge ! shukriya
:: Urdu V ::
:: Roman V ::
1.
na zameeN na aasmaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
yeh jahaan-e-a'aashiqaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
2.
bhala koi kyaa sunaaye yahaaN daastaan-e-Hasrat
yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
3.
tiri justjoo meiN jaanaaN ! yeh kahaaN maiN aa gayaa hooN ?
koi dasht-e-be-karaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
4.
na labooN pe ik fuGhaaN hai na koii bhi naGhma-KhvaaN hai
yeh a'jeeb gulsitaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
5.
na voh lutf-e-dil-gudaazii na voh kaif-e-nai-navaazii
na bahaar yaa KhizaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
6.
na viSaal-e-rooH-parvar na firaaq-e-marg-aavar
yeh samaaN bhi kyaa samaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
7.
na Sadaa-e-dil-nasheenii na navaa-e-dard-mandii
yeh chaman to be-nishaaN hai na qafas na aashiyaana !
8.
kabhi har taraf tajallii kabhi kuchh nahiN kaheeN bhii
yeh makaaN k laa-makaaN hai na qafas na aashiyaana !
9.
miri zindagii bhi kyaa hai , faqat aik naqsh-e-paa hai
jo Ghubaar-e-kaarvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
10.
dil-e-naa-Saboor mere ! tuu kaheeN Theher to jaa ab
yeh kahaaN ravaaN davaaN hai ? na qafas na aashiyaana !
11.
ise sun ke jaan loge k rah-e-vafaa meiN kyaa hai
yeh Zia ki daastaaN hai na qafas na aashiyaanaa !!
..............................................................................
shukriya
Zia Baloch
:: yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
:: yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Bahut hee lambi radeef ke saath aapki yeh ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
Re: Bahut khoob, waah waah
ustaad-e-moHtaram , aadaabWEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Zia Baloch SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Bahut hee lambi radeef ke saath aapki yeh ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
ta'Kheer kilye ma'zirat !
aap ka Husn-e-nazar hai ! is qadar HoSla-afzaii par aap kaa tah-e-dil se mamnoon hooN ! nehaayat shukriya
Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: :: yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaana
Sara SaaHiba, aadaab !!sara_j wrote:Salaam Zia sahib,Star Mind wrote:Yaaraan-e-meHfil, aadaab
aaj aap ki Khidmat meiN apnii aik taaza Ghazal ke saath Haazir hooN, ik maKhSooS kaifiyyat meiN yeh Ghazal hoii hai yuuN samajh lijeye jo dil ne kahaa maiN ne likhaa ! ummeed hai k apnii aaraa aur tanqeed se navaazeNge ! shukriya
:: Roman V ::
1.
na zameeN na aasmaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
yeh jahaan-e-a'aashiqaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
2.
bhala koi kyaa sunaaye yahaaN daastaan-e-Hasrat
yeh chaman dhuvaaN dhuvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
3.
tiri justjoo meiN jaanaaN ! yeh kahaaN maiN aa gayaa hooN ?
koi dasht-e-be-karaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
4.
na labooN pe ik fuGhaaN hai na koii bhi naGhma-KhvaaN hai
yeh a'jeeb gulsitaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
5.
na voh lutf-e-dil-gudaazii na voh kaif-e-nai-navaazii
na bahaar yaa KhizaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
6.
na viSaal-e-rooH-parvar na firaaq-e-marg-aavar
yeh samaaN bhi kyaa samaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
7.
na Sadaa-e-dil-nasheenii na navaa-e-dard-mandii
yeh chaman to be-nishaaN hai na qafas na aashiyaana !
8.
kabhi har taraf tajallii kabhi kuchh nahiN kaheeN bhii
yeh makaaN k laa-makaaN hai na qafas na aashiyaana !
9.
miri zindagii bhi kyaa hai , faqat aik naqsh-e-paa hai
jo Ghubaar-e-kaarvaaN hai na qafas na aashiyaanaa !
10.
dil-e-naa-Saboor mere ! tuu kaheeN Theher to jaa ab
yeh kahaaN ravaaN davaaN hai ? na qafas na aashiyaana !
11.
ise sun ke jaan loge k rah-e-vafaa meiN kyaa hai
yeh Zia ki daastaaN hai na qafas na aashiyaanaa !!
..............................................................................
shukriya
Zia Baloch
maKhSooS kaifiyyat mein likhi aapke dil ki baat
shayarana andaaz mein bohat pasand aayi .
sabhi ashaar
khoobsurat hain. daad qubool keejiye.
sara
kaisee haiN aap?
sab aap kaa Husn-e-nazar hai ! nehaayat mamnoon hooN ! shukriya