TARAHI MISRAA' GUZ.23 - -- - Abdullah Nazir

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

TARAHI MISRAA' GUZ.23 - -- - Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »

MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat, :rose

GUZARISH No.23. dd. November 1, 2006.

TaraHi miSraA meraa apnaa:

dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee

Radeef = kee
Qaafiye: = (gulistaaN, pashemaaN, insaaN, armaaN, iHsaaN, jaanaaN, ieemaaN, giryaaN, ToofaaN, zindaaN, bahaaraaN, bayaabaaN), waghairah.

Is beHr kaa naam hei: MuqtaZab mucamman maTvi maqTooA
Iska vazn hei: faa'ilaat' … maf'oo'lun...faa'ilaat'...maf'oo'lun
= /0//0/.… /0/0/0 … /0//0/.../0/0/0
= 2121.. 222 .. 2121...222

Ummeed ke aap sab TabA aazmaayi farmaakar khaaksaar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Thu Nov 30, 2006 12:28 pm, edited 1 time in total.
Image
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

Post by zaamin »

20 = - = / - = = = // = - = / - = = =
{ hazaj mu;samman ashtar } [hazaj mu;samman ashtar]

mohtaram janaab nazir saahib:

pritchett ki handbook men is behr ko[ya keh liijiye isi jaisi behr hai] ooper ke siigha men baandha gaya hai;merii naqis samaajh meN qaaide ke mutaabiq[mera samajhana ghalat bhii ho sakta hai] ooper likhii behr men stress [2]12-12[2]2 [bracketted syllables] per honi chaahiye,aur aap ki di gayii taqtii men 21[2]1-2[2]2 pe;donon tarah kaafii pachiidah behr hai,aur men aap ki ghazal parh kar yeh nahin decide kar saka ke stress kahaan per parh rahii hai[ghazal men mera experience bahut kam hai,aur abhii bhii bahut baar diqqat hoti hai]
kyaa aap in donon behron ke baare men kuchh majiid roshnii daal sakte haiN;ham naye seekhane waalon ke liye yeh bahut mufeed hogi;peshagi shukriyaa adaa karta hoon

mukhlis

zaamin
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Re: diye houe miSreA kee beHr

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Zaamin SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki aaraa ke liye shukrguzaar hooN.

MaiN ne mandarja-e-zeil ibaarat likhkhi:

dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee

Radeef = kee
Qaafiye: = (gulistaaN, pashemaaN, insaaN, armaaN, iHsaaN, jaanaaN, ieemaaN, giryaaN, ToofaaN, zindaaN, bahaaraaN, bayaabaaN), waghairah.

Is beHr kaa naam hei: MuqtaZab mucamman maTvi maqTooA
Iska vazn hei: faa'ilaat' … maf'oo'lun...faa'ilaat'...maf'oo'lun
= /0//0/.… /0/0/0 … /0//0/.../0/0/0
= 2121.. 222 .. 2121...222
------------------------------

Aisi koii BeHr Hazaj kee kisi shakl meiN hei tou vazaaHut farmaayiye kiyunkeh aSl qaaAidah yehi hei ke aek Behr kee koii shakl doosri BeHr meiN nahiN housakti.

Diyaa houaa miSraA yuN hei:

dhajjiyaaN u/Raadi heiN/ apne hee gi/rebaaN kee

2121...............222..............2121...........222

Behr kee is shakl kaa maiN ne naam bhee likh diyaa hei.

Agar aapke paas Maulwi AbdulHaq kee kitaa QawaaAid-e-urdu hei tou aap BeHr-e-muqtaZab kaa baab dekheN us meiN aek yeh miSraA diyaa gayaa hei:
"waah re n/aSeeb apne/ jiski yeh ta/manna hei"

Agar aapko mazeed tafSeel chaahiye tou pesh karne ke liye tayyar hooN. Agar BeHr kee is shakl ke bilkul mumaacil koii aur BeHr nazar aaye tou uska vazn aur miSraA likhiye.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

Post by zaamin »

mohtaram janaab nazir saahib:
asa
unfortunately mere pass arooz ki koii kitaab nahin hai;internet se hi jo kuchh parhaa hai,usii pe abhii tak iktifaa hai;men ne pritchett ki handbook dekhii per is behr ki koii ghazal unhon ne pesh nahin ki hai.
janaab sarwar saahib ke nikaat-e-sukhan men is ki yeh misaal di gayii hai:

6.5.3: beHr-e-hazaj, mucamman, ashtar : ya'nee is beHr kee voh aaTh ruknee shakl jis meN ashtar ziHaaf ista?maal kiyaa gayaa hai. agar :mu-faa-e?e-lun: meN se :meem: aur :ye: nikaal deN to :faa-i?-lun: bachtaa hai jo :mu-faa-e?e-lun: kaa ashtar ziHaaf kehlaataa hai.

kehte ho nah deN ge dil ham ne gar paRaa paayaa
dil kahaaN keh gum keeje ham ne mudd,a?a paayaa (Ghalib)

faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun; faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun
kehte ho; nah deN ge dil ham ne gar; paRaa paayaa
dil kahaaN; keh gum keeje; ham ne mud; d,a?a paayaa

mera itna ilm nahiin keh sakoon kih in donon soorton men kiyaa farq hai ya ki donon tarah se use ho sakta hai;umiid hai aap ya sarwar saahib ya doosra koii is ilm men muhaarat rakhne waala is ko suljha dega;kyonkih aap ne likha hai kih ek hi soorat ki do behren nahin ho saktiin,to yeh ham naye seekhne waalon ke liye aur bhii confusion ki baat ho jaati hai,ki abhii yeh misaal mauzood hai;ho sakta hai kih is behr men ustaadaan men ikhtilaaf ho;agar aisa hai to yeh nukta bhii seekane waalon ke liye waazih hona chaahiye.
aap ka aur mehfil ke doosre doston ki rae ka intezaar rahega

mukhlis

zaamin
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shayad koii ghalaTfehmi houee

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami Zaamin SaaHib,[/u]

PurkhulooS Tasleemaat, 8)

Aap ne likhkhaa hei:

unfortunately mere pass arooz ki koii kitaab nahin hai;internet se hi jo kuchh parhaa hai,usii pe abhii tak iktifaa hai;men ne pritchett ki handbook dekhii per is behr ki koii ghazal unhon ne pesh nahin ki hai.
janaab sarwar saahib ke nikaat-e-sukhan men is ki yeh misaal di gayii hai:

6.5.3: beHr-e-hazaj, mucamman, ashtar : ya'nee is beHr kee voh aaTh ruknee shakl jis meN ashtar ziHaaf ista?maal kiyaa gayaa hai. agar :mu-faa-e?e-lun: meN se :meem: aur :ye: nikaal deN to :faa-i?-lun: bachtaa hai jo :mu-faa-e?e-lun: kaa ashtar ziHaaf kehlaataa hai.

kehte ho nah deN ge dil ham ne gar paRaa paayaa
dil kahaaN keh gum keeje ham ne mudd,a?a paayaa (Ghalib)

faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun; faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun
kehte ho; nah deN ge dil ham ne gar; paRaa paayaa
dil kahaaN; keh gum keeje; ham ne mud; d,a?a paayaa
--------
Is beHr kee tashreeH meiN mandarja-e-zeil baataoN kaa khayaal rakhiye:
1- shatr kaa ZaHaaf hei = Zahaf "kharm" + "qabZ"
Mufaa'ee'lun per inka acar yuN paRtaa hei:
Kharm se "meem" aur "qabZ" se "ye" giraandiyaa jaaye tou faa'ilun bach jaataa hei jou appki micalaoN meiN kaheeN nahiN hei yaAni = 212

2- Aapki dee houee micaalaoN kaa vazn hei:
Maf'oo'l........mufaa'ee'lun......maf'oo'l.....mufaa'ee'lun
- 221.....1222.....221......1222
- yeh BeHr-e-hazaj kee kaunsi shakl hei?
- Behr-e-hazaj kaa aSl vazn hei:
- Mufaa'ee'lun 4 martabah aek miSreA meiN.
- Aapke vazn meiN doosra rukn aur chauthaa rukin aSli heiN mufaa'ee'lun jin meiN koii tabdeeli nahiN houee.
- Tabdeeli pahle aur teesre rukn meiN aek hee qism kee houee hei yaAni "mufaa'ee'lun" ko maf'ool kardiyaa gayaa hei.
- Mufaa'ee'lun per ZaHaaf kharb kaa acar houaa hei.
- Kharb = Zahaf kharm + zahaaf kuff
- Kharm se "meem" aur kuff se "noon" ko giraadiyaa gayaa tou baaqi bachaa "faa'eel" jisko ham "maf'ool" kaa naam dete heiN.
- Nateejah: Is liye is beHr kaa ashtar se koii taAalluq nahiN. Is ko ham kahenge BeHr-e-hazaj akhrab.

Housaktaa hei ke aap Sarwar SaaHib kee baat nah samajh paaye houN yaa paRhne meiN koii ghalati hougayi hou yaa kitaabat kee bhee ghalaTi housakti hei.

BaharHaal, yaqeen keejiye ke maiN ne jis BeHr kaa naam aur vazn likhkhaa hei wo bilkul SaHeeH hei.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

Post by zaamin »

kehte ho nah deN ge dil ham ne gar paRaa paayaa
dil kahaaN keh gum keeje ham ne mudd,a?a paayaa (Ghalib)

faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun; faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun
kehte ho; nah deN ge dil; ham ne gar; paRaa paayaa
212;1222;212;1222
yahaan per 'kehte ho ' aur yakinan 'ham ne gar' 212 per hai

dil kahaaN; keh gum keeje; ham ne mud; d,a?a paayaa

yehaan per 'dil kahaan' aur 'ham ne mud' 212 hain;yakinan ' kehte ho ' ko 221 liya ja sakta hai,per is meN stress ko doosre 2 [te]per shift karna parhega,jo ki zaahiri pehle 2[keh] pe hai;yahii baat 'ham ne mud/mu?' per laazim hai,ki agar stress :ne: per di jaaye aur :mudd'aa: ko :mud'aa :parha jaaye to 221 ho sakti hai,lekin agar stress :ham: per hai to 212 hoga.

'dil kahaan' aur 'ham ne gar' kisi suurat 221 nahin bante;"dil kahaan' 211 ho sakta hai aur 'ham ne gar' 222 agar :ne: pe stress ho.

mera yeh matlab hargiz nahiin ,kih aap ne jo behr biyaan ki hai,voh theek nahin hai;jaise main ne kahaa shayad donon soorten theek hon;lekin abhii tak confusion baaqii hai;umiid hai ki sarwar saahib bhii is pe kuchh farmaayeinge.

mukhlis

zaamin
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

jee yeh mas'alah mazeed teHqeeq chaahtaa hei

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Zaamin SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne likhkhaa hei:

kehte ho nah deN ge dil ham ne gar paRaa paayaa
dil kahaaN keh gum keeje ham ne mudd,a?a paayaa (Ghalib)

faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun; faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun
kehte ho; nah deN ge dil; ham ne gar; paRaa paayaa
212;1222;212;1222
yahaan per 'kehte ho ' aur yakinan 'ham ne gar' 212 per hai

jee aapki taqTeeA SaHeeH hei:
212...1222...212...1222
Isi ko hem yuN bhee paRh sakte heiN:
2121...222...2121....222

BeHr-e-muqtaZab kaa wujood hee nahiN hei Yeh aap se pehli baar sun rahaa hooN. Mujhe itnaa maAloom hei ke yeh BeHr maujood hei.

Baqaul Maulwi AbdulHaq ke iskaa aSl vazn hei:
Maf'oo'laat.......mus'taf'ilun
(iski teHqeeq kee Zaroorat hei keh kyaa yehi arkaan is BeHr ke aSli arkaan heiN?)
Kehte heiN ke is per Taie" aur "qaTA" ke ZaHaaf kaa acar houaa hei jis se BeHr-e-muqtaZab kee shal MaTvi MaqTooA HaaSil houee hei.
ZaHaaf "Taie" kaa kaam hei ke agar rukn meiN 2 sabab-e-khafeef houN to doosre ke aakhir Harf ko giraadenaa jaise maf-oo'laat se "waao" ko giraadiyaa tou baaqi rah "muf'A'laat" jisko "faa'ilaat" karlete heiN. Is TaraH pahle rukn ke SaHeeH houne kaa cuboot mil gayaa.
ZaHaaf "qaTA" kaa kaam hei keh rukn ke aakhir meiN vatad hou tou uske aakhiri Harf ko nikaal denaa aur maa qablahu ko saakin kardenaa Jaise mus-taf-ilun meiN se noon ko giraadiaa aur maa qablahu ko saakin kardiyaa tou bachaa "mus'taf'il"
Isko ham "maf'oo'lun" kardete heiN.
Is TaraH BeHr-e-muqtaZab kee jo shakl HaaSil hourahi hei wo hei:
Faa'ilaat.....maf'oo'lun....faa'ilaat....maf'oo'lun
2121...........222..............2121..........222.

Aap ne mazeed likhkhaa hei:

(dil kahaNk/ gum keeje/ hamn'mud'du /Aaa paayaa)
IsTaraH kee taqTeeA meiN kyaa qabaaHat hei. Kyaa is se koii SaHeeH Huroof adaa nahiN hourahe heiN?

Aap ne mazeed likhkhaa hei:

mera yeh matlab hargiz nahiin ,kih aap ne jo behr biyaan ki hai,voh theek nahin hai;jaise main ne kahaa shayad donon soorten theek hon;lekin abhii tak confusion baaqii hai;umiid hai ki sarwar saahib bhii is pe kuchh farmaayeinge.

Is meiN koii shak nahiN keh:
1- MuqtaZab maTvi maqTooA kaa diyaa houaa miSraA: "waah re naSeeb apne jiski yeh tamanna hei" aur hazaj ashtar kaa diyaa houaa miSraA: "bazm-e-ghair se uThnaa yaar kaa taAajjub hei"
Douno miSraAoN meiN bilkul mumaacilat hei aru aisaa hounaa qaa'Aide ke khilaaf hei.

Aisi Haalat meiN beHc kee nahiN balkeh mazeed teHqeeq kee Zaroorat hei. MaiN bahut maSroof houne ke baavajood aapke sawaalaat kaa javaab detaa rahaa. Aakhir meiN apne mandarja-e-e-baalaa shak ko duhraataa hooN:

(iski teHqeeq kee Zaroorat hei keh kyaa yehi arkaan is BeHr ke aSli arkaan heiN?)
MaiN teHqeeq kartaa rahoongaa aur munaasib waqt per apnaa shakhSi khayaal zaahir karsakoongaa.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

Re: jee yeh mas'alah mazeed teHqeeq chaahtaa hei

Post by zaamin »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Zaamin SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aap ne likhkhaa hei:

kehte ho nah deN ge dil ham ne gar paRaa paayaa
dil kahaaN keh gum keeje ham ne mudd,a?a paayaa (Ghalib)

faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun; faa-i?-lun; mu-faa-e?e-lun
kehte ho; nah deN ge dil; ham ne gar; paRaa paayaa
212;1222;212;1222
yahaan per 'kehte ho ' aur yakinan 'ham ne gar' 212 per hai

jee aapki taqTeeA SaHeeH hei:
212...1222...212...1222
Isi ko hem yuN bhee paRh sakte heiN:
2121...222...2121....222

mujhe is se mukammal ittefaaq hai

BeHr-e-muqtaZab kaa wujood hee nahiN hei Yeh aap se pehli baar sun rahaa hooN. Mujhe itnaa maAloom hei ke yeh BeHr maujood hei.

ji nahiaan,mohtaram nazir saahib;men ne yeh kahiin nahiin kahaa ,aur na mera itna 'ilm hai kih yeh keh sakoon,ki behr-e-muqtazab kaa wujood nahiin hai

Baqaul Maulwi AbdulHaq ke iskaa aSl vazn hei:
Maf'oo'laat.......mus'taf'ilun
(iski teHqeeq kee Zaroorat hei keh kyaa yehi arkaan is BeHr ke aSli arkaan heiN?)
Kehte heiN ke is per Taie" aur "qaTA" ke ZaHaaf kaa acar houaa hei jis se BeHr-e-muqtaZab kee shal MaTvi MaqTooA HaaSil houee hei.
ZaHaaf "Taie" kaa kaam hei ke agar rukn meiN 2 sabab-e-khafeef houN to doosre ke aakhir Harf ko giraadenaa jaise maf-oo'laat se "waao" ko giraadiyaa tou baaqi rah "muf'A'laat" jisko "faa'ilaat" karlete heiN. Is TaraH pahle rukn ke SaHeeH houne kaa cuboot mil gayaa.
ZaHaaf "qaTA" kaa kaam hei keh rukn ke aakhir meiN vatad hou tou uske aakhiri Harf ko nikaal denaa aur maa qablahu ko saakin kardenaa Jaise mus-taf-ilun meiN se noon ko giraadiaa aur maa qablahu ko saakin kardiyaa tou bachaa "mus'taf'il"
Isko ham "maf'oo'lun" kardete heiN.
Is TaraH BeHr-e-muqtaZab kee jo shakl HaaSil hourahi hei wo hei:
Faa'ilaat.....maf'oo'lun....faa'ilaat....maf'oo'lun
2121...........222..............2121..........222.

Aap ne mazeed likhkhaa hei:

dil kahaaN; keh gum keeje; ham ne mud; d,a?a paayaa
yehaan per 'dil kahaan' aur 'ham ne mud' 212 hain;yakinan ' kehte ho ' ko 221 liya ja sakta hai,per is meN stress ko doosre 2 [te]per shift karna parhega,jo ki zaahiri pehle 2[keh] pe hai;yahii baat 'ham ne mud/mu?' per laazim hai,ki agar stress :ne: per di jaaye aur :mudd'aa: ko :mud'aa :parha jaaye to 221 ho sakti hai,lekin agar stress :ham: per hai to 212 hoga.

'dil kahaan' aur 'ham ne gar' kisi suurat 221 nahin bante;"dil kahaan' 211 ho sakta hai aur 'ham ne gar' 222 agar :ne: pe stress ho.

(dil kahaNk/ gum keeje/ hamn'mud'du /Aaa paayaa)
IsTaraH kee taqTeeA meiN kyaa qabaaHat hei. Kyaa is se koii SaHeeH Huroof adaa nahiN hourahe heiN?

Aap ne mazeed likhkhaa hei:

mera yeh matlab hargiz nahiin ,kih aap ne jo behr biyaan ki hai,voh theek nahin hai;jaise main ne kahaa shayad donon soorten theek hon;lekin abhii tak confusion baaqii hai;umiid hai ki sarwar saahib bhii is pe kuchh farmaayeinge.

Is meiN koii shak nahiN keh:
1- MuqtaZab maTvi maqTooA kaa diyaa houaa miSraA: "waah re naSeeb apne jiski yeh tamanna hei" aur hazaj ashtar kaa diyaa houaa miSraA: "bazm-e-ghair se uThnaa yaar kaa taAajjub hei"
Douno miSraAoN meiN bilkul mumaacilat hei aru aisaa hounaa qaa'Aide ke khilaaf hei.

Aisi Haalat meiN beHc kee nahiN balkeh mazeed teHqeeq kee Zaroorat hei. MaiN bahut maSroof houne ke baavajood aapke sawaalaat kaa javaab detaa rahaa. Aakhir meiN apne mandarja-e-e-baalaa shak ko duhraataa hooN:

(iski teHqeeq kee Zaroorat hei keh kyaa yehi arkaan is BeHr ke aSli arkaan heiN?)
MaiN teHqeeq kartaa rahoongaa aur munaasib waqt per apnaa shakhSi khayaal zaahir karsakoongaa.

Aapka MukhliS,
Nazir.

aap ke mashroof hone ke bawajood aap ka is tahammul aur mafassal sikhaanaa aap ki shafqaana tabiyat ka juz hai;jis ke liye ham sab seekhne waale aap ke mamnoon hain;umiid hai kih aap is pe aur roshnii daalenge
mamnoon

zaamin
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

muHibbee Zaamin SaaHeb: aadaab!

aap kaa pm milaa aur maiN Hukm kee ta'meel meN chalaa aayaa. aap ne darj-e-Zel miSre' kee beHr par meree raaYe pooch`ee hai:

dhajjiyaaN uRaa dee haiN apne hee girebaaN kee

ek hee miSre' kaa do muKhtalif beHroN meN taqt^ee' honaa naa-mumkin naheeN hai. kabhee kabhee aisaa ho jaataa hai. yeh miSra' :beHr-e- muqtaZ^ab, mucamman, mat^wee, maqt^oo': meN taqt^ee' hotaa hai:

faa-i'-laa-tu, maf-o'o-lun, faa-i'-laa-tu, ma-fo'o-lun

aur :beHr-e-hazaj mucamman, ashtar: meN bhee taqt^ee' hotaa hai:

faa-i'-lun, mu-faa-e'e-lun, faa-i'-lun, mu-faa-e'e-lun

aap kar ke dekh leejiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Sarwar SaaHib kaa bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Zaamin SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :roll:

Aapke khuSooSi inaayat naameh ke javaab meiN MuHtarami Sarwar SaaHib ne mandarja-e-zeil mukhtaSar aur mufeed javaab likhkhaa hei:

muHibbee Zaamin SaaHeb: aadaab!

aap kaa pm milaa aur maiN Hukm kee ta'meel meN chalaa aayaa. aap ne darj-e-Zel miSre' kee beHr par meree raaYe pooch`ee hai:

dhajjiyaaN uRaa dee haiN apne hee girebaaN kee

ek hee miSre' kaa do muKhtalif beHroN meN taqt^ee' honaa naa-mumkin naheeN hai. kabhee kabhee aisaa ho jaataa hai. yeh miSra' :beHr-e- muqtaZ^ab, mucamman, mat^wee, maqt^oo': meN taqt^ee' hotaa hai:

faa-i'-laa-tu, maf-o'o-lun, faa-i'-laa-tu, ma-fo'o-lun

aur :beHr-e-hazaj mucamman, ashtar: meN bhee taqt^ee' hotaa hai:

faa-i'-lun, mu-faa-e'e-lun, faa-i'-lun, mu-faa-e'e-lun

aap kar ke dekh leejiYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

------------
Mical ke Taur per dekhiye:
Maulvi AbdulHaq ne Qawaaid-e-urdu meiN BeHr-e-muqtaZab maTvi maqTooA ke silsile meiN yeh miSraA pesh kiyaa hei:
Waah re n/Seebapne/jisk'yeht/mannahei
Faa'ilaatu..maf'oo'lun..faa'ilaatu..maf'oo'lun
/0//0/……/0/0/0……/0//0/……/0/0/0
2121………222………..2121……….222
Isee miSreA ko yuN bhee likhkhaa jaasaktaa hei taqTeeA ke liye jo BeHr-e-hazaj ashtar kee nishaandehi kartaa hei:
Waah're / naSeebapne / jiski yeh / tamanna hei
Faa'ilun…..mufaa'ee'lun…faa'ilun….mufaa'ee'lun
/0//0…..//0/0/0………/0//0………//0/0/0
212……..1222…………..212…………..1222
=======
Ab dekhiye BeHr-e-hazaj ashtar ke muqaabil jo miSraA pesh kiyaa hei wo yuN hei:

Bazm-e-ghai /rse uThnaa / yaar'kaa / taAajuub hei
Faa'ilun……..mufaa'ee'lun…faa'ilun…mufaa'ee'lun
/0//0………..//0/0/0………./0//0…… //0/0/0
212…………..1222……………212……….1222
ham isi miSreA ko muqtaZab mucamman maTvi maqTooA ke vazn per taqTeeA karsakte heiN:
bazm-e-ghair' / se'uThnaa /yaar'ka't /Aajjub hei
faa'ilaa'tu…maf'oo'lun….faa'ilaa'tu…..maf'oo'lun
/0//0/……./0/0/0………/0//0/………../0/0/0
2121……….222…………..2121……………222
-------------

2 BeHraoN kaa Sauti liHaaz se bilkul mumaacil hounaa agarche marghoob nahiN lekin qadeem ijtihaadaat ne is Haqeeqat ko qubool karne per majboor kardiyaa hei keh aek ghazal yaa nazm kee mukhtalif BeHraoN kee mukhtalif ashkaal meiN taqTeeA kee jaasakti hei jiski micaal ooper dee gayi hei.
--------
BeHr-e-MuqtaZab mucamman MaTvi MaqTooA ke baare meiN MuHtaram Iqbal Siddiquee apni kitab 'aahang aur ArooZ' ke Safhe raqm 217 per farmaate heiN

SaaHib-e-BeHr-ul-FaSaaHat ne SafHe 240 aur SaaHib-e-aayeena-e-balaaghat ne SafHe 138 per is aahang ko MuqtaZab mucamman maTvi MaqTooA bataayaa hei. MaqTooA MuzaaHaf Sirf aakhiri rukn ke liye khaaS hei. Is liye in dounoN buzurgaoN se shadeed ghalaTi houee hei aur iski nishaandehi karnaa meraa naagawaar farZ hei. …………..waghairah.

MuHtarami Iqbaal Siddiquee se yeh chook hougayi ke daraSl qaTA (jis ko urdu meiN zaHaaf kaa naam diyaa gayaa hei) zaHaaf nahiN balke aisi illat hei jis se watad ke aakhiri Harf ko giraakar maaqablahu ko saakin kiyaa jaataa hei. KiyuNke is illat se lafz meiN kami waaqiA hourahi hei is liye jaayiz hei ke iskaa acar Zarb aur ArooZ per paRe. Agar wo Sirf BeHr-e-MuqtaZab murabbaA maTvi maqTooA ke qaayi heiN, to 8 rukni Behr ko bajaaye mucamman kehne ke MuZaaf kehnaa kyaa Zaroori hei. 4 rukn kee aSlee BeHr kaa koii taSavvur hee nahiN hei. Qadeem ArooZiyieen in sab baataoN se aagaah thay. Unka iAtiraaz SaaHib-e-BeHr-e-FaSaaHut aur SaaHib aayieena-e-balaaght unke liye naagawaar sahi hamaare liye aek shadeed ilzaam kee haiciat rakhtaa hei.

Qudamaa per koii iAtiraaZ karne se pahle hameN chaahiye ke hazar baar apne qaul per ghaur kareN. Mubtadee adeeb o shoAaraa aisi kitaabeN paRhkar kuch seekhne ke saath saath bhaTak bhee sakte heiN.
--------

BaharHaal, aek Taalib-e-ilm houne kee haiciat se mujh se bhee ghalaTiyaaN housakti heiN. Ahl-e-ilm-e-ArooZ se ummeed kartaa hooN ke meri ghalaTiyaoN kee nishaandehi karte rahenge.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Sat Nov 11, 2006 11:50 am, edited 2 times in total.
Image
zaamin
-
-
Posts: 37
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:54 am

Post by zaamin »

mohtaram janaab sarwar saahib aur mohtaram janaab nazir saahib:
aap donon ke jawaabaat aur tashree ke liye mamnoon hoon;bas yahii confusion door karni thii ki aaya yeh misra donon behron men theek hai;ma'aloom huwaa ki kuchh haalton men eik misraa do behron men yaksaan syllables ke saath use ho sakta hai,go kih asoolan aisa nahin hota.is fact se ham naye seekhane waalon ke liye confusion ka saba door ho gayaa hai ,aur saath saath bahut aur kuchh seekhne ka mauqa mila

app donon ka mamnoon

zaamin
Post Reply