MUKHTALIF ANDAAZ KI EK GHAZAL APKI SAMAATON MEN

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Ehsan Raza
-
-
Posts: 46
Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
Location: Makkah, Saudi-Arabia
Contact:

MUKHTALIF ANDAAZ KI EK GHAZAL APKI SAMAATON MEN

Post by Ehsan Raza »

MaN hi MaN Kuch bol rahi haiN chaltee phirtee ankheN
Amrit meN vish ghol rahee hain chaltee phirtee ankheN dekh


kacchi mitti ke bartan men piyaar ki sondhi khushboo leker
Madira peeke dol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh

Palkon ko patwaar banaker sagar ki lehron men jaaker
Apna rasta khol rahi haiN chaltee phirtee ankheN dekh

Raoshan chehron ki aankhoN men armano ke deep jalaye
urhne ko per tol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh

piyar samander ki seepoN ko jhootey jhootey khaab dikha ker
sacchey motee rol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh

HathoN meN meezan uthaey aankh pe kali patti badhey
Paisey pe haq tol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh

pet meN taptee aag sajaye mayoosee ki chader oorhey
Muflis ka kashkol rahee haiN chaltee phirtee ankheN dekh

[/color][/size]
User avatar
Ehsan Raza
-
-
Posts: 46
Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
Location: Makkah, Saudi-Arabia
Contact:

Post by Ehsan Raza »

SARA SAHIBA
ADAB ARZ HAI
BAHUT BAHUT SHUKRIYA APKI PASAND AWRI KA KOSHISH YAHI HOTI HAI KI SAMAEEN KO KUCH NAI CHEE Z PARHNE KO MILE APKO KAWISH PASAND AAI KHOON RAYEGAN HONE SE BACH GAYA
BAAT BILKUL SAHI HAI APKI MASHRE NE INSAN KI RAGON MEN AJNABIYAT KA KHOON KOOT KOOT KE BHAR DIYA HAI AOR HUM IS JHOOT PER YAQEEN KI BUNIYA KHARHI KARNE MEN LAGE HAI

SAHNE GULSHAN WAHI BAHAAR WAHI
KIYON NAHIN HAI DILON MEN PYAR WAHI
KAB KA TOOFAN GUZAR GAYA AAKER
PHIR BHI CHEHRON PE HAI GHUBAR WAHI
Post Reply