pehlay aata

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
poetrazi
-
-
Posts: 30
Joined: Thu Aug 17, 2006 9:51 am
Location: multan
Contact:

pehlay aata

Post by poetrazi »

sukh ka lamha agar aalaam say pehlay aata
main razi lot kay ghar shaam say pehlay aata

log mulzim to samajhtay mujhay meray munsif
waqia koi to ilzaam say pehlay aata

meray aaghaaz ka aaghaaz agar ho na saka
mera anjaam to anjaam say pehlay aata

main bhatakta hua ab door nikal aaya hoon
us ko aana tha to phir shaam say pehlay aata

hum razi aik lari main jo pirooay jaatay
phir tera naam meray naam say pehlay aata

razi-ud-din razi

Image
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

log mulzim to samajhtay mujhay meray munsif
waqia koi to ilzaam say pehlay aata
sahi kaha...wah..bahut khoob..

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
poetrazi
-
-
Posts: 30
Joined: Thu Aug 17, 2006 9:51 am
Location: multan
Contact:

Post by poetrazi »

Shummu wrote:
log mulzim to samajhtay mujhay meray munsif
waqia koi to ilzaam say pehlay aata
sahi kaha...wah..bahut khoob..
shukria shummu ji
thanx
razi
poetrazi
-
-
Posts: 30
Joined: Thu Aug 17, 2006 9:51 am
Location: multan
Contact:

Re: pehlay aata

Post by poetrazi »

sara_j wrote:
poetrazi wrote:sukh ka lamha agar aalaam say pehlay aata
main razi lot kay ghar shaam say pehlay aata

waah! bohat khoob!

log mulzim to samajhtay mujhay meray munsif
waqia koi to ilzaam say pehlay aata

bohat ache!

meray aaghaaz ka aaghaaz agar ho na saka
mera anjaam to anjaam say pehlay aata

:-) nice

main bhatakta hua ab door nikal aaya hoon
us ko aana tha to phir shaam say pehlay aata

very nice!

hum razi aik lari main jo pirooay jaatay
phir tera naam meray naam say pehlay aata

bohat khoob!

razi-ud-din razi
Razi sahib,

bohat din baad aane ke liye muazirat----- wajah kuch to

Ramadhan phir imtehaan ki masroofiyet....

aapki mukhtasir lekin purasr ghazal pasand aayi sabhi

ashaar paRhte hue aek manzar sa zehn mein ubharta gaya.

dili daad qubool keejiye.

sara
ghazal passand karnay ka shukria
dayr aaid drust aaid :-)
thanx
razi
Post Reply