aap kee Guzarish 23 ke teHet Ghazal dekhne kee sa'adat milee. moHtaram Abdullah Nazir SaHeb ke tabSira' ke ba'd mazeed likh~ne kee koee gunjaee,sh reh naheeN jatee. lekin tab bh~ee apnee janib se dad aor mubarak baad dena to apna farZ^ samajh~ta hooN. so dilee dad qubool kijiYe!
2. dil meiN karb-e-tanhaayi, ashk dhundli aankhaoN meiN
dhoondti hai maaN kalyaaN, apne hi gulistaaN kee
waah kiya kehne!
3. amn ke taqaaze heiN, jang kee hei tayyaari
kyaa houee khudaa jaane, fikr-e-khair insaaN kee
waah! bohot u'mdah!
4. saanseN aati jaati heiN, aadami kee har lamHah
bheek zindagi jaise, hou kisi ke eHsaaN kee
kiya kehne!! waah waah!
5. furqat-e-shab-e-gham meiN, souchti hei yeh Saara
jaane kiyuN hei yooN qismat, ik gareeb insaaN kee
kiya kehne! waah!
Sara jee! aap se Yeh kehna Ghalat^ nah ho ga keh aap aaj kal kam kam hee bazm meN aateeN haiN. aap aese sukhan warooN se hee tao meHfil jaagtee hai. agar aap tashreef nah laeeN geeN ya kam kam aaeeN geeN tao bazm sunsaan sunsan lage gee. aor woh laog jo meHfil meN kam aate haiN meHfil ko khamoosh pa kar wapis chale jaeeN ge.
aap aatee raha kareeN tao ham sab aap ke marhoon-e-minnat hooN ge.