aek taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
aek taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHabab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Goke is radeef meiN bahut pahle aek chouTi beHr meiN ghazal keh chuka thaa lekin Sarwar SaaHib aur phir Mahtab Qadr SaaHib kee ghazal paRhne ke baAd TabeeAt maayil houe aur kuch TooTe phooTe ashAar hougaye jo pesh-e-khidmat heiN.
GHAZAL roman meiN:
Hayaa hei AariZ o lab per khumar aankhaoN meN
Yeh kis ne rakhdi hei taSveer-e-yaar aankhaoN meiN
Khalish jafaa kee nah thee be-qarar aankhaoN meiN
Sitaare kiyuN heiN shab-e-intizaar aankhaoN meiN
Chupaake rakhle miraa Haal-e-zaar aankhaoN meiN
Nah Doob jaauN kahiN ashkbaar aankhaoN meiN
Houaa yeh Haal ghareebaan-e-dasht-e-ghurbat kaa
dilaoN meiN dard hei gard o ghubaar aankhaoN meiN
sukooN ke lab peh taraane bhee jhooT mooT ke heiN
khushi kee lehr bhee hei mustaAar aankhaoN meiN
kahaaniyaaN heiN jo pinhaaN bahaar-e-raftah kee
maiN paRhrahaa hooN tiri sharmsaar aankhaoN meiN
rah-e-junoon-e-sukhan-gustaree hei pesh-e-nazar
nah jeet kaa hei taSavvur nah haar aankhaoN meiN
MaiN apne khirman-e-hastee se khush hooN kab Nazir
Miri balaa se jo laayeN sharar aankhaoN meiN
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Attachments
-
- a_na_33_ub_pl_f_jpg.JPG (183.28 KiB) Viewed 384 times
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: aek taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir
mukarramee Nazir SaaHeb: aadaab!WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHabab-e-sukhan,
PurkhulooS Tasleemaat, :rose
Goke is radeef meiN bahut pahle aek chouTi beHr meiN ghazal keh chuka thaa lekin Sarwar SaaHib aur phir Mahtab Qadr SaaHib kee ghazal paRhne ke baAd TabeeAt maayil houe aur kuch TooTe phooTe ashAar hougaye jo pesh-e-khidmat heiN.
GHAZAL roman meiN:
Hayaa hei AariZ o lab per khumar aankhaoN meN
Yeh kis ne rakhdi hei taSveer-e-yaar aankhaoN meiN
Khalish jafaa kee nah thee be-qarar aankhaoN meiN
Sitaare kiyuN heiN shab-e-intizaar aankhaoN meiN
Chupaake rakhle miraa Haal-e-zaar aankhaoN meiN
Nah Doob jaauN kahiN ashkbaar aankhaoN meiN
Houaa yeh Haal ghareebaan-e-dasht-e-ghurbat kaa
dilaoN meiN dard hei gard o ghubaar aankhaoN meiN
sukooN ke lab peh taraane bhee jhooT mooT ke heiN
khushi kee lehr bhee hei mustaAar aankhaoN meiN
kahaaniyaaN heiN jo pinhaaN bahaar-e-raftah kee
maiN paRhrahaa hooN tiri sharmsaar aankhaoN meiN
rah-e-junoon-e-sukhan-gustaree hei pesh-e-nazar
nah jeet kaa hei taSavvur nah haar aankhaoN meiN
MaiN apne khirman-e-hastee se khush hooN kab Nazir
Miri balaa se jo laayeN sharar aankhaoN meiN
Aapka MukhliS,
Nazir.
yeh zameen aur beHr internet kee meHfiloN meN bohat maqbool huyee aur kayee dostoN ne is meN fikr kee. Banwari Lal "Shola" marHoom kee rooH Khush huyee ho gee! aap kee Ghazal hameshah kee t^araH bohat achhee hai. meree daad aur mubaarakbaad qubool keejiYe.
------------------------------
Hayaa hei AariZ o lab per khumar aankhaoN meN
Yeh kis ne rakhdi hei taSveer-e-yaar aankhaoN meiN
Khalish jafaa kee nah thee be-qarar aankhaoN meiN
Sitaare kiyuN heiN shab-e-intizaar aankhaoN meiN
-----------------------------
Chupaake rakhle miraa Haal-e-zaar aankhaoN meiN
Nah Doob jaauN kahiN ashkbaar aankhaoN meiN
yeh she'r meree samajh meN kam aayaa. meHboob ke aap ke Haal-e-zaar ko apnee aaNkhoN meN ch`upaa lene se aap kee kyaa muraad hai? mere Zehn meN ek taaweel hai lekin us kee taSdeeq yaa tardeed aap hee se ho jaaYe to behtar ho gaa. shukriyah!
---------------------------
Houaa yeh Haal ghareebaan-e-dasht-e-ghurbat kaa
dilaoN meiN dard hei gard o ghubaar aankhaoN meiN
sukooN ke lab peh taraane bhee jhooT mooT ke heiN
khushi kee lehr bhee hei mustaAar aankhaoN meiN
kahaaniyaaN heiN jo pinhaaN bahaar-e-raftah kee
maiN paRhrahaa hooN tiri sharmsaar aankhaoN meiN
rah-e-junoon-e-sukhan-gustaree hei pesh-e-nazar
nah jeet kaa hei taSavvur nah haar aankhaoN meiN
MaiN apne khirman-e-hastee se khush hooN kab Nazir
Miri balaa se jo laayeN sharar aankhaoN meiN
--------------------------------
Ghazal :classical: raNg meN hai aur dilkash hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:

- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Garamee-e-qadr janab Abdullah Nazir SaHeb tasleemaat!
aap kee tazah Ghazal dekh~ne ka sharf mila. agarcheh aap ch~ saat maah qabl isee zameen meN kaee dilkash she'er keh chuke haiN.
lekin ma'loom hota hai keh tishnagee baqee th~ee jo ab in asha'aar kee Surat meN z^ahir hoee hai. Haiqat to Yeh hai keh maiN ne bh~ee chand she'er isee zameen meN kahe th~e lekin ab internet kee maHafil meN is zameen kee maqbuliYat dekh~ kar dil phir se she'er kehne par baZ^id sa ho geYa hai.
Yahee wajah hai keh is khat^ se pehle maiN ne bh~ee isee zameen meN teesree bar koshish kee hai. inshaAllah aaj hee laRee par laga dooN ga.
aap kee Ghazal bohot pasand aaee hai aor maiN ne aap hee ke miSra' ko t^areH kiya hai. ummeed hai aap pasand farmaeeN ge.
aap kee Ghazal kee jitnee bh~ee ta'reef kee jae kam hai. kalaam meN jo dard-o-aalaam kee Yorish hai woh qaree ke dilo-o-dimaaGh meN a'jam kaef aor sarmastee bh~ar rahee hai. YooN lagta hai keh aap ke asha'aar meN har sachche a'ashiq ka dil dh~aRakta hai. mujh~e to YooN lagta hai keh aap apne she'erooN meN zamane bh~ar ka dard aor ranj sameeT lete haiN. yeh aap hee ka HiSSah hai.
Hayaa hei AariZ o lab per khumar aankhaoN meN
Yeh kis ne rakhdi hei taSveer-e-yaar aankhaoN meiN
kiYa kehne! waah waah bohot khoob! bohot u'mdah matla' keh diYa hai aap ne!! waah!! dad qubool kijiYe! =D>
Khalish jafaa kee nah thee be-qarar aankhaoN meiN
Sitaare kiyuN heiN shab-e-intizaar aankhaoN meiN
bohot khoob!! waah! waah!
Chupaake rakhle miraa Haal-e-zaar aankhaoN meiN
Nah Doob jaauN kahiN ashkbaar aankhaoN meiN
kiYa kehne! bohot khoob!
Houaa yeh Haal ghareebaan-e-dasht-e-ghurbat kaa
dilaoN meiN dard hei gard o ghubaar aankhaoN meiN
kiYa kehne!! waah waah!! inteha kar dee hai aap ne!! waah!!
sukooN ke lab peh taraane bhee jhooT mooT ke heiN
khushi kee lehr bhee hei mustaAar aankhaoN meiN
waah waah bohot khoom Nazir SaHeb!!
kahaaniyaaN heiN jo pinhaaN bahaar-e-raftah kee
maiN paRhrahaa hooN tiri sharmsaar aankhaoN meiN
inteha hai! waah waah!
rah-e-junoon-e-sukhan-gustaree hei pesh-e-nazar
nah jeet kaa hei taSavvur nah haar aankhaoN meiN
kiya kehne! waah!waah!
MaiN apne khirman-e-hastee se khush hooN kab Nazir
Miri balaa se jo laayeN sharar aankhaoN meiN
kiya kehne! waah waah miSra'-e-ulaa to qiYamat Dh~a raha hai waah waah! =D>
Nazir SaHeb meree janib se dil kee gehraiYooN se dad aor mubarak baad qubool kijiYe!
Wassalam
muz^affar

Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Sat Jan 20, 2007 11:58 pm, edited 1 time in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
dili shukriyah qubool farmaayiye
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Yeh aapki zarrah navaazi hei keh nah Sirf meri ghazal per apnaa giraNqadr tabSirah farmaaya balke yeh kehkar aek qeemati sand bhee ATaa farmaayi:
Ghazal :classical: raNg meN hai aur dilkash hai!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Is be-bahaa inaayat ke liye aapkaa beHad shukrguzaar hooN.
[/color[pcolor=brown]
Aapka MukhliS,
Nazir.
-
- -
- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut bahut shukriyah
MuHtaramah
Tahirah Masood SaaHibah,
[i[PurkhulooS Tasleemaat,
Apni ghazal per aapkaa mukhtaSar lekin mufeed tabSirah pRhkar bahut khushee houee. Pazeerayi, daad aur mubaarakbaad ke liye beHad shukrguzaar hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]