yaaraan-e-bazm: tasleemaat!
ek t^araHee Ghazal pesh kar rahaa hooN. Jigar Muradabadi kaa miSra' hai:
"sirhaane se kisee kaa uTh ke woh pich`le pahar jaanaa!"
aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. is Ghazal meN ek aur miSre' par bh`ee girah lagaayee hai. ab yaad naheeN keh yeh kis kaa hai:
"yahaaN par beKhabar rehnaa, yahaaN se beKhabar jaanaa"
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==============================
Ghazal:
mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!
:sirhaane se kisee kaa uTh keh woh pich`le pahar jaanaa!: ("Jigar" Muradabadi)
kisee ko ham-nafas samjh`aa, kisee ko chaarahgar jaanaa
magar duniyaa ko ham ne kuch` naheeN jaanaa, agar jaanaa!
maqaam-e-zeest ko ham ne bh`alaa kab mo'tabar jaanaa?
milaa jo lamHah-e-furSat use bh`ee muKhtaSar jaanaa!
ilaahee! ham GhareeboN kee hee kyoN yeh aazmaa,ish hai?
dawaa kaa be-acar rehnaa, du,a'a kaa be-acar jaanaa
tabassum zer-e-lab teraa daleel-e-SubH-e-jaan-o-dil
tiraa naz^reN churaanaa nabZ^-e-hastee kaa Thehar jaanaa!
Haqeeqat hai to bas itnee see hai haNgaam-e-hastee kee
:yahaaN par beKhabar rehnaa, yahaaN se beKhabar jaanaa:!
salaam aisee muHabbat ko, bh`alaa yeh bh`ee muHabbat hai?
kisee kee yaad meN jeenaa, kisee ke Gham meN mar jaanaa!
rah-e-ulfat meN ham se aur kyaa ummeed rakhte ho?
yeh kyaa kam hai keh apnee Zaat ko gard-e-safar jaanaa?
too Khud ko laakh` samjh`e baa-kamaal-o-baahunar "Sarwar"
tujh`e lekin zamaaneh ne hameshah behunar jaanaa!

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!
- Attachments
-
- gg-mareezeishq_cr.gif (21.11 KiB) Viewed 352 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhkar bahut khushi houee. Saare ashAar aapki ArSa-e-daraaz kee mashq-e-sukhan kee nishaandehi karrahe heiN. Is kaamyaab ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!
:sirhaane se kisee kaa uTh keh woh pich`le pahar jaanaa!: ("Jigar" Muradabadi)
kisee ko ham-nafas samjh`aa, kisee ko chaarahgar jaanaa
magar duniyaa ko ham ne kuch` naheeN jaanaa, agar jaanaa!
maqaam-e-zeest ko ham ne bh`alaa kab mo'tabar jaanaa?
milaa jo lamHah-e-furSat use bh`ee muKhtaSar jaanaa!
ilaahee! ham GhareeboN kee hee kyoN yeh aazmaa,ish hai?
dawaa kaa be-acar rehnaa, du,a'a kaa be-acar jaanaa
tabassum zer-e-lab teraa daleel-e-SubH-e-jaan-o-dil
tiraa naz^reN churaanaa nabZ^-e-hastee kaa Thehar jaanaa!
Haqeeqat hai to bas itnee see hai haNgaam-e-hastee kee
:yahaaN par beKhabar rehnaa, yahaaN se beKhabar jaanaa:!
salaam aisee muHabbat ko, bh`alaa yeh bh`ee muHabbat hai?
kisee kee yaad meN jeenaa, kisee ke Gham meN mar jaanaa!
rah-e-ulfat meN ham se aur kyaa ummeed rakhte ho?
yeh kyaa kam hai keh apnee Zaat ko gard-e-safar jaanaa?
too Khud ko laakh` samjh`e baa-kamaal-o-baahunar "Sarwar"
tujh`e lekin zamaaneh ne hameshah behunar jaanaa!
Aapka MukhliS,
Nazir.
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!
a'zeezah Sara: salaam!sara_j wrote:Sarwar Raz wrote:Ghazal:
mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!
:sirhaane se kisee kaa uTh keh woh pich`le pahar jaanaa!: ("Jigar" Muradabadi)
kisee ko ham-nafas samjh`aa, kisee ko chaarahgar jaanaa
magar duniyaa ko ham ne kuch` naheeN jaanaa, agar jaanaa!
maqaam-e-zeest ko ham ne bh`alaa kab mo'tabar jaanaa?
milaa jo lamHah-e-furSat use bh`ee muKhtaSar jaanaa!
waah! bohat khoob!
ilaahee! ham GhareeboN kee hee kyoN yeh aazmaa,ish hai?
dawaa kaa be-acar rehnaa, du,a'a kaa be-acar jaanaa
tabassum zer-e-lab teraa daleel-e-SubH-e-jaan-o-dil
tiraa naz^reN churaanaa nabZ^-e-hastee kaa Thehar jaanaa!
waah sarwar sahib!
Haqeeqat hai to bas itnee see hai haNgaam-e-hastee kee
:yahaaN par beKhabar rehnaa, yahaaN se beKhabar jaanaa:!
bhead khoobsurat shair hai wah wah!
salaam aisee muHabbat ko, bh`alaa yeh bh`ee muHabbat hai?
kisee kee yaad meN jeenaa, kisee ke Gham meN mar jaanaa!
bohat hi khoob!
rah-e-ulfat meN ham se aur kyaa ummeed rakhte ho?
yeh kyaa kam hai keh apnee Zaat ko gard-e-safar jaanaa?
too Khud ko laakh` samjh`e baa-kamaal-o-baahunar "Sarwar"
tujh`e lekin zamaaneh ne hameshah behunar jaanaa!
Mohtaram Sarwar sahib,
aapki ye ghazal ke ashaar bohat pasand aaye. is khoobsurat
aur dilkash ghazal per daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
mukhlis
sara
i'zzat-afzaayee ke liYe tah-e-dil se shukr-guZaar hooN. Khudaa jaane aaj kal yeh bazm itnee sust kyoN ho gayee hai. kuchh karne kee Z^aroorat hai! mere laa,iq koyee kaam ho to bataaYeN.
Sarwar a. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
Re: Bahut khoob, waah waah
janaab-e-Nazir SaaHeb: tasleemaat!WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhkar bahut khushi houee. Saare ashAar aapki ArSa-e-daraaz kee mashq-e-sukhan kee nishaandehi karrahe heiN. Is kaamyaab ghazal per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!
:sirhaane se kisee kaa uTh keh woh pich`le pahar jaanaa!: ("Jigar" Muradabadi)
kisee ko ham-nafas samjh`aa, kisee ko chaarahgar jaanaa
magar duniyaa ko ham ne kuch` naheeN jaanaa, agar jaanaa!
maqaam-e-zeest ko ham ne bh`alaa kab mo'tabar jaanaa?
milaa jo lamHah-e-furSat use bh`ee muKhtaSar jaanaa!
ilaahee! ham GhareeboN kee hee kyoN yeh aazmaa,ish hai?
dawaa kaa be-acar rehnaa, du,a'a kaa be-acar jaanaa
tabassum zer-e-lab teraa daleel-e-SubH-e-jaan-o-dil
tiraa naz^reN churaanaa nabZ^-e-hastee kaa Thehar jaanaa!
Haqeeqat hai to bas itnee see hai haNgaam-e-hastee kee
:yahaaN par beKhabar rehnaa, yahaaN se beKhabar jaanaa:!
salaam aisee muHabbat ko, bh`alaa yeh bh`ee muHabbat hai?
kisee kee yaad meN jeenaa, kisee ke Gham meN mar jaanaa!
rah-e-ulfat meN ham se aur kyaa ummeed rakhte ho?
yeh kyaa kam hai keh apnee Zaat ko gard-e-safar jaanaa?
too Khud ko laakh` samjh`e baa-kamaal-o-baahunar "Sarwar"
tujh`e lekin zamaaneh ne hameshah behunar jaanaa!
Aapka MukhliS,
Nazir.
maiN soch rahaa thaa keh aap Hasb-e-ma'mool mufaSSil tabSirah farmaaYeN ge lekin aisaa nah huwaa. Khudaa kare keh aap baKhair hoN. daad ke liYe dilee mamnoon hooN. ab she'r-goyee kam ho gayee hai. koyee faa,idah naz^ar naheeN aataa. nah ab likhne waale reh gaYe aur nah paRhne waale! rahe naam Allah kaa!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
wah wahhhhhhhhhhhhh bahut khoob....bahut hi khoob....Sarwar sahab..poori ghazal hi lajawaab hai magar in ashaar ka kehna hi kya .....maqte se main ittefaaq nahi rakhti....baccha baccha jaanta hai ke aap kitne hunarmand hain :DSarwar A. Raz wrote:
mareeZ^-e-i'shq par pal meN qiyaamat kaa guZar jaanaa!
:sirhaane se kisee kaa uTh keh woh pich`le pahar jaanaa!: ("Jigar" Muradabadi)
ilaahee! ham GhareeboN kee hee kyoN yeh aazmaa,ish hai?
dawaa kaa be-acar rehnaa, du,a'a kaa be-acar jaanaa
tabassum zer-e-lab teraa daleel-e-SubH-e-jaan-o-dil
tiraa naz^reN churaanaa nabZ^-e-hastee kaa Thehar jaanaa!
Haqeeqat hai to bas itnee see hai haNgaam-e-hastee kee
:yahaaN par beKhabar rehnaa, yahaaN se beKhabar jaanaa:!
salaam aisee muHabbat ko, bh`alaa yeh bh`ee muHabbat hai?
kisee kee yaad meN jeenaa, kisee ke Gham meN mar jaanaa!
dili daad pesh hai is qadar umda ghazal pe :)
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai