taraHi Gazal kar diya madar e ayyam ne ghar se baher

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

taraHi Gazal kar diya madar e ayyam ne ghar se baher

Post by khozema husaini »

Gazal
woh jo rehta he miri hadd e nazar se baher
us ka souda nahiN jata mire sar se baher

keh diya tum ne to ho jaiye dar se baher
KHaak ho jayenge nikle jo idhar se baher

ho hee jayegi mulaaqaat ki soorat paida
aap aayen jo agar aur magar se bahee


qalb e gul laakh sada de meN nahiN loToonga
meN hooN KHushboo jo gaya Guncha e tar se baher

tashnagi raahat e maskan ki jaga kar dil meN
kar diya maadar e aiyaam ne ghar se baher

KHaak aalood na ho taaq pe quraan e majeed
hum jo aa jayeN kabhi KHuwahish e zar se baher

tang he midhat e KHaaliq meN majaal e amlaak
phir sana kiyoN nah ho imkaan e bashar se baher

kitni aasaan Husaini he zabaan e jazbaat
qaid e alfaaz o bayaaN zair o zabar se baher
[/size][/size]
Attachments
52 woh jo rehta he miri hadd e  nazar se baher.gif
52 woh jo rehta he miri hadd e nazar se baher.gif (19.22 KiB) Viewed 178 times
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: taraHi Gazal kar diya madar e ayyam ne ghar se baher

Post by Raji »

MoHtaram Khozema Husaini saaHeb:
Aadaab,

aap kee ghazal daikhee majmoo.ee taur per mujhe aap ka yeh kalam bohat pasand aayaa. so meree janib se daad aur mubarakbaad qubool keejye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:

khozema husaini wrote: Ghazal
woh jo rehta he miri hadd e nazar se baher
us ka souda nahiN jata mire sar se baher
khyaal ghaira hai :)

keh diya tum ne to ho jaiye dar se baher
KHaak ho jayenge nikle jo idhar se baher
bohat khoob

ho hee jayegi mulaaqaat ki soorat paida
aap aayen jo agar aur magar se baher
wao nice

qalb e gul laakh sada de meN nahiN loToonga
meN hooN KHushboo jo gaya Guncha e tar se baher
bohat pyaara khayal hai


tishnagi raahat e maskan ki jaga kar dil meN
kar diya maadar e aiyaam ne ghar se baher
nice


KHaak aalood na ho taaq pe quraan e majeed
hum jo aa jayeN kabhi KHuwahish e zar se baher
acha hai :)

tang he midhat e KHaaliq meN majaal e amlaak
phir sana kiyoN nah ho imkaan e bashar se baher
good


kitni aasaan Husaini he zabaan e jazbaat
qaid e alfaaz o bayaaN zair o zabar se baher
bohat umdaah
[/b]
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

taraHi ghazal aap bhi mujh pe tohamat lagane lage

Post by khozema husaini »

asslaam o alikum
apni aik taza ghazal ke saath hazir e mehfil hoon aur ummeed karta hoon aap apni aara se zaroor aagaah karenge

Husaini




ghazl
jaan meri miri jaaN jalane lage
woh qaseedah hareefoN ka gaane lage

jaaNkani ki miri jab unheN di KHabar
jane kiya ho gaya ? khilkhilane lage

us ne shab men jo ruKH se haTaee naqqab
taeeraan e chaman chehchahane lage

lafz men ishq ke heN calaaca Hroof
un se kehne meN lekin zamaane laga

mujh se badzan to tha hee zamaana magar
aap bhi mujh pe tohmat lagane lage

joonhee ponhche jawani ki dehleez per
dost bachpan ke nazreN churaane lage

chashm e nam kar diya mujh ko ehbaab ne
jab woh had se ziyaadah hansaane lage

pur acar itni hoti he zarb e zubaaN
dil pe jaise kaee taaziyaane lage

ashk kiya Dhal gaye un ke ruKHsaar per
najm KHursheed per jagmagane lage

qatAa
kal jahaaN lehlahaate huye khait the
aslaHe ke wahaaN kaarKHane lage

woh paseenah baha kar bhi bhooka raha
KHoon ab us ke beTe bahane lage

pesh ki jab Husaini ne taaza ghazal
saare ashAar unko puraane lage
Attachments
55 jaan meri miri jaaN jalane lage.gif
55 jaan meri miri jaaN jalane lage.gif (147.12 KiB) Viewed 172 times
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
Post Reply