Ghazal:dil lagaate haiN yahaaN dil ko duKhaane ke liye

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Mayank
-
-
Posts: 47
Joined: Fri Aug 25, 2006 7:24 am
Contact:

Ghazal:dil lagaate haiN yahaaN dil ko duKhaane ke liye

Post by Mayank »

DostoN,

'urdubandhan' ke sabhii dostoN ko Mayank ka salaam.. ek Ghazal peSh e Khidmat hai, paRhiye aur chaahe pasandagii ki ho chaahe na-pasandagii kii izhaar-e-Khayaal zaroor farmaaiye...

*********************************


Matla Arz Hai:-

zulm woh Dhaate haiN ham par aazmaane ke liye,
ham haiN un ko aazmaate zulm Dhaane ke liye.

raaz-e-dil kuchh na rahaa hai ab chhupaane ke liye,
aur rahe na aShk aaNkhoN se bahaane ke liye...

Sher:-

rasm-e-ulfat ham ne duniyaa meN yeh deKhee hai a'jeeb,
dil lagaate haiN yahaaN dil ko duKhaane ke liye.

kya kaheN ham ess adaa-e-jabr-e-kaafir ko bhala,
haste haiN voh haal par mere rulaane ke liye.

jo bhi aaya dil ke zaKhmoN ko hawaa deta rahaa,
koyii aaye aag ess dil ki bujhaane ke liye.

door masjid aur safar mushkil bohat hai dosto,
chalte haiN ham un ke dar pe sar jhukaane ke liye.

Maqta haazir hai:-

un kaa andaaz-e-maseeHaayee dekh le Mayank tuu,
zaKhm de kar kahte haiN woh muskuraane ke liye..

-Mayank
Last edited by Mayank on Sat Dec 09, 2006 11:57 am, edited 1 time in total.
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »



Mayank sahib,

mein khud bilkul nauwarid hooN. meri ra-aye ki koi ahmiat nahi. aik oar baat kehtaa chalooN. Aik dunya Mcdonald ke burger ki shaidai hei. Laikin woh mujhe pasand nahi. iss ka ye matlab nahi ke woah ghazaiat ke aitbaar se bilkul naa kara ho ga. bus har shakhs ka apna apna mizaaj hota hei.


laikin phir bhi apni pasand na pasand ka izhaar zaroor karooN ga. mujhe tamaam ashaar meiN se aap ka matlaaA pasand aaya.

oar fanni aitbaar se aap ke ashhar kaise haiN iss kee leeaye aap ko mohtaram Abdullah Nazir ye Sarwar Raz sb ke tabsara ka intezaar karnaa ho ga.

aap ka mukhlis,
muhammad khawar.




matlaA khoob kaha hai.

"zulm woh Dhaate haiN ham par aazmaane ke liye,
ham haiN un ko aazmaate zulm Dhaane ke liye. "
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Mayanak Jee, aadaab

kaise haiN aap?

janaab aap ki Ghazal bahut pasand aaii, albatta beshtar asha'aar meiN aisa lagaa k miSra'e beHr se Khaarij haiN , aap dobaara check kejiye ! shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

aadaab Mayank saaHib,

aapkii Ghazal nazar_nawaaz huii...maiN Zia saaHib kii raaye se muttafiq huN. shukria share karne ke liye.

Hashmat
Image
Mayank
-
-
Posts: 47
Joined: Fri Aug 25, 2006 7:24 am
Contact:

Post by Mayank »

muhammad_19k wrote:

Mayank sahib,

mein khud bilkul nauwarid hooN. meri ra-aye ki koi ahmiat nahi. aik oar baat kehtaa chalooN. Aik dunya Mcdonald ke burger ki shaidai hei. Laikin woh mujhe pasand nahi. iss ka ye matlab nahi ke woah ghazaiat ke aitbaar se bilkul naa kara ho ga. bus har shakhs ka apna apna mizaaj hota hei.


laikin phir bhi apni pasand na pasand ka izhaar zaroor karooN ga. mujhe tamaam ashaar meiN se aap ka matlaaA pasand aaya.

oar fanni aitbaar se aap ke ashhar kaise haiN iss kee leeaye aap ko mohtaram Abdullah Nazir ye Sarwar Raz sb ke tabsara ka intezaar karnaa ho ga.

aap ka mukhlis,
muhammad khawar.




matlaA khoob kaha hai.

"zulm woh Dhaate haiN ham par aazmaane ke liye,
ham haiN un ko aazmaate zulm Dhaane ke liye. "



Ahmed Saaheb,

Aadaab,

mujhe Khushi huii kii aap ne behichak apni raa'ey dii hai.. aur aisa na-samjheN kii aap k raa'ey ki koii ehmiyat nahiiN hai..Likhana ko tabhii kaamyaab hota hai jab sabhii ko pasand aaye.. aap ne matle ko pasand kiya ess ke liye tah-e-dil se Shukr-guzaar huuN... yuuN hi aate raheN..

Mayank
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
Mayank
-
-
Posts: 47
Joined: Fri Aug 25, 2006 7:24 am
Contact:

Post by Mayank »

Star Mind wrote:Mayanak Jee, aadaab

kaise haiN aap?

janaab aap ki Ghazal bahut pasand aaii, albatta beshtar asha'aar meiN aisa lagaa k miSra'e beHr se Khaarij haiN , aap dobaara check kejiye ! shukriya

Zia Baloch
Zia saaheb,

aadaab,

aap ko yahaaN deKh kar bohat KhuShi huii.. Kaafi dino ke baad aap se guftaguu karne ka phir mauqa mila hai.. maiN aap ka Shukr-guzaar huuN kii aap ne meri ess koShiSh ko saraaha hai aur yeH mere liye hausila afzaaii hai.. aap ne farmaaya hai kii kuchh misre khaariz-e-behr haiN, mujhe apni ess kam ilmi ka hameSha dhyaan rehta hai aur mere aashaar ghalat hone ke aasaar hamesha hote haiN... mujhe KhuShi hogiii kii aap agar un misroN ki pehchaan kar deN to.. maine jis tarh se break kiya tha aap ko PM kar diya hai.. aap deKh leejiyega.. apna Khayaal raKhiyega..

ek baar phir se Shukriya..

-Mayank
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
Mayank
-
-
Posts: 47
Joined: Fri Aug 25, 2006 7:24 am
Contact:

Post by Mayank »

Hashmat Usmani wrote:aadaab Mayank saaHib,

aapkii Ghazal nazar_nawaaz huii...maiN Zia saaHib kii raaye se muttafiq huN. shukria share karne ke liye.

Hashmat
Hasmat saaheb,

aadaab,

aap ne waqt nikal kar Ghazal paRha ess ke liye tah-e-dil se shukriya..

-Mayank
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
Post Reply