Taaza Ghazal

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
najeeb
-
-
Posts: 70
Joined: Thu Nov 30, 2006 4:08 am
Location: Jeddah K.S.A.
Contact:

Taaza Ghazal

Post by najeeb »

Dosto Asalamu Alaikum

Apni ek kawish ke saath pehli baar bazm men haazir ho raha hun. Pasand aajaye to zaroor aagaah karen

Shukriye ke saath

Najeeb Ahmed Najeeb


Ghazal

Tujh peh hona nisaar baaqui hai
Zeest tera udhaar baaqui hai


Khaak ho kar bhi teri chaahat men
Hurmat e khaaksaar baaqui hai


Dosti ho gayee hai naaaseh se
Phir bhi dil ka ghubaar baaqui hai

Gham tera jab talak salamat hai
Zindagi ka viquaar baaqui hai

Shauq e nazzaargi ar'e tauba
Sirf deedaar e yaar baaqui hai

Laakh duniya ulat ke rah jaaye
Pyaar ka etebaar baaqui hai

Phool khilte hain baar baar magar
Shaakh ek khaardaar baaqui hai

Hai garebaan dhajjiyaan phir bhi
Daaman e taar taar baaqui hai

Shab ki taarekiyon ko samjha do
Raushni ka qaraar baaqui hai

Aazmaayesh ke silsilon se par'e
Qahr e parvardigaar baaqui hai

Hasraten pal rahi hain seenon men
Hasraton ka mazaar baaqui hai

Aapki qeemti aar'a ka intezaar karoonga.

Najeeb Ahmed Najeeb
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Re: Taaza Ghazal

Post by muhammad_19k »




"Apni ek kawish ke saath pehli baar bazm men haazir ho raha hun. Pasand aajaye to zaroor aagaah karen"

apne iss pehle qadam ki mubaarik baad qabool keejeeaye. oar yaqeen rakhiaye ke is bazm meiN rehte huway aap ko usaatiza se bohat kuch seekhne ko mile ga. oar usaateza ki tarbiyaat yaqeenun aap ke fitri takhayal oar isteAedaad k leeaye sone par suhaga ka kaam kare gi.

Aap ki ghazal ke ashhar bohat achhchhaye hain. Khaas toar par ye wala sahir mujhe bohat pasand aaya,

Gham tera jab talak salamat hai
Zindagi ka viquaar baaqui hai[/qutoe]

Oar iss shair ke leeaye,

Khaak ho kar bhi teri chaahat men
Hurmat e khaaksaar baaqui hai
Mein apni kam ilmi par naalaaN hoaN oar aap oar asaatizaa se multimas hooN woah pehle misra ki taqteeA farma kar mujhe shukriya ka moqa daiN.


umeed hei aap mazeed urdubandhan meiN apni kavishaat darj farmateiN rehaiN ge.

aap ka dost,
Muhammad Khawar.
[/color][/size]
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramee
Najeeb SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki mandarja-e-zeil ghazal bahut pasand aayee jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Ghazal

Tujh peh hona nisaar baaqui hai
Zeest tera udhaar baaqui hai

Khaak ho kar bhi teri chaahat men
Hurmat e khaaksaar baaqui hai

Dosti ho gayee hai naaaseh se
Phir bhi dil ka ghubaar baaqui hai

Gham tera jab talak salamat hai
Zindagi ka viquaar baaqui hai

Shauq e nazzaargi ar'e tauba
Sirf deedaar e yaar baaqui hai

Laakh duniya ulat ke rah jaaye
Pyaar ka etebaar baaqui hai

Phool khilte hain baar baar magar
Shaakh ek khaardaar baaqui hai

Hai garebaan dhajjiyaan phir bhi
Daaman e taar taar baaqui hai

Shab ki taarekiyon ko samjha do
Raushni ka qaraar baaqui hai

Aazmaayesh ke silsilon se par'e
Qahr e parvardigaar baaqui hai

Hasraten pal rahi hain seenon men
Hasraton ka mazaar baaqui hai



Aapkaa MukhliS,

Nazir.

Image
User avatar
najeeb
-
-
Posts: 70
Joined: Thu Nov 30, 2006 4:08 am
Location: Jeddah K.S.A.
Contact:

Behad Shukriya

Post by najeeb »

Abdullah Nazir Sahab

Ghazal ki pasandeedgi ka behad sukriya. Aapki har baat aur raaye mash'aal ke mumaasil hai. Zahe naseeb ke aap ne izzat bakhshi.
Najeeb
Last edited by najeeb on Sun Dec 31, 2006 5:50 am, edited 1 time in total.
User avatar
najeeb
-
-
Posts: 70
Joined: Thu Nov 30, 2006 4:08 am
Location: Jeddah K.S.A.
Contact:

Shukriya Sara Saheba

Post by najeeb »

Sara Saheba Ghazal ki pasandeedgi ka shukriya. Har koyee ta'areef hi kiye jaata hai. Bhai kuchh fan ki technical ghaltiyaaN bhi to bataayeN. Wah Wah se tabiyat bezaar bhi ho jaati hai. hai na?

Najeeb
Wali
nau-waarid
Posts: 1
Joined: Tue Mar 04, 2008 1:31 pm
Location: Urdu Duniya
Contact:

Najeeb Sahab

Post by Wali »

Najeeb Sahab Pahli shirkat par itni achhi ghazal se nawaz kar aap kahaN ghayab ho gaye? Bahut achhi aur khoob ghazal hai yeh. Apni deegar nigarshaat bhi ata kareN. Shukriya

Wali Ilmi
Post Reply