jab kisee Soorat sar-e-meHfil nah shunwaayee huyee!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

jab kisee Soorat sar-e-meHfil nah shunwaayee huyee!

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-meHfil: aadaab a'rZ^ hai!

UrduDuniya ke maahaanah mushaa,i'rah #19 ke liYe HaZ^rat Ameer Meenai kaa yeh miSra' tajweez kiyaa gayaa hai:

:haaYe kaisee us bh`aree meHfil meN ruswaayee huyee:

kayee saal huwe maiN ne is beHr aur zameen meN Ghazal kahee th`ee. ab jab.k mushaa,i'reh meN maiN bh`ee apnee Ghazal pesh karne lagaa hooN, yeh puraanee Ghazal aap kee Khidmat meN HaaZ^ir hai kyoN.k nayee kehne kee himmat naheeN hai! aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
---------------------------------

GHAZAL:

jab kisee Soorat sar-e-meHfil nah shunvaayee huyee
nauHah-Khwaan-e-aarzoo aahoN kee shehnaayee huyee

har qadam par ek Th`okar, har gh`aRee zeHmat nayee
raftah raftah, zindagee! tujh` se shanaasaayee huyee!

kyaa yeh kam hai kaargaah-e-shauq meN meraa kamaal?
baa,i'c-e-shuhrat tujh`e meree hee rusvaayee huyee!

ik fareb-e-hastee-e-mauhoom, ik daam-e-Khayaal!
is t^araH roz-e-azal meree pazeeraayee huyee!

rehrav-e-raah-e-wafaa begaanah-e-manzil rahaa
aur in,a'am-e-wafaa yeh aablah-paayee huyee!

kaun kis kaa saath` detaa hai maqaam-e-dard meN?
raaz-daaN koyee huwaa to meree tanhaayee huyee!

kyaa kahooN duniyaa kee Haalat, al-amaan-o-al-Hafeez^!
ik gunah sab kee naz^ar meN meree Khud-raayee huyee!

kab talak koyee sune "Sarwar" tiree yeh daastaaN?
baat yeh teree hai sau-sau baar duhraayee huyee!
-----------------------------
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Attachments
gg-jabkiseesoorat_cr.gif
gg-jabkiseesoorat_cr.gif (8.62 KiB) Viewed 70 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Wah waah, bahut khoob.

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat, :-)

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf aayaa. Jazbaat aur ehsaasaat ke baleegh ta'accur ko intihaayi munaasib alfaaz ke pairahan mein pesh karnaa aapkaa hee kamal-e-sukhan hei. Waah waah, kyaa kehne.

MULAAHIZAAT:

jab kisee Soorat sar-e-meHfil nah shunvaayee huyee
nauHah-Khwaan-e-aarzoo aahoN kee shehnaayee huyee

aahaoN kee shehnaayee bahut jur'at-mandaanah aur mu'accir ikhtiyaar-e-alfaaz hei. Bahut khoob, waah waah.

har qadam par ek Th`okar, har gh`aRee zeHmat nayee
raftah raftah, zindagee! tujh` se shanaasaayee huyee!

Bahut khoob, waah waah. "aadami bantaa hei insaaN ThoukareN khaane ke baAd".

kyaa yeh kam hai kaargaah-e-shauq meN meraa kamaal?
baa,i'c-e-shuhrat tujh`e meree hee rusvaayee huyee!

Waah waah, kyaa kehne. Aapke kaandhe isqadar maZbooT heiN ke aapki ruswaayee uske liye baa'Aic-e-shuhrat houee hei.

ik fareb-e-hastee-e-mauhoom, ik daam-e-Khayaal!
is t^araH roz-e-azal meree pazeeraayee huyee!

Achcha shaayeraanah khayaal hei. Waah waah.

rehrav-e-raah-e-wafaa begaanah-e-manzil rahaa
aur in,a'am-e-wafaa yeh aablah-paayee huyee!

Waah waah, waah waah, kyaa kehne.

kaun kis kaa saath` detaa hai maqaam-e-dard meN?
raaz-daaN koyee huwaa to meree tanhaayee huyee!

Bahut achchaa khayaal hei, waah waah.

kyaa kahooN duniyaa kee Haalat, al-amaan-o-al-Hafeez^!
ik gunah sab kee naz^ar meN meree Khud-raayee huyee!

Jee bilkul aisaa hee houtaa hei. Dunyaa agar inSaaf pasand houti tou is qism kee naainSaafi hergiz nah houti. Bahut khoob, waah waah.

kab talak koyee sune "Sarwar" tiree yeh daastaaN?
baat yeh teree hai sau-sau baar duhraayee huyee!

Bahut khoob maqTaA hei waah waah, goongi behri dunyaa saamne sau sau baar hee kyaa laakhaoN baar apnaa rounaa roune se kuch HaaSil nahiN houtaa. Shaayer kaa muqaddar hei keh umr bhar apna sar peeTtaa rahe aur souchtaa rahe ke aakhir is dunyaa ko kyaa hougayaa hei. Waah waah, Sarwar SaaHib, bahut khoob.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Wah waah, bahut khoob.

Post by Sarwar A. Raz »

WEBMASTER wrote:

maKhdoomee Nazir SaaHeb: aadaab a'rZ^ hai!

apnee Ghazal par aap kaa yeh naaqidaanah tabSirah paRh kar meraa Khoon seroN baRh gayaa. aap ne har she'r par Hasb-e-ma'mool tajziyaatee nigaah Daalee hai aur phir us par faSeeH-o-baleeGh raaYe kaa iz^haar kiyaa hai. maiN aap kaa mamnoon-o-mutashakkir hooN keh aap ne naacheez ko is qaabil jaanaa: tum salaamat raho hazaar baras!