Sara J, Saleem B aur Abdulla N...... ki Nazr ye Ghazal.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Sara J, Saleem B aur Abdulla N...... ki Nazr ye Ghazal.

Post by munir-armaan-nasimi »

Pyare Dosto,

Salaam-o-Rehmat!! Urdubandhan pe apni "Second Innings" shuru kar raha hoon. Main apne "Khazane ki Chaabi" (Profile's Password) bhool chuka tha. Khuda ne Sara jee ko "Rehmat ka Farishta" bana kar bheza aur unhon ne meri madad ki.. Aur SALEM BASHWAR saheb ne mujhe meri "Chaabi" bana ke De di. Main Dil ki tamaam tar gehrayion se unka shukr guzaar hoon.

Liziye, apni aamad ko kuch "kaar-aamad" bana leta hoon. Ek Taza Ghazal pesh khidmat hai. Mujhe Jhooti Taarif se jiyada "Sachchi Tanqeed" pasand hai ke Abbu hamesha kehte hain.....

Aqalmand Dushman Jaahil Dost Se Achcha Hota Hai !!


Ghazal Roman meiN:

MaiN ne tou apne bughZ ko dil mein jo thaa jhaTak diyaa
Tuu hee bataa keh kiyuN miraa daste-e-wafa jhaTak diyaa

Khaarahaa hei Dar hameN dharti ke khudaaoN kaa
Ham ne apne dil se jab khauf-e-khudaa jhaTak diyaa

Aaj her uSool ko lbhulaayaa apne beTaoN ne
dukhtaraoN ne jazba-e-sharm o Hayaa jhaTak diyaa

mere khilaaf saazisheN karne lagaa hei jab se wo
maiN ne bhe dil se pounchkar Harf-e-wafaa jhaTak diyaa

mujh peh :armaan" hougayaa rehmataoN kaa saayibaaN
maiN ne baSad khulooS jab Azm-e-khaTaa jhaTak diyaa



Khuda Hafiz,

Duaon ka taalib,

aap sab ka,

munir armaan nasimi
Attachments
Ghazal-Jhatak-Diya.gif
Ghazal-Jhatak-Diya.gif (14.48 KiB) Viewed 245 times
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtari Munir Sahib
:salaam:
Yeh hamara farz hai arakeen k moshkilat hal karein.
Allah kare aap century pe century mukammil karein.
Aapki ghazal ka matla'a aur teesra sheir bohat pasand ayaa.
Mubarakbaad aur daad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

achchi kaavish hei

Post by Abdullah Nazir »



MuHatarami
Muni Armaan Nasimi SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Bahut dinaoN baAd aapki ghazal paRhne ko mili hei jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

MaiN ne tou apne bughZ ko dil mein jo thaa jhaTak diyaa
Tuu hee bataa keh kiyuN miraa daste-e-wafa jhaTak diyaa


MaTlaA khoob hei, waah waah.

Khaarahaa hei Dar hameN dharti ke khudaaoN kaa
Ham ne apne dil se jab khauf-e-khudaa jhaTak diyaa


Aap ne jo beHr isteAmaal kee uskaa vazn hei:

Muf'ta'ilun….mufaa'ilun…muf'ta'ilun….mufaa'ilun"

Is liye aapkaa sheAr iSlaaH ke baAd yuN housaktaa hei:
khaane laga hei Dar hameN, dharti'ke khudaa'oNKaa
is liye ham ne apne dil, se'khauf-e-khuda jhaTak diyaa


Aaj her uSool ko bhulaayaa apne beTaoN ne
dukhtaraoN ne jazba-e-sharm o Hayaa jhaTak diyaa


Is sheAr kaa vazn bhee majrooH hougayaa hei. Isko yUN keh sakte heiN:
aaj herik uSool ko, betaoN ne tark kardiyaa
dukhtaraoN ne bhi'jazba-e-sharm o Hayaa jhaTak diyaa


mere khilaaf saazisheN karne lagaa hei jab se wo
maiN ne bhe dil se pounchkar Harf-e-wafaa jhaTak diyaa


achchaa sheAr hei, waah waah.

mujh peh :armaan" hougayaa rehmataoN kaa saayibaaN
maiN ne baSad khulooS jab Azm-e-khaTaa jhaTak diyaa


Pahle miSreA meiN takalluS :armaan: vazn ke liHaaz se munaasib Taur per nahiN isteAmaal kiyaa jaasaktaa hei. Is liye maqTeA ko aap yuN karsakte heiN:
mujh per :Munir: tan gayaa, raahnumaa kaa saayibaaN
maiN ne baSad khulooS jab Azm-e-khaTaa jhaTak diyaa



Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

Sab se pahle main.....

Beradaram Abdullah Nazir Saheb ka Behad Shukr Guzaar hoon ke unhon ne apni paarakhi haathon se....
meri kaali kaloti 'Ghazal' ka 'Make Up' kar ke usko haseen-o-jameel 'Ghazala' bana diyaa...!!

Saleem Bashwar Saheb, aap ne apne "FARZ" ko bahut achchi tarah nibhaya... Urdu zubaan o adab ke liye
jo qurbani aap log de rahe hain..... kaaashhh wohh log bhi isko samajh lein jo Urdu ki Roti tod rahe hain to
hamari Zubaan duniya ki sab se badi zubaan bann jaaye.... Alla'h aap logon ko achchi sehar se nawaze aur
aap Urdu ki aabeyari karte rahein. Aameen!

Last but not the least, Sara J. ...... ye ghazal to aap kii nazr honi chahiye thi.... becuz of you i returned back to
this Forum otherwise..... jab se password bhool gaya tha...... main yahaan aana bhool gaya tha. Aap ne "Promise" kiya
ke aap mera "Naya Password" Webmaster se keh kar banwa dengi aur aap ne apna WADA pura kiya. Intehaayi
Shukr Guzaar hoon ke aap ne mere jaise "chote mote shair" ke liye itna kuchh kiya.

Aap sab ko "Meri Ghazala" pasand aa gayi.... yahi bahut hai. Alla'h mujhe aur achcha likhne ki taufeeq ata farmaye.
Aameen. Summa Aameen!

aap sab ka

armaan
Iss Dil Main ARMAAN Bahut Hain
Ek Hai Ghar Mehmaan Bahut Hain

MUNIR ARMAAN NASIMI
INDIA.
Post Reply