"to shaYad laoT aaeeN din purane" aek aor koshish!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

"to shaYad laoT aaeeN din purane" aek aor koshish!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Yaran-e-meHfil-e-mushe,irah aadaab!

Guzarish 24 ke liYe chand she'er aor ho gaeY haiN. mulaHiZ^ah farma kar mashkoor hooN.


Ghazal

1,

Duboya mujh~ ko mere na khuda ne!

Yahee qismat meN likh~a th~a khuda ne!


2,

junooN kee kaon see manzil hai Yaro?

salasil tooR kar nikle diwane!

(diwane=deewane,majnooN)


3,

gilah kis baat ka hai rehzanoN se?

mujh~e luTa hai mere peshwa ne!


4,

mire sajde huwe haiN rae,gaaN sab!

dikh~aYa kuch~ acar kab iltija ne?


5,

hamaree be basee be chaargee ke!

kahaaN se laoT aaYe haiN zamane?


6,

maiN khud se be khabar jab bh~ee huwa hooN

pukara hai mujh~e mere khuda ne!


7,

qiYamat aek goYa sar peh ToTee!

mujh~e chunwa diYe tinke wafa ne!


8,

maiN apne waste bh~ee ajnabee th~a!

mujh~e kiYa jante apne bigane?
(bigane=begane,ajnabee,Ghaer shanasaa)


9,

wafa darooN ke da'we kh~okh~le th~e!

agar jaaN dee to mujh~ se be wafa ne!


10,

Haqiqat jaan le to bh~ee maseeHa!

maraZ^ baRh~a diYa teree dawa ne!


11,

nah dunYa kee kabh~ee parwah kee hai!

banatee aaee hai kiYa kiYa fasane!


12,

woh shamma' kam talak aakhir jale gee!

jise kandh~e peh rakhkh~a ho hawa ne!
(shamma' par "shad"Z^arurat-e-she'er kee khat^ir Dalee gaee hai)


13,

Yeh Hasrat dil meN le kar mar geYa hooN

gale se tum kabh~ee aate lagane!


14,

maiN itna door aa nikla hooN gh~ar se!

lageeN ge laoT jane meN zamane!


15,

kisee din apne haath~ooN se miTa do!

Gham-e-dunYa ke sare shaakhsane!
(shakhsane= ba'mana jh~agRe iste'mal kiYa hai)


16,

khirad, wijdaan-o- a'ql-o-fehem-o-danish!

luTaeY beY baha tujh~ par khazne!
(beY baha=besh qimat)


17,


agar zindah raha jazb-e-muHabbat!

"to shaYad laoT aaeeN din purane"


18,

Muz^affar kis kee khat^ir jee raha hooN?

naheeN haiN zindah rehne ke bahane!
[/align]
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Sun Dec 24, 2006 12:36 am, edited 3 times in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]Saraa jee aadaab!!

janab kiYooN zeYadatee kar raheeN haiN. aek she'er kiYooN Hazaf kar raheeN haiN. 18she'erooN ko 17 kiYooN likh~ raheeN haiN??? :grin:

beharHaal! Ghazal par mukhliSanah dad de kar aap ne shukriYah ada karne ka maoqa' diYa hai so shukriYah! :-)

mushae,rah men aap kee Ghazal ka intez^aar hai!



Wassalam
Muz^affar
[/align]
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezi wa MoHibbee Mozaffar SaaHab,
Aadaab qubool farmaaiye

Aapki nihayat dilkash aur utni hi tawel.o.areez Gazal nazar nawaaz huwwee. Allah jaanta hai aap ne iss Gazal meN bohat meHnat ki hai. ChoTee zameen meN kahna mushkil hota hai woh bhi itne ashAAr aur itne Haseen ashaar. Meri daad aur tahseen qubool kijiye.

Aapka MuKhlis
Jawaid Badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Jawaid Badauni SaHeb aadaab! :-)

aap ne meree nihaYat ma'mulee aor adna see kawish par iz^haar-e-kheYaal karte huwe pasandeedagee kee nigah se dekh~a aor dilee dad-o-teHseen ka nazranah bh~ee pesh kiYa.

maiN aap ka is inaYat ke waste saraapa sipaas hooN. khuda aap ko jaza-e-khaer se nawaze!

Ghazal t^uweel is liYe hotee gaee keh tishnagee miTtee hee nah th~ee aek qarb aor iZ^t^araab ne gh~ere rakh~a aor maiN jab bh~ee Ghazal kehta hooN isee kefiYat ke acar tale kehta hooN. aor maiN samajh~ta hooN Ghazal ka Haq bh~ee YooN hee ada kiYa ja sakta hai. sarsaree t^aor par Ya rasee lab-o-lehjah meN she'er kehne se khud apnee SalaHiYatooN par hee panee bh~ir jata hai. aor dusre jo qaraeen shae'ir se ummeedeeN lagae beTh~e hote haiN. un kee HoSlah shiknee bh~ee hotee hai.

ab jab do GhazleeN kaheeN haiN to kuch~ aHsaas-e-raHat naSeeb huwa hai. daraSal ustaaz-ul-asatezah moHtaram Nazir SaHeb ne miSra' hee itna garam lagaYa hai keh goYa seenah-o-dil peN aatish laga dee hai.

baqaol-e-sha'ir! "Yaar DaDee ishq aatish laee hai"

aor jesa keh aap jante haiN Yeh aesee aatish hotee hai keh isee bujh~ane ke waste bh~ee aatish hee darkaar hoti hai. :grin: pas YooN samajh~ leeN keh aag bh~ujane ke waste aatish bh~aRkaee hai.

aap ka mukarrar shukrguzaar hooN!

ijazut deeN!

Wassalam
Muz^affar
[/align]
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]

Saraa jee!!
aek aadh~ she'er kee to khaer hai. mujh~e to Dar hai keh kaheeN saree Ghazal hee nah uRa le jaeeN! :lol:

Wassalam
[/align]
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Muzaffar Sb,

Aadaab,

aap ka ye shaAer bohat pasand ayaa.

"Haqiqat jaan le to bh~ee maseeHa!

maraZ^ baRh~a diYa teree dawa ne!
"

Allah taala aap ko oar taraqee day.


Mukhlis
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram MuHammad SaHib aadaab a'rZ^ hai! :-)

aap ka teh-e-dil se shukriYah ada karna chahata hooN keh aap ne
meree Ghazal ka aek she'er pasand farmaYa.

aap ka be Had shukriYah!

meHfil meN tashreef late raheeN aor YooN hee apnee pasandeedagee ka iz^aah farma kar mera aor digar eHbaab ka HoSilah baRh~ate raheeN.

khuda aap ko salamat rakh~e!

Wassalam
Muz^affar
[/align]
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]mukarram-o-mohtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

marqumah-e-bala Ghazal aek muddat se moHtaaj-e-tawajjah hai. mujh~e aap kee maSrufiYaat ka har lamHah aHsaas hai. aor apnee kamzoriYooN ka aa'taraaf bh~ee, asha'aar mulaHeZ^ah farma kar shukriYah ada karne ka maoqa'ah faraham kijiYe!

dua' gao!
Muz^affar
[/align]
Post Reply