baat mere dil ki taire lab pe

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

baat mere dil ki taire lab pe

Post by muhammad_19k »

BuzargoaN oar DostoaN ki khidmat meiN Salam.

aik nayee koshish ke saath haazir khidmat hooN. Qara-eeN jitna ziada meri takhleeq ko kari nazar se daikhaiN ge, umeed kartaa hooN utni hi achchi koshish ke saath dobaarat haazir khidmat hooN ga.

aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar



Ghazal

1. baat maire dil ki tair lab pe thi aa-ee hoee.
"hai kaisi uss bhari mehfil meiN ruswai hoee

2. Naachtaa phirtaa hooN taaj e ishaq meiN Sir par leeaye
Iss se baRh kar oar kia mairii shahanshai hoee.

3. raftaa raftaa ho gaye sur zindigi ke aashkaar
jaise jaise aap se mairee shanasai hoee.


4. KargasoaN jaise sitaaroaN se bhara hai aasamaaN,
chaand jaise faakhtaa ho in mieN ghabrai hoee

5. beej bo kar bughz o nafrat ka jahaaN meiN chaar soo
nasl e aadam phir tabaahi ki tamaashai hoee


6. baagh e rizwaan se toa nikle hi the ham be aabroo
iss jahaaN meiN bhi na kuch apni pazeerai hoee.

7. seenchane arz e wafaa ko apne khooN se jub chale
kyooN huway shikwa kunaaN tum aabla paaee hoee


8. band aankhoaN se zamane meiN chala chalta hooN meiN
aankh meiN tasweer jub se hai tiri aaii hoee


9. chaar din ki zindigi ki kia shikayat "FAIZ" ji
chaar din meiN daikhiaye kia kia na ruswai hoee

10. daikhtaa hooN zulfaiN taire chehre par aye maahtaab
roshi par hai abhi kaali ghata chhaai hoee

11. zindigi se doo badoo Khawar rahaa hooN iss tarah
muskaraa kar lout jaati hai ajal aaai hoee.


Attachments
hai-kaisi-us-bhari-mehfil-m.gif
hai-kaisi-us-bhari-mehfil-m.gif (150.47 KiB) Viewed 269 times
Last edited by muhammad_19k on Wed Dec 20, 2006 1:03 pm, edited 2 times in total.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtaram Mohammed K. Siddqui Sahib
:salaam:
Aapki ghazal bohat pasand aayi aur khaas taur par #9 sheir.
Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Chaar Din ki zindigi ki kyooN shikayat "FAIZ" ji.

Post by muhammad_19k »

SalaaM Saleem Bhaswar Sb.

Mein aap ki daad ke leeaye shukar guzaar hooN. agar aap ko dobara time mile oar aap ye likh sakaiN ke aap ko kahaaN kahaaN par behtari ki gunjaish mumkin hai to meiN shukar guzaar hooN ga.

aasaateza ke ra-aye ka bohat muqaam hai. Laikin iss ke saath saath har saathi ki rai bhi aik apni ahmiat rakhti hai.

aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

:salaam:
Degar kai masrofiat ki wajeh forum mein kalaam dekhne ka mouqa nahin mil raha tha. Aaj kal thoda waqt nikalne mein kamyaab hua houn.
Aapki ghazal ka har sheir mujeh pasand ayaa.
Shukria.
سالم احمد باشوار
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

BuzargoaN oar DostoaN ki khidmat meiN Salam.

aik nayee koshish ke saath haazir khidmat hooN. Qara-eeN jitna ziada meri takhleeq ko kari nazar se daikhaiN ge, umeed kartaa hooN utni hi achchi koshish ke saath dobaarat haazir khidmat hooN ga.

aap ka shukarguzar,
Muhammad Khawar



Ghazal

1. baat maire dil ki tair lab pe thi aa-ee hoee.
"hai kaisi uss bhari mehfil meiN ruswai hoee"



khooooooooooooob :-)

2. Naachtaa phirtaa hooN taaj e ishaq meiN Sir par leeaye
Iss se baRh kar oar kia mairii shahanshai hoee.

hahaha achaa hai


3. raftaa raftaa ho gaye sur zindigi ke aashkaar
jaise jaise aap se mairee shanasai hoee.

waaaaaaaaaaaaaaaaah zabaradast!!!!!
=D>
4. KargasoaN jaise sitaaroaN se bhara hai aasamaaN,
chaand jaise faakhtaa ho in mieN ghabrai hoee

:roll: :-k

5. beej bo kar bughz o nafrat ka jahaaN meiN chaar soo
nasl e aadam phir tabaahi ki tamaashai hoee

SaHeeH khoob
6. baagh e rizwaan se toa nikle hi the ham be aabroo
iss jahaaN meiN bhi na kuch apni pazeerai hoee.

mukarrar zabardast!!!!!!!!!! =D> =D> =D>

7. seenchane arz e wafaa ko apne khooN se jub chale
kyooN huway shikwa kunaaN tum aabla paaee hoee

kayaa baat hai :grin:

8. band aankhoaN se zamane meiN chala chalta hooN meiN
aankh meiN tasweer jub se hai tiri aaii hoee

haahahaaa acha hai waaah

9. chaar din ki zindigi ki kia shikayat "FAIZ" ji
chaar din meiN daikhiaye kia kia na ruswai hoee :-) :-) :-)
10. daikhtaa hooN zulfaiN taire chehre par aye maahtaab
roshi par hai abhi kaali ghata chhaai hoee

waaaaaaaaaaaah khoobsurat!

11. zindigi se doo badoo Khawar rahaa hooN iss tarah
muskaraa kar lout jaati hai ajal aaai hoee.


waaaaaaah waaaaah bohat achaa

Khawara bha'ee nehaayat khoobsurat maZaameen aur andaaz se muzaiyyan ghazal aik murassa ghazal per dilee mubarakbaad

khush rehiye aur yuNhi zindigi k husn per likhte rehiye

wassalam

[/color]
live and let live

Image
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

naachta phirta hooN taaj e ishaq meiN Sir par leeaye.

Post by muhammad_19k »

Salam Tahira Ji :-)
tahira Masood wrote:
Khawara bha'ee nehaayat khoobsurat maZaameen aur andaaz se muzaiyyan ghazal aik murassa ghazal per dilee mubarakbaad

khush rehiye aur yuNhi zindigi k husn per likhte rehiye

wassalam

Khawara ke saath to aap ko bhai ke baja-aye behan likhna chah-aye thaa. :lol: Ji meiN jaantaa hooN ke typo hai. bus mazaq kar rahaa thaa. ubb aate haiN sanjeedgi ki tarf toa apni ghazal se ziadaa dilkash mujhe aap ki daad lagi :lol: .

Allah taala aap ko hamesha aise hi muskarataa, chehchataa oar khilkhilataa rakhay.

aap ka shukar guzar,
Muhamamd Khawar
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply