doosere derje ki shehri....

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

doosere derje ki shehri....

Post by tahira Masood »


Aziz saathio

salaam-e khuloos

aik aur teraH k aHasaast k saath aurat hi k mozuu per phir qalam uThaaya hai. esae mushaahidah kehaiN
yaa tajrubah samjhieN jo bhee kaheiN. yeh Theek hai keh her insaan ki zindagee k kaee rang hotae heN koee gaaRha koee halkaa yeh unhi maiN sae aik hai.

mulaahizah fermaaiye

aap ki aara meri HauSalah afza'ee kaa baaic hoNgee.

wassalam


woh azal sae
her mulk her qaum ki
dooserae derjeh ki shehri hai
us ka aurat honaa hi
uski khataa Theheri hai
Haq tau yeh hai keh aaj bhee jabkeh
aurat ki naam nehaad aazadi k
buland-o-baaNg d'awe ho rehay haiN
tab bhee woh apne aSal Haq se
meHroom hi reh rehi hai
zulm seh rehi hai



Image
Last edited by tahira Masood on Sat Dec 23, 2006 11:21 pm, edited 2 times in total.
live and let live

Image
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Tahira ji,

Aazaad shAeri se bohat kam waqif hooN. waise to ghazal ka bhi mujhe "kakh" (punjabi lafz bamaani "khaak") pataa naheeN :-). beHar haal aap ke khayaal par zaroor ra-aye day saktaa hay you ko bohat khoobsoorat hai. yaqeen is mozoo par qalm uthaane ki abhi bohat ziada gunjaish mojood hai.

Allah kare zor e qalam oar ziada,

Duago,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

muhammad_19k wrote:Salam Tahira ji,

Aazaad shAeri se bohat kam waqif hooN. waise to ghazal ka bhi mujhe "kakh" (punjabi lafz bamaani "khaak") pataa naheeN :-). beHar haal aap ke khayaal par zaroor ra-aye day saktaa hay you ko bohat khoobsoorat hai. yaqeen is mozoo par qalm uthaane ki abhi bohat ziada gunjaish mojood hai.

Allah kare zor e qalam oar ziada,

Duago,
Muhammad Khawar.

Khawar Bha'ee
salaam

aap ne meri is adnaa si koshish per mukhataSir magar jaam'e tabSirah kiyaa hai
meraa bhi yehi kahyaal hai keh iss mozo per aur bhi likhaa jaan chaahiye aur Doob ker likhaa jaana chaahiye

aurat muaashre kaa woh tabaqua hai jo bohat muaccir tareeqe per agli nasloN per aCar andaaz ho saktaa hai

ba aher Haal aik baar phir aap k khiyaalat k liye mamnooN hoN aur bataur-e-khaas shukar guzaar hoN


sadaa khush rehaiN

wassalam
live and let live

Image
Post Reply