Namaaz-e-Shaai'r

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Namaaz-e-Shaai'r

Post by yasir shah »

Namaaz-e-Shaa.i'r



'aalam-e-afkaar meN hooN maHw-e-parwaaz
aur bazaahir saamnay rabb ke KhaRaa hooN


deKhaa jaa.ay to hooN sijdah.raiz laiken
sochaa jaa.ay to abhee Zid par aRaa hooN


zor chaltaa hee naheeN hay khud peh meraa
apnay tan ke aik goshay meN paRaa hooN


mujh meN koi aur bhi bastaa hay shaayed
kah rahaa hay "meN baRaa hooN ", "meN baRaa hooN"


apnay markaz ke qareeb aanay ki khaatir
lamHah lamHah nafs-e-sarkash se laRaa hooN
Last edited by yasir shah on Thu Dec 21, 2006 10:16 am, edited 1 time in total.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Yasir Shaah SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Namaaz-e-Shaa.i'r

'aalam-e-afkaar meN hooN meHw-e-parwaaz
aur bazaahir saamne rabb ke KhaRaa hooN


deKhaa jaa.e to hooN sajdah.raiz laiken
sochaa jaa.e to abhee Zid par aRaa hooN


zor chaltaa hee naheeN hay khud peh meraa
apnay tan ke aik goshay meN paRaa hooN


mujh meN koi aur bhi bastaa hay shaayed
keh rahaa hay "meN baRaa hooN ", "meN baRaa hooN"


Aap ne Ramal Musaddas saalem isteAmaal kee hei jiskaa isteAmaal urdu meiN bahut hee shaaz o naadir hei. Is meiN koii shak nahiN ke yeh aahung dilkash hei.

Pahle miSreA meiN aek Harf ke iZaafeh ke javaaz kaa mujhe ilm nahiN hei jisko aap behtar jaante heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.






apnay markaz ke qareeb aanay ki khaatir
lamHah lamHah nafs-e-sarkash se laRaa hooN
Image
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Janab Yasir Shah Sahib
Salaam o Aadaab
Aapki nazm parhi, andaaz e fikr haqayeq se qareebtar hai, laikin ye sirf shayer ke sath hi nahi balke sab musalmanoN ka masala hai, Aik Hadees ka mafhoom hai ke ' aik zamana ayega jab tum dekhoge masjideiN musallioN se bhari huvi hoNgi, laikin un mai aik shakhs bhi khushoo o khuzhoo se namaaz parhne wala na hoga." (ya kush aisa hi farmaya Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wa sallam ne.)
baharhal nazm pasand aai , daad hazir hai واه واه
shukria
Mahtab Qadr
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

Yasir bhai , aadaab

Huz^oor ustaad-e-moHtaram janaab Nazir SaaHib aur phir mahtab SaaHib k tabSiroN k baa'd ab kuchh kehne ki gunjaaish nahiN rahee ! is liye hamaaree jaanib se daad sameTiye aur..........;)

shukriya

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by yasir shah »

muHtaram janaab !
Abdullah Nazir SaaHib

sab se pehle to taakheer peh ma'zarat.khwaah hooN ,,dar.aSl maah-e-agast meN aap ki "website" peh i'laan-e-ikhtitaam-e-maHfil paRh kar sakht maayoosee hu.ee thee aur yeh jaanaa thaa keh shaayed yeh maHfil hamaishah ke liye khatm ho ga.ee -laiken ab jo idhar se guzar huwaa to is ki baHaalee daiKh kar be.intihaa masarrat hu.ee-

WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Yasir Shaah SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki nazm bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Namaaz-e-Shaa.i'r

'aalam-e-afkaar meN hooN meHw-e-parwaaz
aur bazaahir saamne rabb ke KhaRaa hooN


deKhaa jaa.e to hooN sajdah.raiz laiken
sochaa jaa.e to abhee Zid par aRaa hooN


zor chaltaa hee naheeN hay khud peh meraa
apnay tan ke aik goshay meN paRaa hooN


mujh meN koi aur bhi bastaa hay shaayed
keh rahaa hay "meN baRaa hooN ", "meN baRaa hooN"


Aap ne Ramal Musaddas saalem isteAmaal kee hei jiskaa isteAmaal urdu meiN bahut hee shaaz o naadir hei. Is meiN koii shak nahiN ke yeh aahung dilkash hei.

Pahle miSreA meiN aek Harf ke iZaafeh ke javaaz kaa mujhe ilm nahiN hei jisko aap behtar jaante heiN.


Aapka MukhliS,
Nazir.




apnay markaz ke qareeb aanay ki khaatir
lamHah lamHah nafs-e-sarkash se laRaa hooN

jee haaN HaZrat ! is baHr ke taHt aakhree rukn ke aakhir meN, aik saakin Harf ke iZaafay ki ijaazat hay -

aap kaa bahut mamnoon hooN ke aap ne naacheez ki is takhleeq ko saraahaa-

yasir
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

Mahtab Qadr wrote:Janab Yasir Shah Sahib
Salaam o Aadaab
Aapki nazm parhi, andaaz e fikr haqayeq se qareebtar hai, laikin ye sirf shayer ke sath hi nahi balke sab musalmanoN ka masala hai, Aik Hadees ka mafhoom hai ke ' aik zamana ayega jab tum dekhoge masjideiN musallioN se bhari huvi hoNgi, laikin un mai aik shakhs bhi khushoo o khuzhoo se namaaz parhne wala na hoga." (ya kush aisa hi farmaya Nabi e Kareem Sallallahu alaihi wa sallam ne.)
baharhal nazm pasand aai , daad hazir hai واه واه
shukria
Mahtab Qadr

muHtaram Mahtab Qadr SaaHib,
wa.alaikumussalaam !

Hadeec-e-shareef kaa mafhoom paish karne par aap kaa bai.Had mamnoon hooN -aap ne jin Haseen alfaaz meN aHqar ko daad dee hay woh yaqeenan mere liye baa.i'c-e-fakhr heN-aap kaa bahut bahut shukriyah-


yasir
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

Star Mind wrote:Yasir bhai , aadaab

Huz^oor ustaad-e-moHtaram janaab Nazir SaaHib aur phir mahtab SaaHib k tabSiroN k baa'd ab kuchh kehne ki gunjaaish nahiN rahee ! is liye hamaaree jaanib se daad sameTiye aur..........;)

shukriya

Zia Baloch
Zia SaaHib !
assalamOa'laikuM

daad samaiT lee ga.ee hay - taakheer se samaiTne par ma'zarat.khwaah hooN-



khush rahye
du'aago
yasir
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: Namaaz-e-Shaai'r

Post by yasir shah »

sara_j wrote:
yasir shah wrote:
Namaaz-e-Shaa.i'r

'aalam-e-afkaar meN hooN meHw-e-parwaaz
aur bazaahir saamne rabb ke KhaRaa hooN


deKhaa jaa.e to hooN sajdah.raiz laiken
sochaa jaa.e to abhee Zid par aRaa hooN


zor chaltaa hee naheeN hay khud peh meraa
apnay tan ke aik goshay meN paRaa hooN


mujh meN koi aur bhi bastaa hay shaayed
keh rahaa hay "meN baRaa hooN ", "meN baRaa hooN"


apnay markaz ke qareeb aanay ki khaatir
lamHah lamHah nafs-e-sarkash se laRaa hooN
wah! bohat ache Yasir bhai, daad qubool keejiye.
bahan Sara !
Soorat-e-Haal kuch yooN hay keh

bhaijee thee daad ham ko sitambar meN,, shukriyah !
keejay qubool aap disambar meN shukriyah
Post Reply