aek saadah see taazah ghazal- -- - Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

aek saadah see taazah ghazal- -- - Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan

PurkhulooS Tasleemaat, :rose

Apni aek saadah see ghazal pesh-e-khidmat hei. Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahe gaa.

GHAZAL roman meiN:

ghaflat-e-chashm-e-yaar yaad naheeN
ai mire qalb-e-zaar yaad naheeN

veHshat-e-regzaar yaad naheeN
daaman-e-taar taar yaad naheeN

gul khile, phir ujaRgayaa gulshan
kaise guzri bahaar yaad naheeN

yaad itnaa hei raat kaT nah sakee
talkhiy-e-intizaar yaad naheeN

ham ne chouRaa nah daaman-e-ulfat
aatish-e-geer o daar yaad naheeN

raahrau aagayaa hei manzil tak
qehr-e-gard o ghubaar yaad naheeN

raushni din kee hei nigaahaoN meiN
raat bhar kaa khumaar yaad naheeN

khul gaye rehmataoN ke darwaaze
zehn kaa inhtishaar yaad naheeN

shukr-e-parvardigaar hei :Nazir:
Marg-e-lail o nahaar yaad naheeN.
=======


Aapka MukhliS,
Nazir



[align=center]Image[/align]
Last edited by Abdullah Nazir on Mon Jan 01, 2007 9:31 am, edited 1 time in total.
Image
ahm4me
-
-
Posts: 17
Joined: Wed Feb 22, 2006 6:44 am
Contact:

Re: aek saadah see taazah ghazal- -- - Abdullah Nazir.

Post by ahm4me »

Mohtaram Abdullah Nazir Sahib
Adaab

Aap ki ghazal paRhnay ka itifaaq hua aur Janab aap ki ghazal bohat pasand aai. Aap ki ghazal saadgi maiN purkari ki behtrareen micaal hay, Bohat see daad qabool kijay. Darj zel ash'aar ziada pasand aaye.

yaad itnaa hei raat kaT nah sakee
talkhiy-e-intizaar yaad naheeN

raahrau aagayaa hei manzil tak
qehr-e-gard o ghubaar yaad naheeN

raushni din kee hei nigaahaoN meiN
raat bhar kaa khumaar yaad naheeN


Mukhlis,
Muhammad Ahmed.
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtaram Nazir sahib
:salaam:
mashallah bohat umda ghazal kahi aapne.
Meri daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
سالم احمد باشوار
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

[align=center]moHtaram Abdullah Nazir SaHib aadaab-o-tasleemat! :rose

aap kee tazah Ghazal hadiyah-e-khaaS-o-a'aam huee hai. sao faqeer ko bh~ee dekh~ne ka sharf mila.

muHabbat meN aek aesa maoR bh~ee aata hai. keh maZ^ee kee tamaam dakhlee aor kharajee e'shqiyah teHreekooN aor wardatooN se a'ashiq khud ko gaoya naa aashna sa kar leta hai.is ka yeh mat^ab har giz naheeN keh us ke andar joosh-e-weHshat mand paR geYa hai. ya woh kashmakash-e-aarzu se daman ch~ooRane meN kamYab ho geYa hai. aap kee Yeh Ghazal aesee hee kaefiyat kee Ghammaaz hai!! jesa keh fard gehree choT kh~ne ke ba'd chand lamHooN ke liYe apne haath~ ke ishare se yaklakht keh uth~ta hai keh sab haT jao......... door ho jao......aor khud hee us dard ko sehne kee har mumkin sa'ee karta hai. is liYe keh woh janta hai keh nah to dusrooN ko is takleef ka andazah hai aor nah hee koee is gh~aRee mere dard par marham rakh~ sakta hai. kiYooNkeh dard aor takleef apne kamaal ko pohonch chukee hotee hai.....aor azaaN ba'd jab dard kuch~ th~amta hai to bismil rudaad-e-Gham sunane ke liye taiYaar ho jata hai. ya'nee aek waqt meN woh donooN kaam naheeN kar sakta keh dard bh~ee sahe aor shiddat-e-dard ka paemanah ban kar haZ^reen-e-maoqa' ko us se aagah bh~ee karta rahe.......aap ka ya digar eHbaab ka is kaefiYat kee waZ^aHat se muttafiq hona Ghaeer Z^aruree hai!

balkeh dusre ilfaaz^ meN baat to Yeh hotee hai keh woh zamanah ke istafhamiyah lab-o-lehjah se is qadr gurezaaN ho jata hai keh woh har sawal kunundah se yeh keh kar kanara kash ho jata hai keh mujh~e kuch~ Yad naheeN.

is Ghazal meN aap ke shae,ier-e-dil pazeer hone aor sukhan sanj-e-be naz^eer hone par har miSra'-e-Ghazal khud gawahee de raha hai. aap ka andaz yahaaN apne ma'aSir shue'ra se bilkul haT geYa hai. lehjah kee infaradiyat aor takhleeqee upaj ne Ghazal ko manz^oom shahkaar bana diYa hai.

maiN da'wa se Yeh baat kehne ko tiYaar hooN keh agar aap urdu adab ke marakiz meree muraad hai keh agar aap barSaGheer paak-o-hind ke adabee Halqah-e-adab se wabastah hote aor muwaSalaatee meeDiYa aap ka shareek-e-safar hota to koee shubah naheeN keh aap A'Sr-e-Haz^ir ke namwar she'ra meN shumool hote. aor aap ke kamaal-e-fan se aek jahaaN meHroom nah reh pata..........!

pardes jo keh u'muma" fit^ree SalaHiYatooN ko zang aalood kar deta hai. aese meN aap ka hansta basta gulistaan-e-sukhan is bat ka qawee cuboot faraham kar raha hai keh aap gulshan-e-fan kee aabyaree apnee khon-e-rag-e-jaaN se kar rahe haiN.

"agarsheh gaoshah nasheeN hooN maiN shae'rooN meN Mir
pah mere shaor ne ru-e-zameeN tamaam liYa"


ghaflat-e-chashm-e-yaar yaad naheeN
ai mire qalb-e-zaar yaad naheeN

kiYa kehne waah waah! :clap01:

veHshat-e-regzaar yaad naheeN
daaman-e-taar taar yaad naheeN

bohot khoob!! :clap01:

gul khile, phir ujaRgayaa gulshan
kaise guzri bahaar yaad naheeN

kiYa kehne!waah waah! :clap01:

yaad itnaa hei raat kaT nah sakee
talkhiy-e-intizaar yaad naheeN

bohot khoob!! wah wah!!

ham ne chouRaa nah daaman-e-ulfat
aatish-e-geer o daar yaad naheeN

kiYa kehne!!waah waah! :clap01:

raahrau aagayaa hei manzil tak
qehr-e-gard o ghubaar yaad naheeN

bohot khoob!! :clap01:

raushni din kee hei nigaahaoN meiN
raat bhar kaa khumaar yaad naheeN

lajawaab hai waah waah! :clap01:

khul gaye rehmataoN ke darwaaze
zehn kaa inhtishaar yaad naheeN

kiYa kehne!!waah waah!! :clap01:

shukr-e-parvardigaar hei :Nazir:
Marg-e-lail o nahaar yaad naheeN.

bohot khoob inteha hai fan kee!! waah waah :clap01:

meree janib se is inshaa pardazee par dil kee gehraiYooN se dad qubool kijiYe! :rose

wassalam
muz^affar
[/align]
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Muzaffar Ahmad Muzaffar SaaHib SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Apni ghazal per aapkaa tafSeeli tabSirah paRhkar khaaksaar ko aayeenah-e-ilm o adab dekhne kee Zaroorat pesh aayi aur andaazah houaa ke aap ne jo kuch likhkhaa hei wo HauSalah-afzaayi se bhee ziyaadah hei. Is bandah-navaazi ke liye maiN aapka beHad shukrguzaar hooN. Allah kare ke maiN us maqaam per pahunch sakooN jisake qaabil aap ne mujhe samjhaa hei. Is faqeer ke liye aap ne jo ganj-e-giraaN-maayah ATaa farmaayaa hei uske liye iHsan-mand hooN.


Aapka MukhliS,

Nazir.

Image
Post Reply